Question: Mutta krne k liye urdu mei dua k sath pura process aur mutta ki mudat puri honey k kitne time bd larki permenant nikah krskti hai
Answer: 1: Nikah e muta men bhi wo tamam sharait hoti hain jo Nikah e daimi men mojod hoti hain, jese ke nikah k seegahy sahi arabic mai parhay jaayen, Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi/mutah) nahin ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina par yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay. is k ilawa or bhi buhat si sharait hain in sharait ko poora kiye baghair aik larka or larki aik doosre par halal nahin hote. 2: Muddat poori ho jaye ya bakhsh di jaye or muta k doran hambistari bhi ki ho to 2 mukammal haiz iddat rakhna zarori hogi, us k baad kisi or mard se nikah kare gi. or agar hambistari nahin hoi thi to phir iddat ki zarorat nahin or fauran baad dosere mard se nikah kar sakti hai. 3:mard ye karsakta hay ke jis aurat ke sath is ne phele muta kia ho or abhi is ki iddat khatam na hoe ho ( or muta ki muddat khatam hoghe ho) is se daaemi nikah kar le ya dobara muta kar le laikin agar muta ki muddat mukammal nahe hoe ho or wohe shaks is aurat ke sath daaime nikah perhe tu ye nikah batil (galat) hay laikin ye karsakta hay ke baaqe maaanda nuddat ise bakhshe or is ke baad is se nikah daaaieme kar le . Nikah e Muttah ki sharayet me hain ke. 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaye,or agr khud mard or aurat sighah arbi main na perh saktay hon ( or book se daikh kar bhi sahe nahe perh sakte ho) tu arbi k ilawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi ha. 2. Sigha parhne wala aqal-mand ho or agar khud apne liye parh raha ho to baligh bhi hona zurari hai, 3. Mard or aurat or uska wakeel sigha parhte waqt qasd-e-insha rakhte hon (matlb ye niyat ho k abhi nikah ko eejad ker rahe hen) 4. Nikah Mutta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaey. 5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (arabi seegho ka urdu terjuma mehar or muddat muta moiyan karne ke baad phele aurat , mard se mukhatab ho kar khe : me apne aap ko tumhaare zojiyat me dete ho (yani nikah muta me dete ho ) is mudddad maloom me is mehar moiyan per is ke furan baad mard khe : me is nikah muta ko apne lie qabool karta ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335,2341,2396,2473,2479,2334, 2396)[Updated on 31-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma na suna ha bahi behn mota kar sakta ha kia ye drust ha
Answer: Mutta nikah hi ki aik qism hai bas jis tarah behn, man, beti, wagera.... se nikah karna haram hai isi tarah behn, man, beti wagera.... se mutta karna bhi haram hai balkeh tamaam mehram, Aurton se nikah karna haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2349). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr koi larka sunni larki ko mutah samjhaye or samj kar vo razi ho jaye mutah ke liye or larki bhi tallaq shuda ho to mutah karna jaiz hey?
Answer: agar sharait mukammal hon tou sunni larki sai mutta karne mai koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2362). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mutaa ki mokrara mudat sy pehly mrd cohr dy to kya aisey mutaa tot jta hai
Answer: Muttah men aise hi chor dene se mutta khatam nahin hota balkeh jo muddat te ki gayei hai us muddat ke poore honay say mutta khatam ho jata hay ya larka baqi muddat maaf kar deta hay to mutta khatam ho jata hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Edition# 1439, part #03, Maslah #575). (Note: Muttah ki muddat mukammal hone se pehle agar larka larki ko chorna chahe to larkay ko chahiye k wo larki sai kahay k mai ne tumhay baqaaya muddat baksh di to is se muttah khatam ho jaye ga. Ab agar mutta k doran hambistari hoei thi to mutta ke khatam hone k baad larki ko 2 mukammal haiz iddat rakhna zaroori hogi, is k baad kisi or mard se nikah kar sakti hai. or agar hambistari nahin hoei thi to phir iddat ki zarorat nahin hai yani bager iddat rakhe kisi doosre mard se nikah kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2396). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: muttah ka time period khtm hone k bd ki iddat me sirf dusri shadi ni ho skti ya orat ka ghr se bahar nikalna b mana hai ?
Answer: Sirf doosra nikah karna haram hai lekin Iddat ke doran ghar se bahir nikalna haram nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2396,2475). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shohar apni biwi ki ijazat ke bgair mutah karsaka ha jo isi har lihaz se khush rakhti aur pregnant ho
Answer: Jee haan aik shadi shuda musalman mard aik musalman aurat se muta ker sakta hay, aur aik musalman aurat se mutah kerne k liay biwi ki ijazat ki zarorat nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2362. + Minhaaj us Saliheen Part #3 , Mafhoom e Maslah #202,205). [Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: jab ladki or ladkai ki jismani zaruryath zyada ho jayae or is par kai yo gunh sai mehfuz rahae muttah karna jaiz hai.?
Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 24-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larka larki ko mutta ki mudd'at bakhsh dene k baad usi larki se dubara mutta ker sakta hy?
Answer: 1: Jis aurat ke sath muta kiya gaya ho agar mard us nikah men muayan ki hoi muddat baksh de to agar us mard ne us aurat ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye ke muqaraarr kiya houa tamam meher use de de aur zaroori hai aurat iddat rakhe, aur agar hambistari nah ki ho to aadha mehar dena wajib hai. agar pehle se hi mard ne tamam meher de diya tha tu aurat ko chahiye ke aadha meher mard ko wapas kar de aur koi iddat bhi nahin rakhne hogi. 2: Muta men agar us muddat (jo muayan ki gayei thi) sai pehle shohar apni biwi ko keh de k mai ne baqaya muddat tum ko baksh di tou ye mutta khatama ho jaaye ga or dono aapas mai na mehram ho jaain gay lihaza dobara aapas men muta kar sakte hen.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2395,2396). [Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr baap dada zindga na ho or ladki ki sar prsth uski ma ho or ladki nai maa sai puchay baghair sigha kr lia ho toh kiya yae sigha qabil e qabul hai sahe hai ya batil hai.
Answer: Baap ya dada agar moujood na hon tou phr maa sai ijaazat lena laazim nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2342). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager larki kanwari ho aur uss ka baap dada b faut ho chukay hun tw.. uss sy mutta kernay k liye kiss ki ijazat laini hogi?
Answer: Agar kunwari larki ka baap or dada zinda na ho tu phir nikah (daaimi/mutah) k liay kisi se bhi ijazat lena zarori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2341). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]