Question: Mera masala ye hai Kay hamnay muttah kia or jab main pregnant hui to mere husband now end bol kar bilkul gayab hogae .. na koi contact Ghar bhi tabdeel karlya. Mjhy bataen Kay aisy mai mairy liya kia hukam hai
Answer: (Note: Aap ko nikah e mutah ke hawale se chand masaail ki taraf mutawajjah kiya jata hai jin ki taraf aap ko agaah karna zaroori hai) 1: Jis aurat ke sath muttah kiya gaya ho khawah woh haamla ho jaaye tab bhi kharch ka haq nahin rakhti. 2: Jis aurat ke sath muttah kiya gaya ho wo hamkhawabi (raat guzaarne) ka haq nahin rakti. 3: Jis aurat ke se muttah kiya gaya ho agarche use yeh maaloom na ho keh woh kharch aur hambistari ka haq nahin rakhti us ka nikah sahi hai aur is wajah se keh woh umoor se naawaqif thi us ka shohar par koi haq nahin banta. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2388,2389,2390). [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera nikka hogaya hai laikin rukhsati Mai 6to7 months hai to kea Mai majbori k tehat mutah Kisi AUR larki se kar sakta Hoon qk Jis se main ne nikka kea hai wo milti tak nahe hai
Answer: Jee han kisi musalmaan larki se mutah kar sakte hain, or agar majboori na ho tab bhi kar sakte hain, lekin jis larki se mutah karen ge agar wo kunwari ho (yani pehle is ki shadi na hoe ho or is ke shohar ne is se humbistri na ki ho) or khud mukhtiyar nah ho to zaroori hai ke us ke baap ya dada se ijazat len, ya agar kunwari ho or khud mukhtar ho to is surat me ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke us ke baap ya dada se ijazat len. Aur agar kunwari na ho (yani pehle is ki shadi hoe ho or is ke shohar ne is se humbistri bhe ki ho) to kisi se bhi ijazat liye bager us se mutah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341,2407,sistani,org,urdu,topic: shadi sawalno:3,). [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Aga Sahab Aik ladki jo christan hu aur khud mukhtar aur balig bhi hu leekin us ka wali zinda na houn jaisa ka bap aur dada. Kia us sa muttha kia ja sakta hai.
Answer: (agar kise ki musalman biwe na hi tu is surat me ) Esaei(christian) aurat se nikah e gair e daaimi(muta) (temporary marriage) karne me koi haraj nahin aur ehtiyaat e lazim ki bina par in se nikah e daaimi (permanent marriage) nah kiya jaey. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362). [Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muta k baray ma kui farman btya, kia imam jaffar sadiq as ka kui asa farman hai k zandagi ma aik bar muta lazmi karna chia?
Answer: Hazrat Imam Jafar sadiq(a.s) se Aik do riwayat ko aap ke samne paish kiya jata hai: 1: Imam Jafar sadiq(a.s) se riwayat hai ke farmaya: main momin ke liye pasand karta hon ke wo us waqt tak duniya se na jaye jab tak mutah na kare agarche aik baar hi kare. 2: Muhammad bin muslim ka bayan hai ke aik baar Imam Jafar sadiq(a.s) ne mujh se farmaya: kya tum ne mutah kiya hai? mene arz kiya: nahin, farmaya: us waqt tak duniya se na jaana jab tak is (murda) sunnat ko zinda na karna. 3: Abu baseer bayan karte hain ke jab me Imam Jafar sadiq(a.s) ki khidmat me haazir hua to Imam(a.s) ne mujh se daryaft farmaye: aey abu baseer jab se ghar se nikle ho tum ne mutah kiya hai? mene arz kiya: nahin, Imam(a.s) ne poocha kiyon? mene arz kiya zaad e safar kam hai, is par Imam(a.s) ne mujhe aik deenar marhamt farmaya ke main tumhen qasam deta hon ke ghar wapis jaane se pehle zaroor mutah karna. (Ref: Masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #14, baab #2, pg #352,353). (Note: Is tarah ki riwayaat Imam Jafar sadiq(a.s) or deegar aima(a.s) se waarid hui hain lekin ulama ne in riwayat or deegar riwayaat ko mila kar mutah ke musatahab e takeedi hone ka fatwa diya hai, lihaza mutah karna wajib nahin, Han musatahab e takeedi hai ). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ismayeli widow sa muta jayiz ha kia? Agr wo mard ki khatir pdy mgr uska aqeeda nae ha muta ky bary ma?
Answer: (agar musalmaa Aurat ki sharhe nikah hoa ho or us ke shohar ne us se jima kia ho or us ke baad us ki mout hoghe ho or Aurat ki iddat ghuzar ghe ho tu ) us se muta karna jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362). [Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ismayeli widow sa muta jayiz ha kia? Agr wo mard ki khatir pdy mgr uska aqeeda nae ha muta ky bary ma? Jawab aga seestaani aur rehbar dono ka chaheya
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muta ke time se pehlay khatam karnay ka tariqa ya duwa agar koi ho to kindly inform krain
Answer: 1: Jis aurat se mutah kiya gaya ho (maslan aik saal ya aik mahine ke liye us se nikaah e mutah kiya gaya ho) use (kisi bhi qisim ki) talaq dene ka koi sawaal nahin. us ka aazaad hona is baat par munhasir hai keh mutah ki muddat khatam ho jaaye ya mard use muddat bakhsh de maslan kahe: “Main ne baqiya muddat tujhe bakhsh di” aur kisi ko is par gawaah qarrar dena aur us aurat ka haiz se paak hona laazim nahin. Aur mutah men talaq nahin hoti agar mutta khatam karna ho shohar, apni biwi ko mutah ki muddat bakhsh de to mutah khatam ho jaye ga. 2: Jis aurat ke sath mutah kiya gaya ho agar mard us ki nikaah mein muayyin ki huei muddat bakhsh de to agar us ne is ke sath hambistari ki ho to mard ko chahiye keh muqarrar kiya hua tamaam meher use de de aur agar hambistari na ki ho to aadhaa mehar dena wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473). [Updated on 16-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam kia muta ki iddat k doran jiski iddat mai ho wo fone pr text pr bat kr sktay apas mai ya nahi?
Answer: 1: Mutah ki muddat khatam hone ya bashne ke bad, miyan or biwi dono apas me na mehram ho jate hain 2: Na-mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi khatoon ya mard ke saath kiya jana munasib nahin hota. 3: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath ke ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se na suni jaye aur Haram me mubtila honay ka bhi khauf na ho. Isi tarah aurat ke liye bhi ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaye magar ye ke Haram kaam me mubtila honay ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. or agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho, baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #576. + Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #58, sawal #79. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66). [Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam kia muta ki iddat k doran jiski iddat mai ho wo fone pr text pr bat kr sktay apas mai ya nahi?
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 20-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera sawal ye hai Aik mard apni biwi ko mukamal talq dety huwe aik Saal ho jati hai Phir usi orat se Kiya mutah kr sakta hai??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq talaq ke sahi hone ki chand sharait hain ke Talaq dete waqt jin ki pabandi karna zaroori hoti hai warna talaq sahi shumaar nahin hoti. Talaq ki sharaait: 1-Talaq ke waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki ke doran mard ne jima (intercourse) nah kiya ho. 2-Talaq zabani di jaye yani likh kar talaq dena baatil hai or talaq nahin kehlaaye gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaye. 4-Talaq do aadil (jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon) gawahon ki maujoodgi main di jaye. 5-Zaroori hay ke mard talaq apne ikhteyaar se day or agar use apni biwi ko talaq daine par majoboor kiya jaye to talaq baatil hai. 6-Mard talaaq ke waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day to talaq sahi nahin hogi. (Note: Agar bayan ki gayei sharaait ko madde nazar rakhte hue talaq waaqe hui thi to talaq sahi shumar ho gi, ab agar aik saal guzar gaya hai to lihaza wo dono nikah e mutah kar sakte hain Q ke talaq ki iddat aik saal se kam hoti hai. lekin agar in sharaait me se koi aik shart bhi maujood na ho to talaq sahi shumar nahin hogi aur jab talaq sahi nahin hogi, tab tak wo dono miyan, biwi hi rahen ge). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472). [Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]