Question: Agar koi mjsy zabardasti kasam khilwaey olad ki tou kya wo pori krna zaruri h ya uska kaffara?
Answer: Jee nahi aisi qasam durust nahi hai balakeh qasam ki sharaet mai sai aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2634 point 1). [Updated on 29-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir maine jazbat mai akar quran ke kassam khae matlb gussah mai akar lakin mujhe pata ha mai yeh kassam qaem.nahi rakh sakta yeh toot jaye ge toh eska hal
Answer: Aisi qasam sahi nahi hai lehaza os qasam per amal karna wajib nahi hai aur kaffara bhi wajib nahi hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2634 ) [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sawal ye hai k choti umar main bghyr smj k kisi k kehny pe quran pe hath rkh k khayi kasam ko pura na kr skny ka kaffara?
Answer: Is tarah ki qasam durust nahi hai qasam soch samajh kar pore hoosh o hawaas main apne ikhteyaar sai khaai jaati hai albatta jhoot kaha hai tu us ka gunah milay ga lekin qasam durust nahi lehaaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633). [Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir m ne quran pr hath rakh k sb family k samne jhoti qasam khai k m Mobile pr bat nahi kr rahi thi jb k m kr rahi thi m bht dar gai thi aur apne parents ki izat b qaim rakhna vhahti thi kya kaffara ho ga ic gunah ka??
Answer: aghrchah aap nay yeh haram kaam kia hay lekin is say kaffara wajib nahi hota.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2628) [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gussa may aa k agr Allah ki ya Quran ki kasam kha k kaha jaye k may yei kam kro gi aur phr ab jb bd may ehsas ho k may yei ni kr skti ya mjy ni krna chahye tu ab kya krna chahye
Answer: Yeh qasam sahi nahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634 ) [Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai na ek bandy k bary ma baat ki jo usy pata chal gae to mai na apni beti ki qasam kah li k ma na ya baat is tarh ni ki jab k bad ma ma na Allah sy maafi b mangi ..kia mujy apni is jhoti qasam ka kafara daina hoga ..kun k maira zameer mutmain ni horha
Answer: Quran ki jhooti qasam khana jaiz nahi hay, laikin is jhooti qasam khane ki wajah se kafara wajib nahi hoga. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264). [Updated on 26-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: main ne kisi ikhtelaaf pr apne baitay ki jhoothi kisam khaye k aisa bilkl nhi hai... kya ye kasam ki islam main ijazat hai. kya espr koi kafara banta... please update me... thanks
Answer: Nahi ye qasam durust nahi or koi kaffara nahi hoga q k is mai qasam ki sharait moujood nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai us ka gunah aap ko mile ga or is liye aap par lazim hai k khuda sai tauba karain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 mslah no 2633,2634). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine kasam khai foat hoe bnde ki uska kia kafara hai Or usay us bnde ko koi fark par skta hai ya nai?
Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k qasam mai ye lafz bola jaaye k "allah k liye" ................... is ka koi kaffara nahi hai lekin jo jhoot bola hai uska gunah hoga uske liye laazim hai k aap tauba karein. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir mera sawal ye hai k mene jazbat m aake quran ki qsm khali prrr mjh pta h k m wo kam again kbh na kbh ghlti se krnga pr mene aj toba bh krli h k ab kbh aesi koi qsm nh khaunga to abh jo khai h uska kia krn ,,,,..
Answer: Jazbaat mai khaail hoi qasam durust nahi hoti.koe kaffara nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2633). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meine kisi se jazbaath me aakar na milne ki allah ki kasam khayi thi...ab mujhe milne parr majboor hona padhraha haii...meri kasam ka kya hoga...mujhe saza milegi..kaffara dena hoga?
Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k jazbaat mai na khaai jaaye or qasam kisi haram kaam ki nah ho. lehaza ye qasam durust nahi or is ka koe kaffara nahi hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2633). [Updated on 09-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]