Question: Assalamo alaikum...Maine apni rishte Ko bachane k liye hone wale shohar ki jhuti Kasam khai h....kya iska koi kaffara h.....main bhut ghutan me hu unhe kuch hoga to Ni...
Answer: Is tarah ki qasam durust nahi hay. Jhooti qasam khana gunnah hay. aap per faqat taubah wajib hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#691, eidition 1439). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein ny aik gunnah kia..Or dobara woh gunnah na ho to khud ko baz rakhny k liye Allah se ehad kia k agr m dobara esa kru tu 1 week ky rozy rakhu ga... M ny phr se gunnah kia woh... Tu kia ab mujhy rozy rakhny hu gy??? Yea rozy nafli hu gy ya kaffara???
Answer: jee, aap per is tarah ki mannat ki wajah se roze rakhna wajib hoon gay.(Ref: minhajus saliheen, part#3, maslah#709, pg#226). [Updated on 28-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein ny apny ammi se KAHA k abbu ki qasam esa kuch nhi Kya mn ny... magar mn ny voh kaam Kya hai to Meri maafi hoskyi hai?
Answer: Baap ki qasam khanay ki koi sharae hesiat nahi hai. aur is tareeqe ki qasam durust nahi q k is mai qasam ki sharait moujood nahi, lekin jo jhoot bola hai tou wo gunah e kabeera hai us ki tauba karni hogi magar kaffara nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, Ghussy m kiay gaey waday ki kya hasiyat h r agr gussy m kiay gya wada pura na kr sakty hn to? Wada insan sy kia gya h .
Answer: W/Salam, Is qism ka wada or ahad sahi nahi or is ki koe haisaiyat nahi. or is wade per amal kerna lazim nahi(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2630-31). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein ne bivi k saamne quran per half liya k mein ne jis se muttah kiya hai us se shadi nahi kero ga na aulad ho gi kya mujhe yeh nibahana pare ga ager nahi to kya kaffara hai?
Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa quran par hath kar qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffar nahi hota hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633,2634) [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager koi larki quran ko saamne rakh ker keh de k uss ne muttah nahi kiya hua or baad mein pta chaly k kiya hua hai to kya iss ne gunaah kiya?
Answer: jhooti qasam khana jaiz nahi hay. (Ref: Al masaelul muntakhaba, masla#1264) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mjy kisi bozorag nay wada liya hy k tum nay apni income kisi ko nhi batani apnay parents say beh nhi, to kia mein apny parent ko bata sakta hon k mein kitna kamta hon.
Answer: Kisi se kia gaya ahed ya wada toorhna gunah e kabira hay. (Ref: Minhajus saliheen, part#1, maslah#30). [Updated on 20-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun alaikum Qibla mera sawal ye he ki agar kisi ne quran pe haath rakh kar kasam khaye or ouske baad jaan bhujh ke kasam tood di to iska kya kaffarah he ....
Answer: Qasam ki sharait mai sai hai k kaha jaaye allah k liye ye kaam karoo ga ya nahi karoo ga is k ilawa quran par hath kar qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffar nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2633,2634) [Updated on 18-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a mae ney apny magthr KO yaqeen dhikny k liy quran py hath rhk k us k sawalon k jawab galt diye yhe bht bar ho chuka mujhy iss bat ka kafrra kasy krna chaiye? plz mujhy guide kry
Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay or is ka koe kaffara nahi hay lekin Allah se sachay dil se tauba kerna zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Edition 1430 hij, Mafhoom e Maslah #30). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri biwi ny ksm uthai k me ny ye km ni kia hai lkn us se huwa ta lkn usy pata ni chala ta meri biwi ny ksm uthai k agr asa kia ho to hamara nikah haram ho? Kia nikah haram huwa hai plz details de
Answer: is tarah ki qasam durust nahi hai. or nikah haram nahi hoga. Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]