Question: mera sawal yeh hai keh Islam mein makroohat sy kia muar lia jata hai.
Answer: Makroh yani na pasandidah kaam,wo kaam jiska anjaam daina haram nah ho laikin anjaam nah daina behter ho. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33th edition,pg#493). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)
Question: Kia Ye Sahi hey kay mojoda door kay AhleHadees sab Zana ki Paidawar hein??? Saray hi Harami Hein?
Answer: Nahi. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 404 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Sir mene ap se ak sawal kia tha ke maani (SPERM) chak (teste) kar sakte hain plzz answer jaldi dain plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
Answer: G nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: 7 zilhaj sahadat imam mohammad baqir (a.s) hamare bete ki wiladat huwi hai humko tariq ke munasebat name bataye. humne socha hai ke mohammad se koi name ho..
Answer: Muhammad Baqir rakh lain (Q k rawayat men anbiya or aaimaa masoomeen k naam rakhe ko achha mana gaya hai). (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 387 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Q:Hum shaikh A.qadir jilani ko kyun nai manty jub ky hum ny yeh suna aur dekha bhe hai ky agar sanp<snake> ko shaikh a.qadir ka wasta dia jata hai tou woh kary sy bahir nai nikalta ?plz give me athantic answer
Answer: Deen e Islaam main 2 chezain hain, 1 – Usool e Deen, 2 – Furoo e Deen, or Usool e Deen paanch (5) hain (jo mashoor hain), 1 – Allah Taala per imaan 2 – Adal 3 – Rasoolo per imaan 4 – Imamat per Imaan 5 – Qayamat per imaan, pas ager koi insan in chezoo per imaan laye (chahe wo in buzurg-waro ko janta ho or Allah Taala ka neek banda manta ho ya na jaanta ho) to wo musalmaan o momin hai, pas in buzurg-waron (jinka apne naam liya) ko manna o na-maanna Deen ka hissa nahi hai jese itni bari dunya main bohat se ese naik bande hain, jo Allah Taala ke nazdeek mehboob hon ge lekin ham un ko nahi jaante is ke bawajood musalmaan o momin hain.(Ref : Sura e Al-Baqra (sura no 2) , ayat # 1 to 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: AS SALAMU ALEKAM MUJE PLZ DOWA KUBUL HONE KE WAZIFE DIJEH NA
Answer: Wssalam o alykum, Dua o Wazife ke liye chand sharait hai jin main se baaz ye hain, 1 – Wazife per amal (Allah Qadir o Tawana per tawakkul karte howe) kahlis niyat se karye, 2 – Shariat e Muqaddasa per amal karain or is ki mukhalifat se perhaiz karain, 3 – Jab tak Wazife o dua ke nataij saamne na aain is ko anjaam deta rehe. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 214 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kia badua dena jaiz hai aur jab jab apko kisi sai bohat dukh takleef pohanchai kia badua jaldi lagti hai
Answer: Ager bad-dua momin ko di jarahi ho to is tarah ho k Allah Qahir o Muta-aal zalim ko is ke zulm ki had ke mutabiq saza de to jaiz hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 208).Jab insan kisi ko dua ya bad-dua deta hai to is ki waja ye hoti hai ke is ka dil us se kush howa hota hai ya na-khush, or jab bhi dua ya bad-dua ke alfaaz dil ki awaaz ban ke nikalte hain to esi dua o bad-dua qaboliyat ke ziyada qareeb hoti hai.(Ref: Sura e Al-Baqra – sura no 2 – , ayat # 186 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: meaning og ITRAT Batool
Answer: 1-Itrat ka matlab kumba(Family), aulaad(Children) hay.(Ref: Al-Munjib, arabi to English Dictionary, pg#628). 2-Batool ka matlab ghair shadi shuda, baakra( virgin ), jis aurat ko haiz nah aat ho. Or ye janab e meryam(s.a) or janab e fatima zehra (a.s) ka laqab hay.(Ref: Al-Munjib, arabi to English Dictionary, pg#72+Noqoosh e ismat, Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#178). 3-Ulama e shia or ulama e sunat ka is baat par ittefaaq hay k malik e qaaynaat ne janab e fatima(s.a) ko batool qaraar diya hay or on tamaam awariz se alag rakha hay, jin main aam taur se har aurat her mahine mubtila hoti hay{yani haiz ki nijasat se paak rakha hay.}(Ref: Noqoosh e ismat, Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#178). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya Islam main apne penis k baal saf karna jayz hai
Answer: 1)Riwayat k mutabiq pura badan per noora lagana mustahib he. 2)Riwayat me takeed he k merd 40 dun tak aur aurat 20 din tak noora se faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1077 ques # 1 , 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia teusday ko nahana or kapre dohna sahi hai yaan nahi
Answer: Mangal (Tuesday) k din Ye kaam kerna jaiz hain.(Ref: Email rcvd from A.Sistani(d.b), Dated: Jan 13, 2012). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)