Question: mene gusse me khud se wada kiya ki me apne dost se baat nahin.karoonga bt baad me mujhe lga ki mene gusse me glat waada kar liya hai aur me apne doat se baat krna chahta hoon to kya ye waada toda ja skta hai...
Answer: Is qism ka wada or ahad durust nahi or is ki koe haisaiyat nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2630-31). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mekn jis sa bt krti hun usne mje kha k kasam khao quean p hath rakh k kisi sa b bt ni karo ge chahe wo czn ho chota bra koi b mein na kha le eo kasam qaim hai mein na hath rakh k kalmat nol dye to mein kasam khatamnkrna chahte hun koi kaffara bta dein plz
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera ye question h k mene apny papa ki qasam khai h or Allah ki ab jis ki wja s mene khai th wo wapis nae le rha h lekin m wo kam krna chah rhi hn agar m kasam torti hn tw kia hoga kia kufr h
Answer: Aap ne jo papa ki qasam khai hai ye qasam sharae shumar nahi hogi, Albatta agr apne Allah ki aisi qasam khai ho jo sharae qasam ki sari sharton per mushtamil hon (jese apne frmaya k Allah ki qasam khai hai) to is surat men is qasam ki mukhalifat kerne se aap gunahgar hojaen gay, lehaza aap per kaffar dena wajib hojayega, yani 10 faqeeron ko pait bhar ker khana khilaey ya phir unhen poshaak (libaas) pehnaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Mainy aj quran ki jhooti kasam Khai uper hath rakh kr us kam k liye jo Mainy hi Kiya tha or kaha k main ni kia agar mai aisa na krta to Meri job chali jati or ab main Bohat pershan ho? Plezzz batayn main kya kro kya Allah mujy maff kray ga, ya ni?
Answer: Agar koi shakhs qasam khaye k me jo kuch keh reha hoon sach keh reha hoon to agar sach keh reha ho to qasam khana makrooh he aur agar jooth bool reha ho to haram hai,Lakin is k kaffara nahi hota he (lekin chonke ye ek haram kam hai lehaza sache dil se istighfar ki jaey, allah maaf kerne wala hay). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Maira sawal ye hai k maine quran par hath rak kr kaha hai k main jis se pyar karti hun us se baat nhi karungi ab muje bht dar lag raha hai k agr maine baat kr li to iska kafara kaisay ada karun
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mene quran pe hath rakh kar qasam khai thi k me kabi cigarette nai piyonga lekin me yeh pori nai kar paya hun.. mujhe iska kafarra bataeye
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalam o Aykum, maine apnay ap sy kasam othei the khud apnay samnay bht pak jaga py hath rakh k kabi namaz ni choro gy r roti sirf ak tym ki khao gy lkn mai is py pori ni otar saki.
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza us qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 23-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar Allah se kiya wada toot jay tu us ka kafara kaisay aada ho sakta hai? maine Allah se wada kiya tha k main 10 din tak Cigarette ni peeon ga but main yeh wada katam karna chata hn..... tu is ka kiya hal nikal sakta hai???
Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa maine qasam khai the k me din ka khana nai khaonga sirf raat ko thora sa khaonga or mujh s y qasam tot gai to ab mujhe kya karna chaiye
Answer: Agr apki qasm sharaee lihaz se sahi hai to ap pr kaffar wajib hai yani 10 faqero ko pait bhar kar khana khilain ya in ko kapre pehnaen(matlb libas ata kren), or agr ye kam nahi kr sakte to 3 din musalsal roze rakhen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meinne kasam le k ager mein apni baap k olad ho message Nai karoge teacher ko an me kasam kese toro
Answer: Ye qasam durust nahi hay. aap is ki mukhlfat ker sakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2633). Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).