Question: salam maine gussay mai a kar quran ki kasam khai or dost ko kaha agar tum aesa nae karo ge tu zindagi mai shakal nae dekho gai ab kya ho sakta hai? kya kaffara ada karne se kasam wapis hogi? mai baat karna chahta hu
Answer: Agar aap ne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 26-12-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr koi zbrdasti quran ki kalmy k bcho ki qasam uthway or hr choti or am bat py qasam uthwa k safai mangy ir dar ay sometim jhuti qasam utha ly to is pr kia kafara ha plz bta daen
Answer: Jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2638 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya mannati roza rkh skte h?
Answer: Jee haan, roze ki mannat maangi jaa sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2615 ). Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya quran pr hath rakh kr kasm uthana jaiz hai ya aesa krna gunah hai q k kuch log khty hai k quran pr hath rakh k kasam uthani hi ni chahiye.
Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Masael e muntakhaba, maslah #1265 ). Update on dated 19-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai ny Allah sey wada kia tha mai aab cigarette nai pio ga ais k bawjoob pia hai abb kia hu ga ??
Answer: Agar Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaey matlab 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaey ya 2 mahine musalsal rozay rakhe. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 13-02-2018.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aoa Mere abu ne mjse qasam khane ko kaha or agr me sch bol deti or kasam na khati wo meri maa ko talak dedete. Mene isi lie jhuti kasam khali QURAN ki. Ab iski kia mafi he?
Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mn ami se Allah r quran ki kasm khao thi k mn chars nai piyun ga lekin mn ne pee lekin ajj mujhy ehssas huwa h r mn sharminda b hun r onda nai piyun ga ab mn kiya krun jo kasm. Thori h uska kesy kafra krun
Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami shartoon ka khayaal rakhte hue khae thi to, to baad men jaan boojh ker us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hon ge, or kaffar bhi dena zaruri hoga, or qasam ko torhne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pet bhar ker khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah ker saken to 3 din musalsal roza rakhen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633-34). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Maine josh me aake apnay husband k sar par haath rakh k kasam khai thi k tumhari kasam mai ye kaam karungi but den mujhse nahi ho paya tou is ka kya kafaara dena zaruri hai plz answer m very tensed..
Answer: Wo qasam jo jazbaat mai aa kar khai jaey wo durust nahi hoti or is qasam main or bhi sharaet maujood nahi hain, is liay ye qasam batil hay, or is ko poora kerna zarori nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634).khuda aap ko uloom e aal e muhammad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye.
Question: Mujay imam E zamana As ka qasam mila hai k cigarette aj k bd ni piyo gy agr mai ny piya tu kiya ye qasam sahi hai is ka kofara hoga?
Answer: Ye qasam durust nahi hai q k is mai qasam ki sharait moujood nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2633,2634). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamalekum , aghar koi kese majboure se Qasam kale (ya kese sai dar kar) to os ko tor na jayez ha ya nahi
Answer: Aisi qasam durust nahi hai q k qasam ki sharaet main sai hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah khoie maslah no 2680). Update on dated 18-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).