Question: kia bichi ka nam kiran durast ha ke nahi aor es ka mani kia he.(2)mobil compni se mobil par lon lena durast he q ke jab qarz 10 rupe lete he to wapasi par 10.60 cat lete he
Answer: 1- Bachay ka achcha naam rakhna baap k oper bachchay k huqooq main se hay.kiran naam rakhna jaiz hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#3, maslah#387). 2- kiran ka matlab i)soraj ya chand ki shua ii) sonehri{golden} taar.(Ref: Feroozul lughaat, pg#1004). 3- Is kaam main koe haraj nahi hay.or ye sood nahi hay balkeh mobile company k service charges hain.(Ref:E-mail rcvd from A.Sistani(d.b),dated:17.03.12). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia larkion per hair cutting karwana haram hai ??
Answer: Aurato k liay apne baal ko kaat ker chotay kerna jaiz he.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Apr 6, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ap kis firke se talluk rakte he plz jaldi baty
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: g slam....ye puchhna chahti hoon ke slatul tasweh ki namaz...me tasweh kitni vaar hoti hai...ham ise akele ada kar sakte hai....auorte ye parh sakti hain
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Plz adivise fatwa about smoking & chewing tobacoo.
Answer: 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi baray nuqsaan ka khatra na ho, agar chahe kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi. 2)Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219) 3)Manshiat k musalsal istemal ya kisi aur jehat sai agar ziada nuqsan ho to is ka istemal haram hai. bal k ehtiyat e wajib k tor par har halat mai is k istemal sai perhaiz krna chaheay magar ye k tibbi nuqta e nazar sai is ka istemal na-ghazeer ho aisi surat mai ba-qadr e zaroorat istemal kia jae. ﻮﺍﷲﺍﻠﻌﺎﻟﻢ (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 358, 357, pg # 218) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: islami saal kitny din ka hota ha?
Answer: Aik qamri saal(islami saal) 354 ya 355 din ka hota hay. Is hisaab ki rooshni main har shamsi saal qamri saal se 11 din ziyada hota hay.(Ehkaam e taqleed o buloogh,part#2,pg#84). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam o alikum...londi rkhne ky kia kia shart hy islam may plz mujh detail se btyn
Answer: Is zamanae main(period) kaneez o ghulam ka wujood hi nahi hay, is liay ye masail paish hi nahi aatay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#11) . Note: Q k jab kaneez or ghulam aaj kal hotay hi nahi hain tu in k ehkaam biyaan kerne se aap ko koe faida hasil nahi hoga.laihaza on masail ko sekha jay jin ki zarorat ho jaisay wajibaat or haram , isi terah mustahabaat or makrohaat ki malomaat. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nakhoon katna shaam ke waqt saheh he ya nahin.
Answer: Sham k waqt nakhun kaatna jaiz hay.(Ref: Email rcvd from A.sistani(d.b), dated: Fri, Oct 5, 2012). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya ham salgirah ki mubarakbaad de skte hain ya mana skte hai.
Answer: Yes, you can.(Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 30-10-12) Traslation: jee haan, aap ye sub kaam ker saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: yeh jo aap sawal ka jawab dete haen is me jo reference diya jata hae jese.. Ref:Ayatullah Sistani(d.b) to yeh kon hae. detail me batain k hawalah kis ka dete haen
Answer: Aaj k door main Ayatullah sistani(d.b) jo k Najaf e Ashraf main hain alam mujtahid hain. Or hum on k fatway k mutabiq aap ko masail ka jawab daitay hain. (Ref : Ehkaam e Islam, part#2, Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg # 25). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)