Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7767
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam alikum mara sawal ya ha ky me ne 1 larky ky naam ki kasam khai jo ky mara magatar ha. me ne gusy me kasam khai ha kya muj par kufara ha us kasam ka

Answer: Jee nahi ap pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7837
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo Allaikum,mera sawal mannat poora krny k bary mn h,agr aik bimar bchy k bary mn mannat mani gai h k agr yh sehat yab ho gya to usy hifaz kraen gy pr kisi wja se poori nai ki ja ski to isk bary mn islam mn kia hukam h,Quran or Hadith se.

Answer: Ye nazar (Mannat) sahi nahi Q k nazar kerne men ye baat lazmi hai k jis cheez ki nazar ki jaye wo insan ko khud anjam deni hoti ha. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604-2630).Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7879
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager koi larki kisi ka aga quran pa hath rakha ka kisi r se shadi nai kara gi r pr ghar waloon ka na manana ki waja se usa majboran kahin r shadi karni para r wo larka bhi usa moaf kar da tu is ka kya hal hai

Answer: Ye Qasam sahi nahi hai lehaza koi kaffar wgera nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera swal yeh hai k meine quran pr hath rakh kr qasm khae thi k ma galt kam nahi kro ga lkin mjse phr se wahi galt kam ho gya jis ki wja se ma bht pereshan hon plz agr iska koe kuffara hai toh mjy btaye ma bht preshan hon ????

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7934
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: maine kasam kahi hy aur kaha mai yeh kam nhe kron ge aur agar mai kron to mere mout ho jaey....ab mai yeh qasam torna chate hon to kia mai isy tor skte hon,agar mai ye qasam toron to kuch hoga to nhe??

Answer: Is Qism ki halaf or qasam ki koi sharee hesiyat nahi hia. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7948
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ny aor mere fiance ny quran pe hath rakh k aik khalaf lia tha..... Magar mere fiance k liy wo khalaf pura krna be-had mushkil ho gya hai.... Aor wo mujy khalaf torny k liy force kr rahy hain.... Plzzzzz mujy is ka solution bta dein.... Jaldi plzzzzz

Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7970
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran pak ki jhouti kasam khanay ka kaya kufara hai? jo manay jan boj kar bola hai

Answer: Agr koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to ye qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai.Albatta iska koi kaffara nahi hai(istighfar hi is gunah ki maghfirat hai) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638) Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8170
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr hm ALLAH Tala cy koi wada kren dil m or wo toot jy to us k liye kya krna chahiye or aik bar quran pak prhny k bad kia samny hi quran pak k lekin tot gya

Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8230
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ne qasam uthai thi k main ALLAH ki qasam kha kr kehti hn k next nai krun g aise tum se lekin ab m us halaf ko wapis laina chahti hu to plzzzz mjy btayein m kese ln wapis

Answer: Qasam ki pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojaeyen gi or aap per kaffar wajib hojaey ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Id: 8243
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr 2 insaan mill kar khas jaga khary ho kar kasam khaye k hm esa kam ni kary gy 2 sall tak to phr wo e 2 insaan ye kahy k ham kasam wapis lety ha or wo kam karty ha 2 sall sy pehly e jis ki kasam khai thi to kafara ho ga k ni

Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffar wajib hojayega. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!