Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shohar ke Marny ke bad biwi dosry shadi karly apni bachon ko dada ke ghar chorkar to biwi ka kitna hisa hoga uske marhoom shohar ke paison main

Answer: aurat apne shohar ki wafaat k baad iddat mukammal honay k baad doosri shadi kar sakti hay. agar marne wale sohar ki aulaad ho tu maal ka (1/8) aathwa hissa biwi ko or baaqi dosere waareseen ko milta hai . ghar ki zameen ,baag , kheid or dosere zameno me se aurat ko meraas nahe milti , na zameen batour meraas hasil karti hai or na he is ki qimat or aurat ghar ki faza me qaaim chezeeo masalan emarat or darakhtu se meraas nahe pati laikin in ki qimat ki surat me meraas pati hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2366,2728) [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalikum Mere husband ki death 3 saal pehle hui thi us waqt unki walida jo unki step mother hain hayaat thin abhi walid hayaat hain meri do betian hain kia mera ya mere bachon ka apne shouher ki jaedad main koi hissa ha

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hen. 3rd Group: Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hen. Or jab tak ek tabqe k afrad mojood hon chahe ek hi fard Q nah ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahin di jaey gi. Aur aap ke marhoom(shohar) walid, aur aulad marhoom ke pehle tabqe men mojjod hain lehaza meeras unhen mile gi. Insan ki mout k baad agar us ki biwi mojood ho aur us se aulad bhi ho to biwi ko ghar ki zameen men say koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hay lekin ghar ki emarat men wesy to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwae jaye to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaedad ho to sab men biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hai. or baqi jaidaad ke 5 hisse kiye jainge jin men se aik hissa walid ko aur baqi 4 hisse betiyon men barabar barabar taqseem honge. (Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2691,2694,2728). (Note: Marhoom ke walid aur aulaad(betiyan) hone ki soorat main meeras walid aur betiyon ke elawa kisi dosre rishtedaron ko nahin mile gi ). [Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14730
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar maa apni zindagi me ak bete ke naam ghar kar de .aur maa abhi zinda ha.tu kya bete ka farz ha wo baki behno ko hissa de.ya nahi.kya wo ghuna gar tu nahi ho ga.

Answer: Jis maal ka insaan apni zindagi me kisi dosre ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shakhs ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal Maan apne baite ko zindagi men de de deti hai wo baite ka maal hoga. Maan k inteqaal k baad jo maal Maan ki milkiyat main tha or sab baiton baitiyon main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref: Minhaajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition 1417 hij, Mafhoom e Maslah #1320). [Updated on 24-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap ne agar bete ke naam zameen lagva di to kya beti hissa le skti hai

Answer: Baap ne jo maal apni zindagi men apni aulaad ko de diya ho or aulaad ne us maal per qabza karlia ho tu or ye qabza baap ki us bemaari me na hoa ho jis me baap ka inteqaal hoa ho wo tohfa (gift) shumaar hota hai or jis ko diya jaey wo us ka maalik ban jata hai, or us per meraas k ahkaam nahin ate. lehaza is maal me wareso ka koi haaq nahe hai (Ref: (Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1417 hij, Mafhoom e Maslah #1320). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14910
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Walid nay 6 betoon k naam apni zindagi main zameen kar di. Aur aik bety ki zameen apni zindagi main he sale kar di. Baad main us bety ko koi zameen nahe di. To kiya wo taqseem ka case kar sakta hy

Answer: Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa (gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day. Agar walid sahab apni zindagi me hi 6 beton ko zameen batour e milkiyat de chuke thay ho ( or bachho ne us per qabza bhi karlia ho )to ab yeh zameen un 6 beton ki milkiyat kehlaye gi or yeh meeras k tor par taqseem nahin hogi. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition 1417 hij, mafhoom e maslah #1320). [Updated on 08-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15005
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera swal yea hai k ager 2 bhai aur eak behan ho aur walid foot hojaye aur total viratsat 1 cror 50 lack ho to beti k hisy kitni amount ayegi?

Answer: Marhoom ke intiqal ke waqt us ke warison men faqat 2 bete or 1 beti ho (jesa ke aap ne kaha 2 bhai 1 behen) is tarah se ke marhoom ke intiqaal ke waqt nah to us ke maan or baap zinda hon or nah hi marhoom ki biwi, Aur meeras bhi 1 crore 50 lack ke alawa koi aur na ho to is soorat men total amount ke 5 hisse kiye jayen ge or har bete (bhai) ko 2 hisse milen ge or baqi 1 hissa beti (behen) ko mile ga. Q ke beta, beti (bhai, behen) se dugna (double) hissa pata hai. or ye masla is surat me hay ke marhoom mout ke watq marhoom ki wife bhi zinda nahe hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2694). [Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nani ko aik property gift mili thi un k mamo ki tarf sy ab na nani zinda hain na nana...6 bachy hain un k jin main aik beta or 5 betian or un main sy b beta or 2 betian foot ho gae hain to kya jo beta or betian fot hui un k bachon ko hisa mily ga?

Answer: agar naani ki zindaghe me he naana ornaani ke khuch beto or bitiyo ka inteqaal hogaya ho tu naani ki meraas naani ki faqat us aulaad ko mile ghe jo naani ke inteqaal ke waqt zinda ho or kyu ke naani ke inteqaal ke waqt naani ki khuch aulaad zinda hay is ile naani ki aulaad ki aulaad yaani nawase or nawwaseyo ko meraas nahe mile ghe or, faqat jo abhi 3 betiyan maujood hain un men barabar taqseem ho gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2691). [Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15109
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar bewi la intaqL ho jaye or buchey na hon to us k paison m mian ka kitna hissa hota h

Answer: Agar Biwi "bay aulad" mar jaye tu os k saare maal ka nisf(Half) hissa shohar ko aur baqi maandah doosre wurasa ko milta hay. or agar Biwi ki usi shohar se ya kisi or shohar se aulad ho tu saare maal ka chothae(1/4) hissa shohar ko or baaqi maandah doosre wurasaa ko milta hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2727). [Updated on 13-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15120
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA. Mera sawaal hai k shiraakat k ghar mein jo daada ka tha us mein shaadi shuda behnon ka hisa hota hai?

Answer: Agar marhoom ke maan, baap ya aulad (bete, betiyon) men se koi aik bhi fard mojood ho to is soorat men pote ya potiyon ko dada ki meraas nahin milti, Lekin agar marhoom ke maan, baap ya aulad men se koi aik bhi fard mojood na ho to is soorat men pote ya potiyon ko apne maan, baap ki meeras mile gi.or mah or baap ki meraas un ki aulaad ( beta or betiyo ) ko milti hay chaie wo shadi shuda ho ya na ho (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2691,2702). [Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main zindagi me do biwion ke bachon me miras taqseem karna chahta ho tariqa batye plz

Answer: Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa(gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, mafhoom e maslah #1320). [Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!