Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3894
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Aliqum mmujhe yeh jannna hai ke ramdan sarif kon se hijri me farz howa <

Answer: 2 (doosri) hijri me rozay farz hoay.(Ref : 14 sitare ,Mulana Syed Najamul Hasan,pg no 66) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: makrooh kiya hae

Answer: Na-pasandeeda, yani wo kaam jis ka anjaam dena haram na ho laikin anjaam nah daina behtar ho . ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg#493) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3982
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wo kon see sorah hay jis ki her ayat alif pay khatam hoti hay

Answer: Sorah shams 15 ayaat per mushtamil sorah hay jis ki har ayat k akhir main alaf maujood hay.(Ref: Quran Majeed, Sorah#91). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3996
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sahadat k waqte hazrat ali ky alfaz kia thy

Answer: &#1601;&#1586;&#1578; &#1608; &#1585;&#1576; &#1575;&#1604;&#1705;&#1593;&#1576;&#1607; (Ref : Chardah sitaray pg # 174)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4005
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: woh kon se nabi thay jinki wife ne islam qabool nahi kya tha

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Quran e majeed k mutabiq Hzrat Nooh a.s or Hazrat Loot a.s kibiyaan emaan nah lain or Allah k azaab ka shikaar hoe or jahannum ki mustahiq baneen.(Ref: Quran e majeed, sorah tehreem(Sorah#66), ayat#10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: WHICH AYAT IS KNOWN AS AYAT E WILAYAT

Answer: Sorah e maa,idah(Surah#5) ki ayat#55 ko ayat e wilayat kaha jata hay.(Ref: sorah e maa,idah). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4223
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ham kia karain k jis sai ham mai ilm hasil krnay ka shoq paida ho?

Answer: Ilm hasil krnay aur apni marfat k meiar ko blund krnay k lie musalsal jado jahad karay chahae is k lie apnay aap ko zehmat mai dalna paray ta k ilm ki ahmiet aur is k azeem faiday ko mehsoos kar sakay aur natejay ye ho k insan apnay araday aur apni chahat sai mutalea karay. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 220, pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir aap jo masly bataty he wo ap fiqqa hanfi ya fiqa jafria se bataty he?

Answer: Note : Is website per fiqha-e-jaffaria kay mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Id: 4377
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.s. Kya namehram ko slaam karna chahiye hadis ki roshni me btaye...

Answer: Agar lazzat k iraday aur haram mai mubtilla honay k khof k bagair ho to salam krnay mai koi haraj nhi hai. note: agar jins e mukhalif jawan larki ho to behtr hai osay salam na kia jae ta k gunah mai mubtilla honay sai bacha rahay. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 61 masla # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4404
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: imam sajjad ky nana ka nam batai shukria my name is mujtaba rawjani i am student of class six

Answer: Imam Zain ul Abideen a.s. yasd’jard “ &#65268;&#65200;&#65194;&#65184;&#65198;&#65194; ” k nawasay hain. Yani in k nana ka nam yasd’jard hai. (Ref: 14 sitaray pg # 273)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!