Question: Aoa, mera sawaal yeh hai k ager koi shakhs yeh khey k mjhe Allah ki kasm main murtad uthaya jau ager main falan larki se nikkah keru. To kya woh yeh kasm tor skta hai or ager tor dey to iska kuffara kya hai?
Answer: Ye Qasam shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Wada kia tha main ne wesy he text par lekin main ne wada torh diya, wada torhny ka kofara kia hy? Kun k islam kehta hy wada karo to pora karo
Answer: Kisi momin se wada krne k bad us wade ki mukhalifat krna gunah kabeera men shumar kiya gaya hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aik inasn ka cal py bat krty huwy apni girlfrieng ko apni kasm dyna or larki ka yh kehna kasam sy main ny nai kiya yha larky ki jhot kasam kha lyna is sy lrky ki zindagi pr kya koi asar ho ga ?
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri dadi jo ki do bar Hajj kr chuki hai. Do din phle unhone jhooth bola aur apni bt ko sach sabit karne k liye Qurane pak ki jhooti kasam khayi. Uske liye kya saza hai aur kya koi maafi ka tareeka bhi hai?
Answer: Jhooti qasam khana Gunah e kabeera hai or gunah maf krne k liye tooba ki jaye.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kisi ne qasam khayi ALLAH ki ke ye kamnhi karunga kiya to ek hazzar bar kaffara dunga
Answer: Agar apne Allah ki qasam khai hai or qasam ki baqi sari sharten bhi puri hen to, amal na krne ki surat men faqt ek qasam ka kaffara ada krna hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar qasam khaye aur sayh kaha ho k agar ye kam mainy na kia to mjy ye nuksaan ho jye aur phir qasam puri na kee ho to nuksaan syy bachny k liye kia krna chaye plzzz btain...
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir ager allah se wada kiya jiye aur baad me us ke dar se usey wapis le lya jye ke khi me wada tor na dn to is ke bary me kya ikhmat hen
Answer: Wssalam o alykum, G han agr Allah se Ahad(Vada) kiya jaye to usko pur krna wajib hai, lekin Ahad ko Ahad us wqt kaha jaye ga Jab apne ye Ahad zaban se bol kr kiya ho (k Men Allah se ye Ahad krta hun k ainda men ye Gunah nahi krunga) lehaza faqt Ahad ki niyat krne se us per amal krna wajib nahi hota (arche gunah se bachna hr surat men wajib h), phir bhi ehtiyat e mustahib hai k agr dil se bhi ahad kiya jaye to us per amal kiya jaye (albatta wajib nahi hai) lehaza agr apne ahad k alfaz ko zaban se ada kiya hai to vada pura na krne ki waja se ap 60 faqeroo ko peat bhar kar khana khilayen ya phir 2 mahine ke musalsal roze rakhen (yani in dono kamon men se jo ap chahen anjam den) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2631-32). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar mainay quran ki jhooti qasam kha li baghair quran per haath rakhay hoay aur hus yeh kaha keh quran ki qasam mainay yeh nahi kia tou yeh qasam qabool hoi kya? Iska gunnah hai? Kaffara kya hai?
Answer: Jee haan bilkul ye qasam shumar hogi, lehaza agr apne sachi bat ki qasam khai hai to ye jaiz hai albatta makrooh(napasandeedah) hai, lekin agr apne jhooti bat ki qasam khai hai to ye haram hai or ap gunahgar hen albatta is per koi kaffar nahi hia siwaye ye k ap istighfaar kren. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 691, Eidition 1417 hij). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kisi b ghalat baat ya ghalat kaam k liye qasam khana kesa hy? matlab ye kasam khana k me qasam khata hon k me sharab pion ga. ya me qasam khata hon k me ye bura kaam karun ga. please answer me. me boht pareshan hon is baat ko ly kr.
Answer: Ye qasam sharae shumar nahi hogi q k sharae qasam ki ye shart hai k jis kam ki qasam khai jaye wok am haram ya makrooh na ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager ma ke qasam khai jaye ka ma tjh c bt ni kru ga tw
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).