Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12527
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hello sir mein nay aik larki se msg pe kaha k mein quran pe hlf deta hu k agr tm nay 10 mint mein mujhe hello ka msg na kiya toh bat nhi kru ga kabhi bhi zindagi mein munh nhi lgau ga tmhe kindly mujhe hal btain mein uss se bt krna chahta hu

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 07-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12535
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Allah ki taraf hath main ab yeh kam nahi karo gi aur phir wo hi kam karn iss ka kaffora

Answer: Agar allah k liye qasam khai thi or deegar sharait bhi moujood thi or phr qasam poori nahi ki tou zaroori hai k 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhe poshaak pehnaaye or agar ye na kar sakta ho tou zaroori hai k 3 din musalsal rozay rakhey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12536
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Apna maa baap ki kasam khana aur phir us ko thora dana iss ka koffor kya maa baap ki kasam khana ka bad thoran per maa baap per kuch asa pary ga un ko kuch ho ga tu nahi. maa baa ki jhoot kasam khana khan kasa hai

Answer: is tareeqay ki qasam durust nahi hai lehaza kaffara nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine apni ami se quran pr sedha hath rkh kr ksm khai thi k me ek lrke se bt nhi krogi na os se rabta rkhogi na ose pcs dogi lkn os lrke ne meri ksm ka kuffara dedia hy tou ksm maff hogai.. Aisy koi ksam mani jayegi?

Answer: 1) Is tarah ki qasam durust nahi hai lehaza aap par kaffara nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). 2)Jins e mukhalif se dosti kerna (mohabbat) jaiz nahi koun ke gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12565
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene jaldi mein aur pareshani aur jazbaat mein quran ki kasam utha li aur kaha ke azanein ho rhi agr mein jhot bol rhi to Allah behtar janta hai kia yeh kasam consider hgyi hai ? Agr han to mein kia kafara adda krn?

Answer: Is tareeqay ki qasam durust nahi hai lekin jo aap ne jhoot bola hai is ki tauba aap par laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine gusse me aakar apne shohar se boli ki mai khuda ki kasam khati hu ki mai aap k nazdik nahi aaogi. Kya meri kasam consider hue? iska kufur?

Answer: Jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki kuch sharait hain un me se aik shart ye hai k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye gusse me na khaai ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2634) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12807
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran py hath rkh k kha k me aisa kam nh krun ga or wo kam bad me kr liya to is k bary me kya ihkam hn.. kya koi kfara hai kindly guide kren jaye

Answer: Quran pe hath rakh kar qasam nahin khaayie jati lehaza Is tarah ki qasam durust nahi hai aur par koi kaffara bhi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12889
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alikum maine rasool ki kasam khai jise pura na kar saka Kya iska kaffara hai ya ye kas jayaz nahi

Answer: wsalam. Is tarah ki qasam durust nahi hai lehaza kaffara nahi hoga (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12939
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamu alikum sir mera sawal ye hai ke me bar bar naswar ke liye allaha ki qasam kha leta ho ke aj ke bad nai rakho ga lekin me phir rakh leta ho

Answer: Ye qasam baatil hai kyun k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is ki tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2634) [Updated on 17-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12959
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar jhuthi kasam khane se koi rishta durust hota ha to kya jhuthi kasam jaeyz ha

Answer: Jhoot bolna haram aur gunah e kabeera hai. jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. Laikin Momineen k darmiyan sulah karwane k liay jhoot boolna jaiz hay, aur ehtiyaat e wajib ye hay k pehly tauriyah kiya jaye, aur tauriyah nah kar saknay ki sorat main jhoot par iqtesaar kia jaye. (tauriyah yani alfaaz k zaheri mafhoom ko chor ker dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko chand minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (yani irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahi dekha).(Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b, part # 1, masla # 30). and (Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b, part # 2, masla # 38) [Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!