Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam,, jis lrki se mutta kya ho kya us se daimi nikah kr skte hn?

Answer: Nikah e mutah me jo muddat tay paayei thi agar wo muddat khatam ho jaye ya jo muddat baaqi bachi ho wo biwi ko bakhsh (maaf kar )di jaye to us se daaimi nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2395). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I want to perform Mutta but I am unable to find a woman for it. I am 22 years old, is there any anyone to whom I can contact for Mutta.

Answer: Only sharaei questions are answered on this website. [Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar nikkah na howa wa ho , lekin nikah e munkatey parha howa ho or dono mehram ho ek doosre kay to kiya larka larki key srf hath or peshani ko choom sakta izzat ko barkar rakhtay howey or kisi b haram kaam ko na sochtay howey..

Answer: Nikah e Mutaa yani Temporary Nikah bhi Permenant Nikah ki hi tarah hota hai bs farq yh hai k Temporary me Ikhrajat, wajib nhi hote hai, wo aurat Meeras bhi nahi pati or ek time period tk hi mehram rehte hai.. Agr Nikah e Mutaa me ye shart rakhi gai hai k bosa nahi deskte to bosa dena Sharan Haram hoga varna koi mumaniyat nahi hai.. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani edition 39 pg no 367) [Updated on 29-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17566
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr muta ki muddat khatam hori ho aur muta dubara krna ho us hi larki sy to kiya larki iddat karegy?

Answer: Agar mutah ki muddat ke duaraan hambistri huei thi to aurat iddat rakhe gi lekin is iddat ke dauraan wohi mard dobara mutah kar sakta hai. Q ke mard ye kar sakta hai ke jis aurat ke saath is ne pehlay mutah kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na huei ho, us se daimi nikah (permanent) kar lay ya dobara mutah kar lay, lekin agar mutah ki muddat mukammal nahin huei aur wohi shakhs is aurat ke saath daimi nikah (permanent) ya mutah kare to ye nikah baatil hai, lekin ye kar sakta hai ke baaqi manda muddat osay bakhsh day aur is kay baad aqd-e-daimi (permanent) ya mutah karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396). [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kya shadi shuda mard but parast larki se muta kar Sakta hai

Answer: Muslaman mard kafir aurton (masalan hindu aurat) se nikah (daimi ya mutah) nahin kar sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362). [Updated on 12-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Agha sahab mera sawal yeh ha ke agr sigha ke baad larka larki ek dusrey ke sath physical hojaey ya phir sex kr le to kia yeh zina ke hukum mai ayega aur agr ayega to iss ki tooba kia ha??

Answer: Agr mutaa se pehle ourat ne yh shart rkhi ho k shohar uss se sex nhi krega to baghair ourat ki rizamandi k yh jaiz nhi hoga. Ourat agr razi hojae to phr koi masla nhi (Reff : Touzih ul masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 2387) [Updated on 14-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hindu ladki ko Musalman karke usse muta kar saktey hai or agar muta ki muddat khatm hone par wo phir apne mazhab par palat Jai to ladka gunha me Shamil hoga?

Answer: Kisi kafira khatoon se muta ya nikah krna jaiz nh.. Agar vo zaban se Kalima e Shadatain prhti ho or in aqaid ka izhar bhi krti ho to vo musalman shumar hogi lkn agar yaqeen ho k dil se musalman nhi hui to aisi aurat kafira hi shumar hogi. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 205,) [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 18157
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا محرم کے مہینے میں صیغہ متع کر سکتے ؟

Answer: NULL

Id: 18158
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Samam un alaikum mutah ka zikar quran mein kitni bar aaya hai kiya hadith se sabit hai hadees nbr dekar hawala de

Answer: NULL

Id: 19192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mutah ki iddat ke doran kia aurat dobara mutah kr sakti hai usi mrd se js se pehle kiya ho mutah ?

Answer: Jee han, Mutah ki iddat ke dauraan usi mard se dobara mutah kiya jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!