Question: Kia muttah ki muqqat khatam honay pay larki Kuch waqt bad usi larky se shadi kar sakti hai jis se us nay muttah kiya tha
Answer: Jee han, wo shakhs jis ne kisi aurat ke saath pehle mutah kiya ho wo ye kar sakta hay ke jis aurat ke sath is ne pehle mutah kiya hai aur abhi is ki iddat khatam nahin huei (jabke mutah ki muddat khatam ho gayei ho) is se daaimi nikah kar lay ya dobara mutah kar lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396,2473,2479). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hum European esawi larki se muta kar sakte hain without asking parents jo balgh hain tnx
Answer: 1: Musalman mard ahl e kitab kafir (christian) aurt se mutah kar sakta hay or Ehtiyaat e lazim ki bina par us se daaimi nikah nah kiya jaye. 2: Ayatullah Sistani(d.b) ke nazdeek wo kunwari (virgin) larki jo khud mukhtar (independent) nah ho to wo us waqt tak nikah (daimi ya mutah) nahin kar sakti jab tak larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day aur jo larki khud mukhtar (independent) ho us ke liye bhi ehtiyaat e wajib ki bina par yahi hukum hay ke apne baap ya dada se ijazat lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2362). [Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia hum European esawi larki se muta kar sakte hain without asking parents jo balgh hain tnx
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Muttah ke iddat bakhshi/maaf ke jaskte hai?
Answer: 1: Mutah ki muddat use kehte hain jo mutah me tay ki jati hai ke maslan aik mehine ke liye ya aik saal ke liye mutah kiya jaa raha hai, Jabke iddat use kehte hain jo aurat mutah ki muddat khatam hone ya baqiya muddat bakhshne par guzarti hai. Lihaaza mutah ki muddat to bakhshi jaa sakti hai lekin iddat nahin bakhshi jaa sakti. 2: Jis aurat ke sath mutah kiya gaya ho agar mard us ki nikaah mein muayyin ki huei muddat bakhsh de to agar us ne us ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye ke muqarrar kiya hua tamaam meher use de de aur agar hambistari na ki ho to aadhaa meher dena wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473) [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah muta ki agr mudat nhi moqarar ki ho tu nikah nhi hota??
Answer: Nikah e mutah ki muddat waazih taur par muqarrar karna zaroori hai, aur agar waazih taur par muddat ko muqarrar kiye bager nikah e mutah ka seegha parha jaye to nikah e mutah baatil (Galat) hoga or koi sa bhe nikah nahe Hoga .yane na muta Hoga ,na daime Hoga . Zarori hay ke Muta ki muddat zamane ke ahtebaar se is trah se muaiyan ki jaay ye muddat na zamane ke ziyada ka ahtemal(chance) de or na Kam ka ahtemal (chance) de. Yeni ye muddat is trah se Muaiyan kare k ye muddat zamane ke ahtebaar se se na ziyada hosakte ya Kam hosakte .( Is Bina per muta karne ki shoro ( starting) ki muddat or end kab Hoga is ko Saal ke ahtebaar se mahene ke ahtebaar se din ke ahtebaar se time ke ahtebaar se accurate moaiyan kia jaay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443 hijri, maslah #243,245). [Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: بسم اللہ الرحمن الرحیم سلام علیکم کن عورتوں سےمطع کیا جا سکتاہے
Answer: Mehram khawateen ke alawa har wo na-mehram khatoon jis se nikah e daimi (permanently marriage) ho sakta ho us se nikah e mutah (temporary marriage) bhi ho sakta hai. Is ke alawa koi aurat hoti to na-mehram hi hai aur us se nikah (daaimi ya mutrah) ho sakta hai, lekin kisi wajah se us se nikah (daaimi ya mutrah) nahin kiya jaa sakta, jaise ke agar koi aurat zinakar mashhoor ho to us aurat ke tauba karne se pehle us se nikah (daaimi ya mutrah) nahin kiya jaa sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349 to 2375). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا شادی شدہ مرد متہ کر سکتا ہے۔ مرد کے لئے کیا شرائط ہیں
Answer: Jee han,( kise musalman aurat se )kar sakta hai aur koi shart sharait nahin hain balke agar kisi shakhs ki chaar daimi biwiyaan nikah main hon Q ke musalam mard aik waqt me chaar shadiyan kar sakta hai, tab bhi us ke liye jaiz hai ke wo jitne chahe ghair daimi (muta) nikah karay. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #200,202,344). [Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main Muslim shadi shuda mard hoon Wife b mojood hy Kya main kisi Muslim bewa ya talaq yafta aurat sy apni biwi ki ijazat k bgher muttah kr skta hun? Plz rehnumaae frmaen
Answer: Jee han, (kisi musalman aurat se) mutah kar sakte hain balke agar kisi shakhs ki chaar daimi (permanent) biwiyaan nikah main hon Q ke musalam mard aik waqt me chaar shadiyan kar sakta hai, tab bhi us ke liye jaiz hai ke wo jitne chahe ghair daimi nikah (mutah) karay. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #200,202). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mard ko mutta ma phale bivi ki eejazat zaroori ha. Urat agr divorced hou
Answer: Jee nahin, (musalmaan aurat se) mutah karne ke liye mard ko apni pehli biwi se ijazat lena zaroori nahin hai balke agar kisi shakhs ki chaar daimi (permanent) biwiyaan nikah main hon (Q ke musalam mard aik waqt me chaar shadiyan kar sakta hai) tab bhi us ke liye jaiz hai ke wo jitne chahe ghair daimi nikah (mutah) karay. (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #200,202). [Updated on 14-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya zina kerne wali Muslim Surat SE muta Kya ja Sakta hai 2 Aur Kya wo aurat Jo Apne ikhrajat khud apni income SE kerte ho khud mukhtar Mai shumar hoge
Answer: 1: Agar woh badkaar aurat zina mein mashhoor ho (yani woh aurat jo kisi se bhi zina ke liye tayaar ho) to ehteyat e wajib ki bina par us ke tauba kar lainay se pehlay us se mutah nahin kar satke. lekin agar zina mein mashhoor nahin hai to us se mutah kar sakte hain. 2: Khud mukhtari se muraad ye hai ke aurat apni zindagi ke faisle khud karti ho aur apna kharcha khud bardasht karti ho. Ab agar larki khud mukhtaar nahin hai to nikah ke liye us ke baap ya dada ki ijazat zaroori hai, lekin agar larki khud mukhtaar ho to bhi ehteyat e wajib ki bina par baap ya dada ki ijazat zaroori hai. (Ref: website Ayatullah Sistani(d.b), link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01867/ ). [Updated on 17-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]