Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4665
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salaam alaikm meine bohot time khasam khaie hai or hamesha mujse khasam tudh jaati hai mein kya karu kuch bhi sammajme nahi ata

Answer: Agar qasam tamam shriat k sath sahi khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bher kar khana khelaye ya ine libas pinay aur agar in amaal ko na kar sakta ho to zaroore hai k 3 din musalsal roze rakhe. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 4722
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal hai mene kafi bar ik kabira gunnah ko chordnay ki kafi bar allah ki kasam our 3 se 4 bar quran uthaya hai par mene phir say wohi kam kafi bar kia hai mujhay yae bataye k kia meray is gunnah ki mafi hai ya koi kafara hai

Answer: Agar koi qasam khae k mai falan haram kaam nahi karoo ga laikin apni qasam par amal na karay to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai yani aik ghulam azad karay ya 10 faqeero ko pait bhar kar khana khalaye ya inhain kapray pehnay aur agar in ko baja na la sakhat ho to zaroori hai k 3 din musalsal roza rakhay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4760
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mainay gusse main Quran ki kasam khai hai Laikin mainay Quran ki kasam bol kar khai thi Quran pe hath rakh kar nahi....laikin ab main bhot pashta rahi hoon !! Aap mujhe batain main k main Quran ki kasam tor sakhti hoon kya? Is ki koi maafi hai?

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4906
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar hum koee mannat mange k mera falaan kaam ho jaee to mai falaan sadka doo gi ya phir kuch bhii.. aor agar mannat poori hoti hai aor mai sadka aage se na doo ... ya kuch bhi aage se na karoo to .... to phir kya hota hai ?

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhe pochna hai k maine khuda se ek promise kya tha k mai wo(gunah) nhi karo gah magr maine ek bar phr wohi gunah krdya ab mai kya karon help me?

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5064
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya insan ki kasam di ja sakti hai

Answer: jee nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5241
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar aik married larki kisi kaam k baaray mei yeh qasam khaae k woh yeh kaam karay tou ussey divorce hojae. phir agar woh kaam kray tou kya divorce hogi?

Answer: Jee Nahi is se divorce nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 39, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 5294
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya wada todny ka kafara ada kerny k bad hame hamare gunah ki mafi mil jati hai Allah ki taraf se ??

Answer: Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya he k wo toba karne walon ki toba ko qabool karta he aur aysa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur gunah se bachne k liye mazboot irada chahiye.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Update on dated 31-07-2015..(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5331
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine kisi se wada kiya tha ke main itwar ko kio ek kaam nahi karonga lekin majbbori ke tahat main wo kaam kar liya to ab us shakh se kiya hua wada tod gaya ab mere liya shariyat ka kya hukm hai?

Answer: Kisi momin se wada krne k bad us wade ki mukhalifat krna gunah kabeera men shumar kiya gaya hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5369
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr koe Qasam dy k tum ya kam nhi kro gay tumhy tmhary parants ki qasam to kya ya qsama jaez hai or qasam dena wala b koe apna he ho bhan bhaion men say to kya ya qasam jaez ho ge?

Answer: Jee nahi ye qasam jaiz nahi hogi, or is ki mukhalifa ki surat men na koi gunah hai or na hi koi kaffara. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!