Question: Assalamualaikum maine gusse m aakar Allah ki Kasam kha li k ghar m kisi k liye khana nhi banaungi Lekin ek month Baad khana banai Kasam todne ka kya kuffa ada karna please mughe bataye
Answer: wsalam. Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahi hai lehaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634). [Updated on 05-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main nay masjid main baith kar qasam khaai thi or Allah Taala say ehad kia tha k aynda jhoot nai bolun gaa..... Lekin main nay phir jhoot bola hai..... Ab mjy kia karna chahiye.....?? Please tell me....
Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami sharto ka khayal rakhte huay khai thi to baad men jaan boojh kar us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hoonge or kaffara bhi dena zaruri hoga or qasam ko torne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah kar saken to 3 din musalsal roze rakhen (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition# 41, mafhoom e maslah 2633 34). [Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi ne quran pay hath rakh k mere liye qasam khai k tm se jhoot nai bolon gi pr wo abi b bol rahi hai, mein kisi tarhan is qasam ko khatam krna chahta hun ta kay uska nuqsan na ho. Matlab k wo agar ab jhoot bolay b to qasam lagu na ho us pay.
Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa jazbaat mai qasam na khai ho wagaira wagaira ref tauzeeh ul masail ayatulah seestani edition 41 maslah no 2633 2634 [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere ek friend ko uski ammi ne apne sar pe haath rakhwa ke kasam di hai ke wo mujhse na mile...par wo milna chahta hai...kya wo qasam tod sakta hai??
Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera shohar mujhse bat bat pe quran uth wata hy . Usne mujhse bola k tum quran uthao . Mene quran utha k jhot boly . Tu me iska kaffara kese ada kru. Pls help me
Answer: Qasam wo hoti hai jo apne ikhtiyaar sai khaai jaye or us mai deegar sharait bhi hon tou qasam kehlaati hai warna qasam durust nahi hai or is ai kaffara bhi lazim nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai ye gunah e kabeera hai lehaza is k liye taubaa laazmi hai.Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633-2634) [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere dost ko unki mummy ne kasam de ki.. Wo kasam khaye ki wo kisi se baat na krre ph pr aur unhe mummy ki baat maan kr kasam leni padi pr mere dost ne ph pe nhi msg me baat ki.. Kya ye kasam Valid hai kya iss Kasam ka Kaffara nikalega.
Answer: jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634) [Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mene apni behan ki jhooti qasam khai ke me ne mazi me galat kam nhi kia lekn mene kia tha mene apne rishte ko bachane keliye qasam khai thi iska kia kaffara hoga?
Answer: Nahi behen ki qasam jhooti khana durust nahi hai qasam ki kuch sharait hai jese qasam khaate waqt ye alfaaz adaa kiye jaaye "allah k liye...." lekin agar jhoot bola hai tou wo gunah e kabeera hai us ki tauba karni hogi magar kaffara nahi hoga.(ef:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mery shohr ny gussy main kaha k agr main tumry pass aon to in bachon ka baap na hon is ka koi kfara plz bta den
Answer: Is tarah ki baihodah qasam ki koe ehmiyat nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). Update on dated 13-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum. Sir mainy ghusy mai qasam kha k apni dost sy kaha k ainda mai tm sy bat nai kronga but mai ny phr b us sy bat ki. Allah ki ksm khai thi. Ab mje kia krna chahye
Answer: Agar aap ne jazbat men aakr bila-irada ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2634). [Updated on 17-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Maine apni ma ki Kasam khai ki Mai apna bhai Ko marunga .. Mai apni ma ka taraf se majboor ho ab use nahi marsaktha,to ab mujhe kya kaffar Dena padega is Kasam Ko todh na ka Liya.
Answer: is tareekay ki qasam durust nahi hai kyun k qasam allah k liye khaai jaati hai lehaaza is ka kaffara nahi hoga or doosri baat kisi ko marna jaaiz hai .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 05-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]