Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ksi bndy ny meri Qasam khaye or wo ho bhi jhooti to kiya meri jaan ko Khatra ho skta?

Answer: Aise aik dosre ki qasam khana sharaei qasam shumar nahin hoti. balke sharaei qasam wo hoti jo allah ke liye khaye jaye, aur is tarah ki qasam par amal karna zaroori nahin hai. Lekin jo koi Jhooti qasam khata hai to ye aik haram amal hai, or iska kaffara istighfaar hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2633,2634,2638). (Note: Agar koi kisi ki jhooti qasam khaye to is se kisi ko koi nuqsan nahin hota). [Updated on 23-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14742
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi ko kisi ki qasam de jaey tou kia wo wapis li ja skti hai? Is shak ki bina py k woh banda woh kaam dubara krega

Answer: maktab e jafferia mai aisi qasam ki koi sharai haisiat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2634). [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14750
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mene jaldii me Quran ki ksam khae par hath nh rkha tha mujhy kiya Karn chsiye

Answer: Jee nahin, is tariqe ki qasam durust nahin hai Q keh qasam Allah k liay khaai jaati hai quran ki qasam nahin khai jaati. is qasam par koi gunah ya kaffara nahin hai q k ye qasam hi sahi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14806
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ne jazbat mai. a kr qasam khae k main falan kam nhi krunga kia qasa drust hai agr wo kam main kr lun uska kia hukm haim?

Answer: Maktab e jafferia mai is tarah ki qasam durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 42 maslah no 2633-2634). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14857
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam ,question ye he k agr kisi se shadi krny ki Quran k samny qasam khai ho r bad me wo shakhs shadi se inkar kr de to usk ilawa r kisi se shadi krny se qasam khnay waly ko gunah hoga?

Answer: Jee nahin, Is tareeqay ki qasam durust nahin hai or aap par koe gunah nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2633,2634). [Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14877
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ham kisi insan ke kasam kar saktay hain

Answer: kise insaan ki qasam khana durust nahin hogi q k qasam allah k naamo me se aise naam se hote hai jo us ki zaat ke siwa kise or ke lie istemaal na ho .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2634). [Updated on 02-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14889
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ne kasam to nhi khai but m ne ALLAH se wada kiya k mri sis thk ho jay to m ya kam nhi krn ge ab ya wada mjh se pura ni ho rha eska koe kafara ha ya nhi????

Answer: Agar aap ki wada karne se murad Allah se ehad karna hay or apne Allah se wada karte waqt is tarah ka jumla kaha tha k men Allah se ehad karti hun to is ehad per amal na karne ki surat men aap gunahgar hongi or zaroori hai k kaffara den aur is ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai lekin agar aap ne zaban is tarah ka jumla ada nahin kiya to ap per sharieat ki janib se koi hukm nahin hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2631 2632). [Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14927
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Menay 1 and half year pehla kasam khai thi masjid ki traf dekh kar kai mai kabi zinidigi mai smoking nai karu ga par 1 and half year kai baad kasam tut gay mujsay ap mujay yeh batai yeh kasam jayaz thi ya is ka koi kafara hai

Answer: Qasam ki sharait men se aik shart ye hai k yuon kaha jaaye k Allah k liye men ye kaam karon ga ya nahin karon ga. Allah k alawa k liay qasam nahin khaee jati. aur isi tarah masjid ki qasam nahin khaee jati. lehaza ye qasam durust nahin hai. aur Qasam sahi na hone ki waja se koi kaffara nahin hota hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634) [Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14970
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agha sahib mera ye question hai k jhooti qasam ka kaffara kya h

Answer: Jhooti qasam khana haram or gunah hai, or iska kaffara istighfaar o taubah hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634,2638). [Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14991
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum mera sawal yh hai k muharram k dino mein jo mannat mangi jti h wo gr beth k b mang skty hn ya us k lye imam bargha ya drbar jana lazmi hta h aur jb wo pouri ho to ohr bnda niyaz charha ay ja k

Answer: 1: mannat ya nazar maanghne ki koi jagha maksoos nahe hay .agar mannat ki sharaait moujood hay tu kise bhi jagha mannat maanghe jasakte hay .or jab mannat pure hojaae or mannat ko pura karne ki koi maksoos jagha moiyan na ki ho tu mannat ko kahin bhi pura kia jasakta hay ,koi khaaz jagha jane ki zarorat nahe : sharaait mannat me khuch ye hain: Nazar(mannat) sirf Allah ke liye maani jati hai or Nazar (mannat) yeh hai ke insaan apne aap par waajib kar le keh Allah Taala ki riza ke liye koi achha kaam karega ya koi aisa kaam tark kar dega jis ka na karna behtar ho. Allah ke alawa kisi aur ke liye mannat manna sahi nahin hai wo mannat sharaei mannat shumar nahin hogi. 2: Nazar(mannat) men seegha parhna zaroori hai magar laazim nahin keh seegha arabi men hi parha jaye lehaaza agar koi shakhs kahe keh “mera mareez sehatiyab ho gaya to Allah (na ke kisi aur) ki khatir mujh par laazim hai keh main 10 rupee faqeer ko don” to us ki mannat sahi hai. Ya yoon kahe keh Allah (na ke kisi aur) ki khatir main ne yeh mannat maani hai to ehtayaat-e-waajib ki bina par zaroori hai keh us par amal kare. Laikin agar Allah ka naam na le sirf yeh kahe keh main ne mannat maani hai ya auliya allah mein se kisi ka naam le to mannat sahi nahin hai. Agar nazar(mannat) sahi ho aur mukallif jaan boojh kar us par amal na kare to gunah hai. aur zaroori hai keh kaffara de yani 10 faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhen libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai ke 3 din musalsal (aik baad aik) roze rakhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2603,2604). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!