Question: Main ney apny dost Kay kehny per qasam kahi Kay mujhy Meri class ka ik larka acha nahi lgata. But wo jhooti qasam thi. Lekin text per kahi this qasam. What should I do?
Answer: is tareekay ki qasam durust nahi hai albatta jo jhoot bola hai us ka gunah milay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main ne dukh aur gusse main ek kasam khayi Quran e Pak pe hath rakh k aur Allah ki kasam kha k main ye ab kaam nh kroongi aur agar aisa kia tou meri zindagi barbad hojae. Lekin ab wo kaam main krna chahti hoon. Aisi soorat main kya kia jae? Please help.
Answer: Qasam agar sharae sharton per mushtamil ho to uski pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojayenge or ap per kaffara wajib hojaye ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum... AGR ma kisi ko majbor kro k wo mujy apni qsm da or khy k tum ya kaam kbhi nhi kro ga..but ma us ki qsm tor data ho or wo kaam kr lata ho jub k Mara irada qam torny ka nhi hota...kaya is par koi qifara bnta ha...?
Answer: Allah ky nam kay alawa kisi or ki Qasam kahna motabar nahi hay..(Ref: Ayatullah Sistani d b tauzeehul masail 2019 edition maslah 2634) [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: maine jhoti qasam khae apni maa ki aur jhoot bola aud samne wale ne bola k agr qasam jhooti to teri maa mar jae.. please koi kaffara btain i love my mom
Answer: is tareeqe ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 7 Nafli rozon ka kaffara kiya hain? Mai may 7 nafli rozayn manay thay but rukh nahi sakhi abhi tak.
Answer: Agar roza rakhna namumkin ho tu phir ehtiyaat e wajib ye ke har din ke roze ke badle 750 giram giza faqeer ko sadqa den. ya 50 kilo giram giza us shakhs ko den jo is ke badle roza rakjhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2610 ) [Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mainy aik mushkil mae 10 rozay ki manat mangi thi jismy sy 3 rakh liye hain, baki mai nai rakh paa rahi, un 7 rozo ka mjhy koi hadiya bata dyn.
Answer: On mawaqe main jahan roza rakhne ki nazar ki ho or roza nah rakh sakhe tu ehtiyaat e wajib ye hay keh har din k roze k badle 750 gm ghiza faqeer ko sadqa day ya 1.50 km ghiza os admi ko day jo os k badle roza rakhe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2610). [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: May nay Ami Ami ki kasam khai this my dosri Shaadi nai kro ga lakin mayri Ami k intekal ko 2 sal ho gy hai or my dosri Shaadi krna chata ho to my KR sakta ho ya nai?
Answer: Is tariqe ki qasam durust nahi hai kyun k qasam Allah k liye khaai jaati hai .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634) [Updated on 03-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine apne aap se allah ki kasam khayi k ab mai ye kaam nahi karoonga aaj lekin maine wo kasam tordi or wo kaam kardiya to kya ab kaffara lazim hai?
Answer: Agar aap ne qasam ki saari islami sharton ka khayal rakhte huay qasam khai thi to baad men jaan boojh kar us qasam k khilaf amal kiya to gunahgaar hoonge or kaffara bhi dena zaruri hoga or qasam ko torne ka kaffara ye hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khana khilaen ya phir unko libaas pehnaen or agar ye kaam nah kar saken to 3 din musalsal roze rakhen (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition# 41, mafhoom e maslah 2633 34). [Updated on 11-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hum Kisi ki qsm khatay hen phr so torty hen Abu ki ya Ami ki to Kia unko nuqsan hoga koi mtlb jiski qsm khae hy usko?
Answer: Is tariqe ki qasam durust nahi hai kyun k qasam Allah k liye khaai jaati hai .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gusse(anger) main kis ko di hui qasam chahe woh quran ki ho ya kisi insan ki (without intension).. Kya yeh qasam mai consider hoga k nahi. Please answer my question
Answer: Is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634) [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]