Question: Main jazbat m a k ALLAh ki kasam uth par phr pore nu kr sage tu kia mje kaffara dena huga
Answer: ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634) [Updated on 17-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamalikum. Ma nay Quran par hath rakh k qasam uthi thy k m us sa Shadi k 3 saal wait krlon g.. Ab m wo qasam ni nibah raha uska kafara kya hoga???
Answer: is tareekay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 25-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Many Ami sy narz ho KY Allah k qasam khae KY man apsy BT nae kron g .. jbky man janti thi yah Galt Hy B's gusa man bole gae.. iska Kya kufara ho ga
Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). [Updated on 16-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mjse kise friend nay Quran pr hath rakhwa k qasam uthwae thi k agr tm jhot bolo tu tmhy koe ulaad na hu tu ma nay thora jhot r thora bol k qasam utha le kise majbori ki wja se . Ub iska qafara kia hu ga iski kia maufi ha
Answer: Is tarah ki qasam ki koe ehmiyat nahi hay, aisi qasam batil hay.jhoot bolna gunah e kabira hay. (Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634++ Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30) [Updated on 16-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi ne mujh se poocha ki tu usse baat krta h kya.Maine kaha ki m usse baat ni krta aur qasam kha li message likh ke.jbki m usse baat krta hu.maine zabaan se ni khayi qasam lekin message se khayi.kya mujhe kuffara dena hoga ?
Answer: is tareekay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ne qasam khai thi k mai Ab bura Kam nhi karoo ga agar mai tur dyta hoo tu is ka Kiya kufara hoga plz
Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffara wajib hojaye ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma na allah ki jhoothi kasam kha li ha....ab mujhe kia krna chahiye
Answer: jab koi shaks qasam khaye ke falan kaam anjam de ga ya tark kare ga masalan, qasam khaye ke roza rakhega ya tambako istemal nahi karega to agar baad me jaan bojh kar is qasam ke khilaf amal kare to woh gunehgar hai aur zaroori hai keh kaffara de yaani aik ghulam azad kare ya das faqeeron ko pait bhar khana khilaye ya unhe poshak pehnaye (kapre de) aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen din tk rozay rakhe. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul Masail, Masla no 2633). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine apni ma kk qasm khayi k agr tm shadi me gyi to me nambr bnd kr dungaa rhsta nahi krungaa or bhi boht kuch kaha or ab me rishta rakhna chata hn kiaa iska koi kafara ha
Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene mere bete Ki kasam khae k me mere shohar k saath hambistari (sex)nahi kraugi..Lekin abb vo mujhse zabrdasti karr rahe hai to Iska Kya kaffara hai.
Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualekum Meri Ammy be mujhe kasam Di thi ki mujhe apne lover se bat nahi krni Hai ab, pr mene usse bat karli kuki uski zindagi Ka sawal th, Ab kya kyaa ja skta hai btaye.??
Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffara wajib hojaye ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). Note: ye qasam qasam ki sharaet k mutabiq nahi hay is liay is qasam ki koe ehmiyat nahi. [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]