Question: agr koe insan Allah sy wada kry k man ya kam nhi kron ga lakin pher wo insan wo kam kr dy jis k lye wada kea hua tha Allah sy to is ka kya kaffra ho ga????
Answer: Agar Allah say kiye gaey ehad (waday) ki tamaam sharten puri thin to agr Allah say kiya huwa ehed torha jaye tu gunahgaar honay k sath sath zarori hay k kaffara day yani ya to 60 faqeero ko pait bhar ker khana khilaey ya 2 mahinay musalsal rozay rakhay ya aik ghulaam ko azad karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agr insan dil sy kse qsam ko accept na kry jb koe dosra qsam dy to kya ya qsam ho ge???
Answer: Is terah ki qasam ko qobool kerna wajib nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Allha se wada keya tha ke allha muje ullad de do me me app se wada karta ho ke easa nahi karo gha ..allha ne muje ulad de he paar me abi apne wade ke mafi mangna cahta ho plz muje bataye ke mafi mill sakti he muje apna wada wapas mill sakta he
Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Allah ka wada torny ka gunah

Question: ASALAMUALIKUM! QURAN PAK KI KASAM TORANAY KA KAI KUFRA HAI??
Answer: Allah kay ilawa kisi aur ki qasam khanay say Sharae qasam shumar nahi hoti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalam O Alaikum meri ek friend ny mujh sey kaha k 'tumhe tumhari maan ki kasam ainda mujh sey baat na kerna' lekin ma ny us kasam ko accept ni kia aur phir bhi baat ki.. kia esi kasam ka koi kuffara ha ya is trah kasam taurny ka gunah ha????
Answer: Is qism ki koi sharae hesiyat nahi hai, na koi gunah hai or nahi koi kaffara.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam mein nay Quran.e.pak ku choo kr kaha tha k zinah ni krun ga mgr kuch blue picture daikhnay say kuch qtrat/automaticly/niklay.is ka azala kya hai
Answer: Agrche ye qasam sahi nahi hai or nahi iska kuch kaffar hai, phir Zina ek gunah e kabeera hai us se har halat men bachna wajib hai chahe us k liye qasam khaen ya na khaen, isi tarah is tarah ki videos or pics dekhan bhai haram hai(agrchhe katron ka nikalna zina nahi kehlata).(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633).(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr koi shaks Mola Ali(as) ki jhoti kasam khaye tu kia saza ya kafara hai
Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or Moula Ali (as) ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: May 23 saal ka hoon aur mainay quran ki jhooti kasam khai hai, issay kiya hoga kiya aap mujhay bata saktay hai??
Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: May 23 saal ka ladka hyderabad say hoon kiya aap mujhay bata saktay hai ki quran ki jhooti qasam khana say kiya ho sakta hai????