Question: Allah ki kasam tut jaye ya napaki me insan quran ko chu le toh uska bharpai kaise karna padta hai kaise uska hadiya dena padta hai
Answer: Agr qasam sari sharae sharto n per mushtamil ho to uski mukhalifat krne sa insaan gunah gar hojatya hai, or zaruri hai kaffara ada kre, or kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaye ya unhen poshak (libas) pehnaye. Or agr ye kam na kr saken to phir 3 din musalasl roze rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar kise na koi kam kea ho or wo quran e pak ke jhuti kasam kha la ka us na ya kam nahi kia .is kka kuffara kya ho ga.
Answer: Jhooti qasam khana haram or gunah e kabeera hai, iska kaffara toba or istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wada todne par kya kaffara hai?
Answer: Agr logon se kiya gaya Ehed tora jaye to ye ek gunah e kabera hai, Or agr Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaye matlb 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal rozay rakhe.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar ham allah se wada karen ki kisi ko call ya msg nahi karenge or kisi wajah se hamne khud apne ph se call nahi kiya kisi dusre ke ph se kisi dusre se hi no milwa kar baat ki to kya wada tooot gaya agar hain to kya iski mafi hai
Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mene Quran pak ki qasam khai me ab zina nahi karunga phir WO qasam mujhsy tot gai me ye bat le me buhat preshan hun
Answer: Qasam agr islami sharton k mutabiq khai gai hai to uski mukhalifat ki surat men ap gunahgaer bhi honge or pa pe kaffara bhi wajib hoga, or kaffara 10 faqeeron ko pet bhar kar khana khilana, ya phir unko libas pehnana , or agr ye dono kam na hosken to is surat men 3 din roze rakhen.. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633).Zina gunah e kabeera hai us se har halat men bachna wajib hai chahe us k liye qasam khaen ya na khaen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASSALM O ALIKUM MERA SAWAL YE HAI KY MY NY QURAN OE HAATH RAK KAR WADA KIA THA KA DOBARA SHARAB NAI PIONGA AB MAIN DOBAR A OIA HO OLEASE MUJY BATAYI MERA TOBA KAISY QABOOL HOGA
Answer: Ye wada or qasam dono sharae nahi hen Albatta sharab peen gunah e kabeera hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager koi aurat pragnancy mai jazbati hoker aisa keh de k ager mere haan beta hojae tu main usko qaran hafiz banaoungi aur baad main woh aisa na karsake tu aise main kiya hukm hai
Answer: Ye Mannat(nazar) Sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mein apne husband ki job Lange ke liye roja mana aur job Lange ke baad mein roja nahi pura kar payi aisi Halat mein muhjhe kya karna chaliye plz meri mada kare
Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Allah k naam ki khana jaiz hai ya ni? yani agr Allah k naam ki kasam khai jaye to gunah ho ga ya ni?
Answer: Agr Allah k naam ki jhooti qasam khai jaye to ye haram hai or gunah e kabeera hai. Albatta sachi qasam khana makroh(na-pasandeedah)hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 682, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslaam e alikam mera sawal ye hai k maine apni mangetar ko jazbat mai ake quraan e pak ki kasm di hai k mje chor do wapis mat ana.ab mai use pana chahta hun to mje kya kakarna hoga?
Answer: Ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).