Question: Assalumualaikum mera sawal ye hai ki mene apne aap ko bachane ke liye kuran ki kasam khali ki me jisse mohabbat karti hu me usse kabhi baat nahi karungi or me usse baat karna chahti hu to kasam agar tut jaye to iska kya Kaffara hoga please bataye
Answer: Is tareekay ki qasam durust nahin Q ke is mai qasam ki sharait moujood nahin lehaaza kaffara nahin hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #2633,2634). Na-mehram larkay or larki ka apas main doosti kerna or piyaar o muhabbat jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Mujtahid Sai Poochay Gay Sawalaat, Part #4, Sawaal# 125). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene Apni Gf (Sajmiya Ansari) Ko Uske Abbu Jo ki iss duniya se rukhsati le chuke allah unhe jannat ata kare mene use guuse me uske abbu ki kasam de di ab mei kya karu? jisse mujhe maafi mile
Answer: Is tareekay ki qasam durust nahi hai. lihaza koi kaffara bhi nahin hoga. (Ref: ATauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2634). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhe Qur'an ki kasam ko lekr waswase Aate hain har chhoti baat pe Or phir mein maan b leti hu ke wo kasam ho gyi or wo kaam Karna band krdeti hu Or aise kaam Jo mein chhord nhi Sakti to mein ab kya Karu
Answer: Is qasam ki mukalfat jaiz hai, Q k qasam k sahi hone ki sharait main se aik shart Allah k naam ki qasam khana hay Quran ki qasam sharaei nahin hai.( or aap apne waswaso ki parwa nakare) (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2634). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ma na Quran ki kasam khai te gusa ma k Tum sa nikah nai kru ga ab karna chahta hu... is ka hal ha koi
Answer: ghussay mai qasam khany sai qasam durust nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633,2634) [Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma na quran ki kasam kahi te k gusa ma k tum sa nikah ni kru ga ..Ab ma krna chahta hu is ka kki hal ha
Answer: ghussay mai khaai howi qasam sharai qasam nahi hai lehaaza nikah kia jaa sakta hai Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2633-2634). [Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ksi ko apni qasam dena k tm ye kaam kro qasam k zumry main ata ha?? Kyun k qasam khana Allah k elawa islam main shirk haa
Answer: Aise aik dosre ki qasam khana sharaei qasam shumar nahin hoti. balke sharaei qasam wo hoti jo allah ke liye khaye jaye, aur is tarah ki qasam par amal karna zaroori nahin hai. or is tarah ki qasam dene haram nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Seestani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2633,2634). [Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Quran Shareef par hath rakh kr koi bt bolna lekin kasam nahi khana quran Shareef ki??? Iski mfii kya hai???
Answer: Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur koi gunah bhi nahin hai. lekin gar jhoot kaha ho tu jhoot ka gunah hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. I am Sunni Muslim and mene ek bar jazbat me qasam khai ti , us waqt mai ro raha tha aur takleef me tha tho us takleef se bachne k liye mene qasam kha li. To kia is qasam ka kaffara dena hoga?
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain. Ye qasam baatil hai Q k qasam apne ikhtiyaar sai allah k liye khaai jaati hai lehaza jo qasam jazbaat mai khaai jaaye wo durust nahin or is ka kaffara bhi nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Bina bole mann Mai Kuch Allah ki kasam kha Lena for us kaam ko na Karna kya kasam Mani jayegi
Answer: Ye qasam shumar nahin hogi Q ke qasam khane men ye shart hai ke qasam khane wala qasam ke alfaaz zaban par laye. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2634). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mane quran ma hath rakh k kasam khai thy k mne ye bt nai ki or muje yad nai ki mne ki ha k nai.....iska kia kafara huga...?
Answer: Quran par hath rakh kar qasam khana sahi nahin hai. aur koi gunah bhi nahin hai. lekin agar jhoot bola hai tu jhoot ka gunah hoga aur agar jhoot bhi nahin bola to koi gunah nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634). [Updated on 10-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]