Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11830
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main nai Aik banday say mele ty or phir mujh say zabardasty quran par hath rakhwaya hai Ke tum mele ho ya nahe main nai quran pak par hath rakha Ke nahe main nahe mere jhut bhula abb eska Kya kafara hai

Answer: ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam zabardasti khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2634) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11891
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera question h k agr apne koi manat mani hui k mera ye kam ho jaiy to mi 1 mnth k rozay rakhn gi but apka kam ho jaiy or ap rozay na rakh pa rhe ho 1 2 bar strt kr k continue na kr sako to kya krna chaiy?

Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera fulan kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k roze rahunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to roze rakhna ap per wajib hai, agr nahi rakhenge to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11951
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamalikum.Maine kuran Shareef ki jhuti kasam khaya uska kufara kya hai.maine pheli baar kasam khai hai.bohut bada gunaah Kar Diya Meri madad kiyai

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki shareit moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2633,2634) Agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). [Updated on 04-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11983
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine apne aap se Allah ki kasam khayi ab mere se wo poori nahi hori to kya mai waapis lesakta?

Answer: Qasam ki pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojaeyen gi or aap per kaffar wajib hojaey ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11984
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine apne aap se Allah ki qasam khayi lekin ab wo qasam poori ni hori to kya mai waapis lesakta?

Answer: Qasam ki pabandi karna zarori hai. Or mukhalifat ki surat men ap gunahgar hojaeyen gi or aap per kaffar wajib hojaey ga. Or Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karen ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na de sake to zaroori hay kay teen (3) din musalsal rozay rakhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 263-34). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11994
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is kaffara for not fulfilling mannat.

Answer: 1 ghulam ko aazaad karay ya10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaaye ya unhe poshak pinhaaye or agar ye aamaal bajaa na laa sakta ho to 3 din musalsal rozay rakhay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12099
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene kasam khai k allah ki ksam jo bhi bola sach bola or agar jhut bola ho to tum barbad ho jao esa mjhse bulaaya gaya me bolna nhi chahti thi kyuki jo bte mne boli unme se kuch bate jhut thi to iska azab samne wale par aega or iska kaffara kya hoga

Answer: Ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam majboori mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is per tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2634) [Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12171
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujy kisi ne qasam dii ki mere sath baat nahi karnaa phir ussi insaan ne qasam wapis bhi lii bola ki mainay qasam wapis lii ab aap mere sath baat kar saktay hou kya mai us insaan k sath baat kar sakta hu?

Answer: Is tareeqki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). [Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12342
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main unmarreid hoon Maine quran pe haath rakh kr kasam khai ki main masturbate nhi karunga lakin mistake se ho gayi ,maine kaffara de diya hai pr kya kasam dobara se mujh pr lazimi rahega ya khatam ho gaya.

Answer: 1) Jee nahi is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai quran pe hath rakhne se qasam nahin khai jaati. is qasam pr koi kaffar nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634) 2) Istimna (hand practice/ masturbation) karna gunah e azeem hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #30 , edition 2009). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12368
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine qasam khaaye thi kisi insaan ki k mai yeh kaam nhi kruunga pr mai woh qasam bhool gya aur mujhe abh yaad aya hai iss soorat mai mujhe kya krna chahiye?

Answer: is tarah ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!