Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6239
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa... maine aik dost se yeh baat ki k aaj k baad main tmse rabta nahii karun gii ager karun tou mujhy kaba daikhna na naseeb ho... ab main pareshan hun k maine bohaat ghalt baat ker dii... plz guide me mujhy kaya kerna chahiye?

Answer: Is tarah ki baton ki koi sharae hesiyat nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 682, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi na quran e pak ke qasam uthae ho ka us na ya kam nahi kia jb ka us na wo kam kia ho to is e kia saza ho gi or kia kufara ho ga?

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam ma na manat mangi thi ka agar ma b.a ma pass ho gae tou 30 rozay rakho ge magar ab ma in ko pora nahi kr saki es ka kia kafara ha plzzzzzz tell me soon

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab agr koi Quraan par hat rak kar yi kahay kay ma pir handjob nahe karonga ao pir hand job kary.to is ki kya kafara hay..may kya karo.plz help me....plz..plz..

Answer: Ap per kaffara to wajib nahi h q k ye qasam hi sahi nahi hai, albatta chahe ap qasam na bhi khaen ye amal (handjob) haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2637). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6757
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mene ksi ki ksm khai thi k aab ye kam nhi krungi ,,,,bt kch tym bad dr lga k kahin tor na dun to khd se qsm wapis leli....or thori der bad wo kam b krlia... ab kia krun ....kuffara ka b btaden plz

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6769
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr koi bnda ye naiyat kare k uska falan kam ho jaye to wo roze rakhe ga lekin bd myn na rakh sake to kyse uska azala kare

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maine gussa mein galti sa 2 baar qurane pak ki kasam kaha liye ke mein gussa mein ya karo ga. Ab mujha kya karna pada gha kasam utar ne ke liye.

Answer: Is qasam ki koi sharaae hesiyat nahi hai lehaza ye qasam shumar nahi hogai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 6952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujy yai pochna tha k ehad ka kafara 60 faqeron ko khna khilana ya 2 mah rozy rakhna ya aik ghulam azad karna hy . tho faqer sy kya murad, aur aj kl k zamany mai ghulam kaisy azad karin zara waazahat karin

Answer: Faqeer wo shakhs hai jis ke paas apne or apne ghar walo ke liay saal bhar k Akrajaat nah hoon or na hi koe esa hunar ya sarmaya ho jis ke zarye ye in k or apne akhrajaat chala sakta ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 1889).Or is daur men ghulaam k na hone ki sorat men kuffare ki is shik (option) per amal nahi kiya jasakta baqi 2 options roza ya phir faqeeron ko khilana to mumkin hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 756, Eidition 1417 hij). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamualikum sir mene quran pe hath rakh k kaha tha k me hand job nhi kronga or mene bhuat bhuat kosish ki lekin 25 din bad pir ho gi ab me kia kro plzzz btae

Answer: Is Qasam ki koi sharaee hesiat nahi hai or na hi ap per koi kaffara hai albatta ye amal (Hand job) gunah kabeera hai or iska kaffar istighfar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam mera sawal ya h k meri wife nay qalmy ki qasam khae h k ma ab app k sath nahi rehna chahi or na he ma app k sath khush hn so plzzzzzzzzzz ma bht muhkil ma hn es ka koe hal bten hum kafra karna chahty hn

Answer: Qasam agr sachi khai jaye to makroh hai lekin agr qasam jhuti khai jaye to ye haram hai, is surat men insane gunahgar hojata hai lehaza zruri hai k istighfar kiya jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!