Question: Agr ap saa koi wadaa kryy k maa ya kam kroo gaaa or krtaa ho wo kam or aik dfa kisi situation ki wjaa saa wo kam choot jai too kyaa is saa wada toot sktaa?
Answer: Is wade or ahad ki koi sharae hesiat nahin hai. Q k sharae wada(ahad) ye hai k jab koi shakhs Allah se ahad kare k jab uski koi moayyan sharaee hajat puri hojayegi to wo fulan kam karega. Albatta ahad men seegha parhna zaruri hai. Or Isi tarah is per amal na karne ki soorat men kaffara bhi dena zaruri hoga Or is ka kaffara ka ye hai k 60 faqeeron ko pet bhar kar khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe.. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Maslah #2630,2631,2632) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alaikum Main nay gussay mei apni maa ki qasam kha li thiii ... Aur gussa khatam honay kay baad ehsas hua kay ghalat kiya main nay ... Ub qasam jaiz hai ya najaiz ? Aur iska kufara kya hai?
Answer: Is tarah ki qasam durust nahi hai or koi kaffara nahi hoga albatta agar jhoot shamil tha tou us ka gunah milay ga or is ki tauba laazim hai.(Ref:Tauzeeh ul massail edition 41 ayatullah seestani maslah no 2633-2634) [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sirf lafz kasm bolna b kya kasm hoti ha ?
Answer: Nnahi, Is tarah ki qasam durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 20-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun alykum Mera sawal yeh hai k mannat pe mana gaya roza rkhne k time niyat wajib qurbatan illah hogi ya sunnat kurbatan illalah hogi?
Answer: Agar roza rakhne ki mannat maangi gae ho, tu roza wajib ki niyat se rakha ajey ga. Niyat zabaan ya dil say ada karna zarori nahi hay, faqat us kaam ka iraada kaafi hai. aur niyat men wajib kehna ya sunnat kehna zaroori nahin hai, balke faqat qurbatan ilallah irada hi kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah seestani, edition 41st, maslah #930,2615) [Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agar kisi chor ki talash k liye 20,25 bandon se quraan pak pe halaf lia jaye to kya ye gunah hy? Agar hy to jis ne halaf ka kaha us ka kaffara kya hy Plz....
Answer: Jee nahi aisi halaf durust nahi hai or is ka koi kaffara b nahi nay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 22-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia jin logo nay qasam khai ho wo bahimi mashwaray kay sath qasam wapis le saktay hain? Jesay mein nay aur meray dost nay qasam khai thi k hum cigeratte nai piyen gay hum donon ye qasam wapis le saktay hain?
Answer: Aise aik dosre ki qasam khana sharaei qasam shumar nahin hoti. balke sharaei qasam wo hoti jo allah ke liye khaye jaye, aur is tarah ki qasam par amal karna zaroori nahin hai.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah # 2633-34). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar kisi ne jazbat m aa k mannat mangi ho k falana kam ho jae to m koi cheez Allah ki rah m du ga but ab wo chahta ho k bs wo kam na ho jo mannat mangi h wo Puri na ho to us mannat ka kuffara kya hoga?
Answer: Agar jazbaat me aakar baghair irade ke mannat mane to mannat sahi nahin hai lehaza koi kaffara nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #2605). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum. Mene qasam khai ti ke me acha kaam nahi krugi ab mujhe pachtawa horaha hai aur me woh acha kaam karna chahti hun to me kasam thor sakti hun ya kaffara dena parega?
Answer: Is Qasam ki koi ahmiyat nahin hai, or sharaei lihaz se sahi nahin hai. lehaza koi kaffara bhi nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2633,2634) [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam... Meine majboori mei mola ki qasm khali k yeh ab ni krungi or meine kr lia wo kaam ab mjhy kia karna hoga
Answer: Is qasam ki mukalfat jaiz hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart ye hai ke Allah ke naam ki qasam khana hay lehaza Maula ki qasam khana ye sharaei qasam nahin hai. Aur aap par koi zamidari nahin.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2634). [Updated on 02-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mne qasm khayi thi me quraan shreef pe hath rakh k qasm khati hu Ali mera shauhr h ar m ali se kbi jhoot nhi bolungi lkn mne quraan shreef pe hath nhi rkha tha ...kya yeh qasm maani jygi??
Answer: Is qasam ki koi sharei hesiyat nahin hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart ye hsi ke Allah k naam ki qasam khana hay. lehaza Quran ki qasam sharei nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #2634). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]