Question: Salam.mene kasam khaya k ager me apni baap k olad ho me apne teacher ko message nahi kroge ab me ye kasam torna chahte ho plz jawab do
Answer: Ye qasam durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri cousin ko dengue fever hogaya tha or mene dil me ye dua ki thi k meri cousin theek hojaye me eid k kapray nahi pehnoongi. Kia ye mannat durust hai? Ab me kia karoon? Agar mene ye poori na karsaki tau iska kaffara kia hai?
Answer: Ye nazar(mannat) durust nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Majboori me ya phir kissi ke badao me aake Quran ki qasam liya ho to uska kya karna chahiye? Usse pura karna chahiye ya nahi?
Answer: Aisi qasam durust nahi, nah hi is ko pora kerna zarori hay. Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam G. Main nay apne aik dost ke Saat aik kaam ke bare main Quran pe hath rakh ke qasam Kiya Tha ke main ye Kaam nahi karonga. Ab agar main nay qasam wapas Lena ho to mujha Kiya karna hoga? Plz must reply me.
Answer: Ye qasam sahi nahi hay, lehaza is per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib bhi wajib nahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2634 ). Update on dated 20-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualaikum qasam aur waada tor dene ka kia kaffaara(penalty) hota hai? Kindly answer with reference
Answer: 1-Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya 10 faqiroon ko poshak pehnaye, Agar in aamaal ko anjam na h day sakta ho to zaroori hay k teen (3) din musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2679). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2-agar koe shak apnay ehed per amal nah kare tu os chahiay k kaffara day yani 60 faqiroon ko khana khilaey ya do mahine muslsal roze rakhe ya aik ghulam azaad kare.(Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2678). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam... Mene Quran pak ki nahi balky surato ko kitab pr hath rkh k ksam khai thi plz bta den ye qasam sahi h ya nhi... Shukriya
Answer: Aisi qasam durust nahi or os ko pora kerna lazim nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2604). Update on dated . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam u alikum mene quran per hath rakh kar vaada kia tha k me ye kam nhi karonga ab me control ni krsakta tou me ab kya karoon ?
Answer: Agar wo kaam kerna jaiz hay tu phir os ko anjam diya jasakta hay, is qurani ehd ki pabandi lazim nahi, laikin agar ye kaam kerna jaiz nahi hay tu phir is ko anjam nah diya jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #692 , Eidition 1427 hij). Update on dated 03-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AOA I need to ask k mne jazbat mn a k Allah ke qasam khai the k mn smoking nai krn ga but after so many years I need it to smoke what\'s the solution plz explain Thanks in advance
Answer: Agar koe shaks jazbaat main aa ker bila irada ya bay ikhteyaar qasam khaey tu oski qasam durust nahi hay. Update on dated 08-04-17. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #2667).(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamalekum Mene ek ladhke na bolne ki mazar ki kasam khai thi par ab me usse bat karna chahta hun kia karun me sahi se bataye
Answer: Aap ki nazar o qasam sahi nahi hay aap us say bat Karen aap per koi kaffara nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2611,2634 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir mene ek ladki se gandi baate ki phone pr hi .......phir jhooti quran ki qasam bhi kha li or uske baad mujhe allah ka khof hua toh allah se maafi maag li mujhe kya krna chaiye
Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 28-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).