Question: Assalamualaikum, kia hum jab dua kare Allah se to hum kahe ki ya Allah is cheez/shaqs ko hamare haq me behtar farma, ya kahe jo hamre liye behtar hai wo hume de dey. isme kai logo ke apne jawabaat hai,so isper roshni dale. jazak allah hu khair!!
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Wo qaboliyat jis ka wadha khuda nay kia hay is k liay kisi shart ki zarorat nahi hay khuda har pukaarnay walay ki dua ko qabool karta hay aur ehl e maarfat afraad k liay ye hi kafi hay laikin agar insan dua karnay ki lazzat ko dark kar lay to is k baad osay kisi hajat qabool hanay ki parwa nahi ho gi. (Ref : Website ayatollah sistani d.b. ques no 04 topic dua http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1800). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: suraj chand or dharti in teeno me se kon chakar lagata h or kon ruka huwa h
Answer: Nah tu soraj se ho sakta he k wo chand ko ja pakrahy, or na hi raat din par sabqat lay jaksakti hay.sub apnay apnay midair(orbit) par taizi se rawaan dawaan(ghoom rahay) hain.(Ref: Quran majeed ki sorah e yaseen(sorah#36), ayat#40+ http://www.ahlehadith.com/sahihbukhari/58/detail17f0.html ). Zameen bhi musalsal harkat ker rahi hay. (Ref: http://www.tafrehmela.com/kids-knowledge/157713-1586-1605-1740-1606-1705-1740-1581-1585-1705-1578-a.html). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mara sawal hai k mobile per qurani sms karte hain hum us ko delete kar daite hain us se kiya hum ko ghona milta hai ya nahi kyun k hum nay sona hai k hum quran ko mita rahai hain
Answer: Qurani ya islami sms ko delete kerna jaiz hay.(Ref: Email from Ayatollah Sistani(d.b),on Apr 15, 2012). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: Aoa sir mera swal yeh hy keh sms men baz aoqat likha hota hy keh hadise mubarik hy keh hadis ko sun k age phailana swab hy kia yeh waqi hadis hy
Answer: Agar koe shaks aisi riwayat naqal kerna chahay jis k qat,e(yaqeeni) hone ki daleel nah ho or os k baray main osay ilm nah ho k sach hay ya jhoot tu ehtiyaat e wajib ki bina par zarori hay k osay naqal kertay hoay biyaan karay or paighamber ya aa,imam(a.s) se baghair waastay nisbat nah day.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1578) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: app answer k andar likhte hai 1.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) 2.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) Ye Konsi Kitab Hai?????
Answer: Ye dono kitabain ayatollah sistani(d.b) k fatway k mutabiq hain. (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: Salm, me apni beti ko madarse me dakhil karana chahata hoo us ke lya mujhe kia kar na hoga meri beti ki umer 12 sal he aur wo five class ki student he
Answer: Aap apni baiti ko madrasay main dakhil kerne k liay Madrasa Quran O Itrat Academy Ladies section se raabta ker saktay hain, madrasay ka address ye hay: G-1, 163-B/1, P.E.C.H.S.,BLOCK -3 KARACHI. TIMING 10:00 A.M. TO 12:00 AM. CELL: 0303-2617108, 021-32226948, 021-32237207.
Question: quran sharif may namaz and zakat ki takeed kitni bar ki gaee hay
Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Quran main lafz salaah(namaz) ka zikr 67 baar aya hay.(Ref: Qurani maloomaat per mushtamil 1540 sawalaat k jawaab, pg#82). Or Quran main zakaah(zakaat dainay) ka 30 baar zikr aya hay.(Ref: Al-mujamul mufhars, pg#420,421). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: nafs kise kehte hain full detail bata ye?
Answer: Nafs ka matlab rooh , khoon, badan jism o jaan hay or is ki jama anfos hay.or ye lafaz quran shareef main bohat se maqamaat per zikr hoa hay.maslan sorah#41(sorah Haa Meem Sajda) ki ayat #53 or sorah e aal e imran(sorah#3) ki ayat#61 main zikr hoa hay.(Ref: al-munjid pg#1036). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Are theatrics Haram
Answer: It is not permissible if that involve haram act(Ref: E-mail Rcvd fromA.Sistani(d.b),dated: Apr 19, 2012). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: islam me haram kaam kya kya yh
Answer: Islam mein haram kamon ki tadad both ziyada hai is liay sary byan nahi kie ja sakty hein or is k liay aap kitab “moharramaat e islam” ki tarf roju karein.(Ref: Moharramaat e islam, Nasahir “ jamiah talimaat islami Pakistan” )