Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ma na kisi larki ko Allah ki qasam di thi k ma tm sa dubara baat nhi krun ga lakin ma kasam tor di or dubara baat krli ma bht sharminda hun apni harkat par plz muja bta dein is ka kafara banta ha or kitna banta ha junaid

Answer: Agr apki qasm sharaee lihaz se sahi hai to ap par kaffar wajib hai yani 10 faqero ko pait bhar kar khana khilain ya in ko kapre pehnaen(matlb libas ata kren), or agr ye kam nahi kr sakte to 3 din musalsal roze rakhen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12397
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mn ny ager cigerate na peeny ki kasam khai hai or wh bhi surah yasin ki kasam to kya mjhy gunnah hoga ?

Answer: Jee nahin, is tariqe ki qasam durust nahi hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai quran pe hath rakhne se ya surah yasin ki qasam nahin khai jaati. is qasam pr koi gunah ya kaffara nahi hai q k ye qasam hi sahi nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2633,2634) [Updated on 19-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12403
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamu alikum Sir Agr Koi Insan Quran Pak Pe Hath Rakhe Or Us Insan Ki Niyat Naa Kasam Khane Kii Quran Pak Pe Hath Rakhne Kii Majbori M usko Esa Karna Perhe Jab Ke Uska Dil Na Ho Niyat Hi Naa Ho Toh Kya Wo Kasam Hojati Hai

Answer: Jee nahi aisi qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12425
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia baap ki kasam khana jaiz hi? ya kisi insan ki? or iski pabandi hi?

Answer: jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi maani jaaye gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634 point 3). [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Father KO razi Karna Kalai os ka sir ke jhoti qasam kanha jaiz hai Ya nahi?

Answer: ye qasam shumaar nahi hogi q k qasam ki sharait mai sai hai k allah k liye qasam khaai jaaye albatta kisi ko raazi karne k liye jhooti qasam khaana gunahan e kabeera mai sai aik hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum maine Allah or Rasool E Pak ki kasam khai thi ek chez se dar ke ke mai ye kam nhi karunga kabhi to agar wo kasam puri nhi krpae to kya hoga

Answer: wsalam. agar allah k liye qasam khai thi or deegar sharait bhi moujood thi or phr qasam poori nahi ki tou zaroori hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhe poshaak pehnaaye or agar ye na kar sakta ho tou zaroori hai k 3 din musalsal rozay rakhey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633) [Updated on 22-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab maine kisi wjh se apne bache ki juthi kasam kha li thi. kya use kuch ho jaega. mai iska kaffara kaise ada kru. please btae

Answer: is tareeqay ki qasam durust nahi hai lekin aap ne jhoot bola hai wo aik gunah e kabeera hai us ki taba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634). [Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujhy sy zabardasti quran py hath rkhwa ky kasam uthiye gye ky mein ek insan hai us sy batt nhi krn gi lkn mein ny wo kasam toor di..kia yeh zabrdasti ki kasam mujh py haii!?

Answer: Jee nahi is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 2680) [Updated on 29-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12523
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum.. Mene ghusy mein ksm othayi k main isi ki ksm othati hon k isy bat nai krongi ab.. Aur bad mein rha na jaa rha ho aur woh bhi takleef mein ho is fesly ki wja sy to kya Kiya jaye..?

Answer: wsalam. jo qasam ghussay mai yaaney ikhtiyaar mai na khai jaaye wo qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634) [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12526
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohr say nraz ho kr quran pak pr hath rakh kr kaha ke mai aap k lye mar gai to iska ka kia hukum hoga

Answer: is tareeqay ki qasam ki koi sharai haisiat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 06-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!