Question: AA! kay bv apne shohar ka nam le kar pukar sakti ha agar nahi to qu nahi
Answer: Jee haan biwi apnay sohar ko name le kar pukar sakhti he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 2, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: naaf kay baal saf karnay ka terekay?
Answer: 1)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he. 2)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: IMRAN KA MEANING KIA HAI LAFZI MATLAB AUR EXPLAIN B KER DAIN
Answer: Imran ka matlab abaadi(Population) hay.(Ref: Lughat al-munjid pg#681). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Will you please discuss in brief that what is Makuda and ghir Makuda in Nimaz,i am confused in it.
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Question: APKA TALUQ KIS MASLAK SE HAI?
Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Question: asalam alaikum mohtram buzrug, kya koi aisa tareeqa kaar nahi hai ke aap se akele mein sawal puchen jaayen apna masla bayaan kia ja saky jo logon ko na dikhe? braaye meherbani rehnumaai farmayen
Answer: ( Please contact: 02132226948 or 02132237207 9am to 1 am )
Question: kia imam ki imaginary pics banai jaa sakti hain ya nai ?
Answer: Agar is pics may in muqadas hastiyon ki tazeem o takreem k taqazoon ka khayl rakha jay aur dekhnay waloon aur nazireen k diloo may in muqadas hastiyon ki jo tasuwarati tasveer majood hoti hay osay bura asar na milay to koi haraj nahi hay. (Ref : Jaded fiqhi masayl pg # 290 masla # 592+A.sistani(d.b),jaded masa,il, part#4, pg#95) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jab imam-e-zamana zahur farmainga to konsi ayat unka sedha hat pa likhi hogi
Answer: Imam e zamana (a.s) jab paida hoe thay tab hi se on k seeday bazo per quran shareef k sorah e bani israa,el(sorah#17) ki ayat#81 likhi hoe thee ( ﺠﺎﺀ ﺍﻠﺤﻖ ﻮ ﺰﻫﻖ ﺍﻠﺒﺎﻄﻞ ؕ ﺍﻦ ﺍﻠﺒﺎﻄﻞ ﻛﺎﻦ ﺰﻫﻮﻘﺎ ) “ jaa al haqqo wa zahaqal baatilo innal baatila kaana zahooqaa” .(yani “haq agya or batil fana hogaya k batil beher haal fana honay wala hay).(Ref:Ahsanul maqaal, part#2,pg#326)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya zehan mai khud hi ganday khiyalat aney se wuzu toot jata ha khud hi arahe ho rookne ke bawajood bi arahe ho toh...
Answer: 1)Haram k baray mai sochna agar inzal ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 2)Haram k baray mai sochnay sai wazoo batil nhi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 322)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya Huzoor S. A. W per Salaam parrna jayz hai Please kisi proof ke sath betain ?
Answer: Jb bhi insan hazrat Muhammad (s.a.w.w) ka name ya laqab ya kunyat zaban sy adaa karay ya sunay tou chahay namaz mai hi q na ho,mustahab hai k durood bhejay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,maslah #1112)