Question: Mein ik larky sy bat krti thi fr mein ne Allah ki Qasm ohtaii Dr or taklif mein k mery b.f ko PTA na LG Jaye or mein us ka trust kyun tour rhi hun k mein iss sy ik Month bat nhi krun gi agr krun tu mein jis sy Pyar krti Hoon wo mjh sy door ho jaye
Answer: 1)Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) 2)Aap ko ik Fiqhi Maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: ye mohabbat jaiz nahi hai q k jins mukhalif se dosti(mohabbat) krne men gunah ka ahtamal mojud hai.(Ref: Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) 3)Is tareekay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). [Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: : Mein ik larky sy bat krti thi fr mein ne Allah ki Qasm ohtaii Dr or taklif mein k mery b.f ko PTA na LG Jaye or mein us ka trust kyun tour rhi hun k mein iss sy ik Month bat nhi krun gi agr krun tu mein jis sy Pyar krti Hoon wo mjh sy door ho jaye ga
Answer: Aik (na mehram) khatoon se aisi baatain ki jasakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66),(Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition,1) 2)Aap ko aik Fiqhi Maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: ye mohabbat jaiz nahi hai q k jins mukhalif se dosti(mohabbat) krne men gunah ka ahtamal mojud hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) 3)Is tareeqay ki qasam durust nahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2634). [Updated on 30-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum mene qasam uthai thi sir sajde main rakh kr k main kabi mushtzani nhi kru ga to kya ye qasam sahi hogi.
Answer: Jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki kuch sharait hain un me se kuch ye hain k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye aur Allah ke liye khaai jaye or allah ke naamo me se kise naam ki qasam khahe jaay lekin sajde me sar rakh kar qasam nahin khaai jati.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2634) [Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri gf ne mujhe meri ammi ki kasam di hai ki call or msg maat krna, mai kya kru? Kya mai kasam tod sakta hu? Kasam todne par koi kuffara ada karna padega kya? Plz help
Answer: Jee nahi is tareekay ki qasam durust nahi hai q k qasam ki kuch sharait hain un me se kuch ye hain k qasam apne ikhtiyaar sai khaai jaye aur Allah ke liye khaai jaye lekin maan ki qasam nahin khaai jati.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2634) Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65) [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi qasam kha le k apny sohar ki kami us par haram hai to?
Answer: Jo qasam ghussay ki haalat ya jazbaat mai aakar khayi jaaye aisi qasam durust nahi hai lehaza is ka kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2634). [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi quran ki qasam khaye k mein cigrate nahi kharidon ga aur phir kharid le to is kasam k torne ka gunah aur kaffara kya ho ga.
Answer: Ye qasam baatil hai Q k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai aur Quran ki qasam nahin khaai jaati, lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahi or is ka kaffara bhi nahi hoga lekin agar jhoot bola hai us ka gunah zaroor milay ga or is ki tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah # 2634) [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr jazbat me kese chez par ap kalma par le ke ayse nhi hi our wo bat aye he ho tu es ka koi kafara hi?
Answer: aisi qasam durust nahi hai lehaaza kaffara nahi hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai wo gunah e kabeera hai lehaza us ki tauba aap par laazim hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum Sir mera sawal ye hai K agr ALLAH SE Wada kiya ha K Mn ye kam nh krn ge or wada tout jye to iska asan kafara kia hoga?? Ku k meri itni istahat nh hai k m 60 faqqero ko khana khila sako...
Answer: Agar wada krne se aapki murad Allah se ahad krna hai or aapne Allah se Wada karte wqt zaban se is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad karti hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr aapne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 39th, Mafhoom e Maslah #2631,2632). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam O Alaikum, mene Allah ki kasam khai ke me kal se kisise bhi baat nahi karonga likn kal aane se phele mene Allah se toba astaghfar kia aur 2 rakt toba ki nafil bhi perhi. Kia kasam phir bhi rahe gi?
Answer: Wa alaikum salam, Is tareekay ki qasam durust nahi hai. Q keh agar Qasam khanay walay ke liye qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi. ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi is ki qasam khatm ho jae gi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition 41st, maslah #2634). (Note: Aap ne jo qasam khaaie hai us men aisa ho hi nahin sakta ke insan kisi se baat kiye bager reh sakay (yani amal karna mumkin nahin hai. lihaza ye qasam durust nahin hai.) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mainay gf kay saath quran pay kasam khaya hai aur woh kasam poora nahi kar paaya kya iska kafaara ho sakta hai
Answer: Quran ki khana qasam durust nahi hai Q k is mai qasam ki sharait moujood nahi lehaaza kaffara nahi hoga. lekin doosri jaanib na mehram sai muhabbat karnaa jaiz nahi hay.(Ref: Tauzihul masael, ayatullah sistani d.b, edition#41, maslah#2634) (Ref:book nigah aur libaas masla#106,pg#69). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]