Question: Assalamualaikum kya na mehram dost bansakte hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Kisi na mehram se dosti aur refaqat rakhna jaiz nahin hai. isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona bhi jaiz nahin hai. aur agar koi tanhaei ki sakhti aur shadi ke muqadmaat faraham nah honay ki soorat me kisi na mehram se dosti kare to ye bhi jaiz nahin hai, aur aisay shakhs (chahe mard ho ya aurat) ko shadi ke muqadmaat faraham karne ki koshish karni chahiye, aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2407). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main. Ny kasam Khai ak lrki sy Quran py hath rkha hum dono ny k dubara ni milain gy ab Wapis ly skta hu
Answer: 1: Is tareeqe ki qasam khana durust nahin hai Q ke qasam Allah ke liye khayei jaati hai quran ki qasam nahin khai jaati. lihaaza is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai Q ke ye qasam hi sahi nahin hai. Lekin aap ko chand fiqhi masaail ki taraf mutawajeh kiya jata hai ke Na-mehram mard aur aurat ka tanhaai me kisi aisi jagah sath hona jahan aur koi nah ho aur gunah me mubtela hone ka ahtemaal (chance) bhi ho, Haraam hai. chahe wo jagah aisi ho jahan koi aur aa sakta ho. 2: Aurat ka apna badan yahan tak ke apne baal kisi na mehram mard ko dikhana haram hai aur kisi na mehram mard ka badan dekhna bhi haram hai. Isi tarah na-mehram mard or aurat ka aik dosre ke badan ko choona ya chomna bhi haram hai. 3: Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. 4: Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. 5: Kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #,2409,2397,2633,2634. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 20-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum... Mere ye sawal he k kiya larki ki mother ki sister k larke or larki k chacha k lakre na mehram he ya mehran kiya un sb se larki parda kare ya nahi...
Answer: Na mehram hain aur parda karna zaroori hai. Mard ke liye namahram auraton ka jism dekhna aur oosi tarah oon ke baalon ko dekhnaa khawah lazzat ke iraade se ho ya oos ke baghair, haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya na ho, haram hai. Oon ke chehre par nigaah daalna aur hathhon ko kalayiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya haraam mein mubteka hone ka khauf ho to haraam hai. Balkeh ehtayaat-emustahab yeh hai keh lazzat keiraade se ho ya haraam mein mubtela hone ka khauf na ho tab bhi na dekhe. Isii tarah aurat jliye namahram mard ke jism par nazr daalna lazzat ke iraade se aur haraam mein mubtela hone ke khauf ke sathh haraam hai balkeh ehtayaat-e-waajib ki bina par lazzat ka iraada haram mein mubtela honeka khauf na ho tab bhi nigaah nahin daalni chahiye. Laikin agar aurat mard ke jism ke oon hisso maslan sar, dono hathhon aur dono pindaliyon par jinhein amuman mard nahin chhipaate, lazzat ke iraade ke baghair nazr dale aur haraam mein mubtela hone ka khauf na ho to koi ishkaal nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349,2397,2399) [Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir agr kisi larki ko bgir kapro k dekh ly to gosal Krna ha k nae ser dekha ha tuch b nae kya
Answer: Is se ghusl wajib nahin hota. Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,345). nemehram aurat k jism ko dhekna aur use touch karna haram hai.( Laikin us se nikah ho skta hai). Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna kerna gunah e kabira hay . .Maslah#30), Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2397,2407,Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1) [Updated on 13-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye he ki kya na-mehram jo ki dost he par ham dono bhai behen mante he naa hi koi galat irada he aur Inshaallah naa hi koi galat kaam me girne ka khatra he to kya hamara baate karna haram he??
Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi . Na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho ke jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye keh haram kaam mai mubtila honay ka khauf ho tu is soorat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimedare bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. aur agar gunah me parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khauf Q na ho baat karna jaiz hi nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. .Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,12, Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 28-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya sex chat krna apni hony wali biwi KY sth thk hai?
Answer: Mangetar dono apas men na mehram hain aur Nikah ke bagher kisi se (chahe wo mangetar ho ya koi aur ho) sex chat (be hooda baatain) karna Jaiz nahin hai. Lekin na mehram se aisi baatain ki jaa sakti hain jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki surat me na nikal raha ho jab ke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. aur agar gunah mai parhne ka khauf ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahin hay isi tarah gher akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + Nigah aur libas, edition #1, pg #31). [Updated on 11-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.s... Kia hum kisi orphnage se bachi adopt krskty hain?? Kia wo mere shohar k liye mehram hogi???
Answer: Adoption (Gaud lene) men aur us bache ki daikh bhaal karne men or us se muhabbat ka izhaar karne me koi haraj nahin lekin bache ko apna bacha kehlana (yani bacha gaud lene wale is bache ke baare me ye kahen ye hamara bacha hai) jaiz nahin hay. Agar bachay ki adoption ki jaaye to is baat ka khayaal rakha jaye ke bachay ke shajra e nasab aur is ki family se is ka taaluq mehfooz rahe. is bache ko adopt karne wale ki wiraasat nahin mile gi aur is bache ko haqeeqat bata den albatta is tarah se ke is par zehni dabaao na parhe aur is ka naam apne baite ke tour par (I.card) na likhwaain. chunache kisi nuqsaan ya mushaqqat ki wajah se aisa karna mumkin na ho to (is baat ko mehfooz karen) aur likhen aur is par ghawaah banain. Jise adopt kiya gaya hai agar wo larka hai to adopt karne wale shakhs ki biwi ke liye na mehram hoga, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge, isi tarah jise adopt kiya gaya hai agar wo larki hai to adopt karne wale shakhs liye na mehram hogi, lihaaza dono ke darmiyan parday ke ahkaam jaari honge. (Ref: link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02838/ urdu, guad lena, sawaal #1. + english, ques & ans, topic: adoption, ques #1,2). [Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.s... Kia hum kisi orphnage se bachi adopt krskty hain?? Kia wo mere shohar k liye mehram hogi???
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir agr call pe kisi larki k sth sex hojaye to kia ye zina hai?
Answer: Zina ye hota hai ke aik baaligh or aaqil mard (jo pagal na ho) apne uzo e tanasul (penis) ko hashfe (glanspenis) ki miqdaar ke barabar aik aisi aurat ki agli (vagina) ya pichli (anus) sharamghah main daakhil kare jo is mard ke liye halal na ho. Aur zina Haram or gunah e kabira hai. Lekin jis ki aap baat kar rahe hain wo zina nahin kehlaye ga. Albatta na-mehram se aisi gair akhalqi baatain karna jo kisi ajnabi khatoon se nahin ki jatien chahe phone call ke zariye hi Q nah ho, Jaiz nahin hain. Ya kisi bhi tarah ka gair sharaei talluq rakhna Jaiz nahin hai. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Al-Lumatud damashqiyah, part #3, chapter kitab e hodood, pg #313. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30,Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 19-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Na merham ka sadka Diya ja sakta ha kia
Answer: Jee han, diya jaa sakta hai Q ke kisi ka sadqa dene ke liye mehram hona shart nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443 hij, Mafhoom e Maslah #1602,1606). [Updated on 23-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]