Question: mene mannat mange the k mre dua qabool hue to me kisi mohtaj ko hajj karao ge mre dua qabool nae hue abhe tk r me mannat khatam krna chate hu kia kr saqte hu?
Answer: Ap ka ye amal nazar kehlayega lekin is men zaruri k zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr meri dau qabool hogai to men Allah k liye khud per ye lazim krta hun k kisi ko hajj per bhejunga, is surat men agr apka wo kam hojaye to ap per wajib hai k hajj krwaen, or agr ap ye nahi kr sakte to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam b na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr apne zaban se ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam sir mera question Allah ki ksam se related hai meine eik dost se kaha k agar meri shadi meri pasand ki larki T se na hoi to khuda ki ksam mein kbi shadi nei krn ga lekin ghar wale man nei rahe aur mjhe ye pochna hai k iska kaffara kia ho ga
Answer: Ye qasam hi sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: mere sas aur sasor ka viza mat nikalo ghoosei mei mere betei ki kasam hai tumko boli mei ghoosei mei dei kasam merko samaj mei nahi aya ab mei yei kasam todtiyo is ka kaffara kya hai boleyei
Answer: Koi kaffara nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: ma ne kasam khai k aik kam ni krn gi.but majbori kah ln ya pressure mn aa kar ma wo kam phr se kar bethi..ub ma iss qabil hn k rozy rakh skti hn..tu kya mjy rozy rakhna chahi?
Answer: Agr qasam sharae sharton pr mushtamil thi to is ki mukhalifat ki surat mn kaffara wajib hoga, kaffaremen bhi pehle 10 faqeeron ko pet bhar khar khana khilana ya phir unhen poshak (libas) pehnana hoga, han agr ye kaam na kar saken to phir 3 din musalsal roze rakhne honge.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ahad torna se kya hota hai
Answer: Agr logon se kiya gaya Ehed tora jaye to ye ek gunah e kabera hai, Or agr Allah se kiya huwa Ehed tora jaye to gunahgar hone k sath sath zarori hai k kaffara bhi diya jaye matlb 60 faqeero ko pait bhar kar khana khilaya jaye ya 2 mahine musalsal rozay rakhe.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1430 hij)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2632). Update on dated 31-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mein ne aik ahad kya tha hand prctice nahi karon ga lakin woh toot gaya abb is masla ka hal batien plzzzzzzzz
Answer: Agr apki murad wada krne se Allah se ahad krna hai or apne Allah se Wada krte wqt is tarah ka jumla kaha tha k “Men Allah se Ahad krta hun” to is ahad per amal na krne ki surat men ap gunahgar hen or zaruri hai k kaffar den aur is ka kaffara 60 faqeero ko pait bhar k khana khilaen ya 2 mahine musalsal roze rakhna hai. Lekin Agr apne zaban is tarah ka jumla ada nahi kiya to ap per shareeat ki janib se koi hukm nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2631,2632). Update on dated 31-07-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: jhuti qsam khany wala baqi koi kufara ada nai kr skya swae ky wo musalsal 3 rozy rakhy mera sawal ye ha ky zrori ha ky wo khud rakhy koi aur us bandy ki jga rozy akh skta ha.....? plz judi ans dijye..........
Answer: Jee han 3 din musalsal khud roze rakhna honge. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: insan ki sir ki qasam kha kar tornay ka kafara 3rozey ek sath rakhny hongy ya ek din chor kar rakh saktey hain?
Answer: Na ye qasam sahin hai or na hi iska koi kaffar hota hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 686, Eidition 1417 hij)Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar majhbori main hath main quran liye qasam otai jai to kia ye teakh hai ya galat
Answer: Jee nahi ye qasam sahi nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar hme kisi ki bat per aitbar nahi ha.bat is had tak barh gai ha k qatal tak ki nobat aa gai ha ,to kya asy halat me us shaks se quran pak per hath rakhwa kar asal hakikat pochna ya wada lena jaiz ha...........plz jaldi jwab de jiye ga
Answer: Jee haan jaiz hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).