Question: kisi ke dabao main aaker kuran ki kasam khana aur dusra raasta shai na ho.
Answer: Ye Qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir meny takreeban 2 sal phly smoking chor di thi mujy gar walo ny quran uthwaya or kaha k tume qasam ha ab ni pio gy cigret par me ny acha kaha to kya ye meri qasam hogai?
Answer: Is qasam ki kukhalifat ki surat men na ap gunahgar hen or na hi koi kaffara hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: mene apne lover se aik jhooti qasam khai he me bht mjboor hn me agr use sch btati hn to wo khud ko maar dega me a sa ni chahti k usey kuch bhi ho please bataen me kia krun me us se truly love karti hun
Answer: Agr sachi qasam khani jaye to ye jaiz to hai albatta makrooh(na-pasandeedah) hai , or jhooti qasam khana haram hai or baz oqat to gunah e kabeera ban jati hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: azan ki qasam ka kaffara kya hai agar koi gusse mainqasam kha le phr bad main pachtae to hm kya kaffra ada kren
Answer: Azan ki qasam sharae qasam shumar nahi hoti isi tarah gusse ya jazbat men bila-irada or be-ikhtiyar qasam khaye to ye bhi qasam shumar nahi hogi or na hi in per koi kaffara ayega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam agar koi psyco patient ho aur jab bi koi mushkil aye to hr dafa manat mangne ka adi ho aur aisi manat mange ju uss ki bas me na hu ki pura karsaki buht koshish ki baad bi to is ki lie kia hukm hai.
Answer: Zarori hai k nazar (mannat) karne wala baligh aur aaqil ho, apne irade aur ikhteyaar k sath mannat mane lehaza kise aise shaks k mannat maana jise majboor kiya jaay ya jo jazbaat me aakar beghair irade k mannat mane to sahe nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2605 ) Insaan kise aise kaam ki nazar (mannat man) karsakta hai jise anjaam dena is k lye mumkin ho. lehaza jo shaks pedal karbala na jasakta ho agar wo nazar mane k waha tak pedal jaay gha to is ki nazar sahe nahi hai, agar nazar karte waqt qudrat rakhta tha aur baad me aajiz hojaay to is ka mannat mana batil hai.(jab mannat sahi na ho to us ko pura karna zarori nahi hai) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2610) Nazar me swwgha perhna zarore hai laikin seegha arbi me perhna zarore nahe balke kise bhi zabaan me parha jasakta hai maslan koi kehe k mera mareez seyatiyab ho gaya to allah k khatir mujh per lazim hai k me 10 rupee faqeer ko saqa do to is ki nazar (mannat) sahi hai. agr nazar(mannat) sahi ho aur mukallaf jaan boujh kar is per amal na kare to gunahgar hai.ise chahiye k 10 faqeero ko pet bhar kar khana khilaye ya unhe libaas phenaay aur agar in amaal ko baja na lasakta ho to zarore hai 3 din musalsal roze rakhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2604,2633 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Quran ki qasm jhoty ho ye schi 2nu soortun mn mafi kasay mangi jahay????reply
Answer: Agr koi shakhs qasam khaye k men jo kch keh raha hun sach keh raha hun to agar wo sach keh raha hai to uska qasam khana makrooh hai, or agr jhoot bol raha hai to haram hai. (Or gunah ki surat istighfar ki maafi ka tareeka hai)(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638).Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar mein khud ko koi kasam doun ke me ye kaam nahi krou n gi aur phr me wo kasam toor doun tu kya kafara huga?
Answer: Agar qasam tamam sharae sharton per mabni ho to is ki mukhalifat ki surat men insane gunahgar hgojata hai or kaffara wajib hoijata hai , or qasam ki mukhalifat ki surat men uska kaffra ye hai k ek ghulam azad kre ya 10faqeeron ko khan khilaye ya unhen pet bhar kr khana khilaye ya unhen libas ata kre, or agr ye kam anjam na de sake o zaruri hai kl musalsal 3 roze roze rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir kuch arsa pehley meney apney papa ki sir ki kasam uthai k men drink nahi karonga or bhi koi nasha nai karnga to kya ye kasam sai hai ya ghalat???
Answer: Jee nahi ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Assalam u alaikum mera ap sae question hai k agr koi QASAM uthae ar phr us ko tor dae to us ka kia kufara hai
Answer: Agar qasam tamam shriat k sath sahi khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bher kar khana khelaye ya ine libas pinay aur agar in amaal ko na kar sakta ho to zaroore hai k 3 din musalsal roze rakhe. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar ksi k dubao me aa kr Quran pak utha lia jaye or insan wo bat na krna chahy to us k bary me kia ahkam hai kia usy wo qasam har hal me puri krni ho ge ?
Answer: Ye qasam sahi nahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2634) Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).