Question: I want to is this website of ayotollah sistani. And are we getting answers from him.
Answer: Quran-o-Itrat Academy website is all about Istifta , Books Of Mujtahid ( Maraja-e-Uzzam ) with the online question and answer system for commonly asked questions according to the fatawa of mujtahideen including ayatollah sistani d.b. but this is not the official website of ayatollah sistani d.b. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya main apni do betion ke shadi aik din do alag alag larko se ker sakta hoon
Answer: Jee han shadi kar saktay hain. Q k shadi un mustahabbat mai sai hai jin ki islam nai bohat ziada takeed ki hai , Rasool e Khuda s.a.w.w. ka farman hai k : jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai. Is k alawa shadi k silsilay mai logo k lie koshish krna, un k lie wasila ban’na aur tarfain ko rishtay k lie aamada krna mustahabb hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385-89 pg # 231-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam-O-alaikum, Mera ye sawal hai k Imam AS ki wiladat hoti hai ya zahoor. Plz reply me with details. Thanks
Answer: Zahiri tour par dunya mai imam ki wiladat hoti hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Deen k lafzi mani kya he
Answer: Deen k lafzi meaning bohat saray hain takreeban 19 meaning hain jis mai sai 1: Mazhab, Aqida har wo tareeqa jis k zarie khuda ki abadat ki jae. 2:millat 3: islam 4: teen batoo ka majmoa hai 1)dil sai aetiqad 2)zaban sai iqrar 3)arkan par apnay aza o jawarah sai amal. Is majmoae ka nam deen hai. (Ref : Qamoos ul waheed pg # 561)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam walakum, Kya hum dua karte waqt aisn khe sakte hain ke 1month main dua puri hojaye?
Answer: Dua ki qabooliat mai agar takheer ho jae to Allah ki rehmat sai mayoos nahi hona chaheay q k karim k dar par pukarnay wala khabi nakam nahi rehta, aik na aik din is ki suni jae gi aur murad hasil ho gi. Lehaza qabooliat aur adm e qabooliat ko Allah par chor kar os sai hajat mangtay rehain aur apna dukh dard osay sonatay rehay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kehte hain hazrat khadija hmare Nabi se phele b 2 jaga shadi kr chuki thn. Phele khawand ka naam hala aur 2sre ka naam atiq tha jb k hazoor Nabi pak 3sre khawand thy. Kia ye theek hai. Plz reply
Answer: Hazrat khadija (a.s) ka hazrat muhumad (s.w.a) se pehla nikah tha.(Ref : Chardah Sitare, Allama zeeshan haider jawadi, pg # 47) ( Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: islam mei hath utha k dua krnajaiz hai ya nai
Answer: Islam main hath utha ker dua kerna jaiz hay hay or balkeh ahsees main aisa kerna behter biyaan kia gaya hay, riwayat hay k hazrat ali a.s ne fermaya k jab tum main se koe shaks farigh ho tu dua k liay apnay dono hath aasam ki taraf buland karay, tu mulk e saba k aik rehnay walay ne pocha ya ammeral momineen kia Allah har jagah maujood nahi hay? Fermaya haa, os ne kaha phir aasman ki taraf hath Q uthaya jay? Aap a.s ne fermaya kia tum ne Quran ki ye ayat nahi perhi “or tumhari rozi jiska tum se wada kia gaya hay wo aasman main hay{sorah e zariyaat ayat#22} tu jahan rizq hay waheen se tu rizq talab kia jay ga or Allah ne aasman se hi dainay ka wada kia hay.(Ref: sheikh sadooq ki kitaab Ilalul sharaae, part#2, baab#50). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: what is shaheed. explain?
Answer: Jo shaks Imama a.s ya un k naa,ib-e-khaas k sath jang mai mara jaey ya aisi jang mai mara jaey jo islam k difa k liay larhi jaey or os main mara jay tu wo shaks shaheed kehlaata hay.(Ref : Minhajus Salaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla #282). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: zaboor e ale muhammad kis kitaab ko kaha jata hai
Answer: Chatti sadi hijri k nisf awal mai sahifa e kamila ko zaboor e aal e muhammad aur injeel e ahl e bait k namoo sai yad kia jata tha. (Ref : Sahifa e Kamila tarjuma Hazrat Allama Mufti Jaffar Hussain pg # 21)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam un alaikum...plz mujhe bata den k kia nails barhana jaiz hy??
Answer: Baaz riwayat me aya hai k nakhoon barhana aurato k lye munasib hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 186,pg # 90)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).