Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3471
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kisi ko kasam dyna kia hota hai k maslan hm kisi ho apni kasam dyn k ye kam na karna warna mera mara moun dheko gy

Answer: Is qasam ki sharaee koi hesiat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran per hath rakh ker jhot bolna

Answer: Agr apne jhoot bola hai to ye jhoot bhi shumar hoga or jhuti qasam khana haram bhi hai, or kabhi kabhi gunah e kabeera ban jata hai, or is men quran ki be-huramati ka pehlu bhi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ne apni kasam khai kay main aik month tak cigratte nahi piyon ga lakin main ne pee lee tu ab is ka koi kofara hai tu mujhe batein please jawab zaroor dijye ga

Answer: Koi kaffara nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai k quran per hath rakh ker jhot bolny ka kaffra kiya ada kerna hota hai main ne 12 saal ki umar main ye kaam kiya tha..plz ans me ,salam

Answer: Iski maafi ka tareeqa toba krna hai, Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya hai k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Naeem ul aamaal pg# 316)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: men ne cigratte chorne k lia quran ki kasam khae thi ab men peena chahta ho kia karo. pls rply.

Answer: Agr ap ab cigratte piyen to to koi harj nahi hai q k apki qasam sahi nahi thi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: allah ki jhooti qasam khanay ki maafi ka tareeqa kia hay

Answer: Iski maafi ka tareeqa toba krna hai, Toba karen Parwar digar ne quran me wadah kiya hai k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey.(Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Ref: Naeem ul aamaal pg# 316)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kisi nay mujh say kaha keh Quran ki kasam khana apkay ya apkay ghar walon per bhari hota hai.. chay kasam kisi ki gahal fehmi ko door kernay kay lye sachi hi khai ho.

Answer: Qasam khana ek na-pasandeedah amal hai, or agr ye jhuti bat ko sach sabit krne k liye khai jaye to haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3921
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mene quran ki kasam khai he aur 3 logonke jaan ki kasam khai he aur wo zuthi kasam khai he k mene aisa koi galat kam nahi kiya he to jann ki aur quran ki zuthi kasamkhane par mere sath kya hoga

Answer: Ye jhoot bhi shumar hoga or quran ki be-hurmati ka pehlu bhi hoga, agr qasam kha kr kaha hai to goya jhooti qasam khai hai or ye haram hai or kabhi kabhar to gunah e kabeera ban jata hai, or is ka kaffara Allah se toba w istighfar hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4024
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager past main quran pak py hath rakh kar kisi kam ko chorne ki qasam khai jye laiken kuch arsa bad wo kam phr ho jye to us qasam ka kafara kia hoga.kiun k wo kam phr sy ho gaya ho.

Answer: Qasam sahi na hone kim waja se na koi gunah hai or na hi oi kaffar hai. . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4079
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qasam tornay ka kia kaffara hai?

Answer: Ek ghulam azad krna, 10 Faqeeron ko khana khalana ya in ko libaas pehnana or agr ye kam na ho sake to phir 3 din musalsal roza rakhna. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!