Question: ZABOOR KIS ZABAN MEIN NAJIL HUI?
Answer: zaboor ibrani zabaan me nazil hoi. Aur hazrat daood (a.s)per nazil hoi .(Ref: w.w.w islamieducation .com , que : 2, w.w.w urdu .co,pg:3 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia mery chirstmas kehna kisi esai ko jaez hy ?
Answer: yahudiyon aur esaiyo aur digar ahle kitab, ise tara ahle kitab k ilawa dosere kafiro ko Mubarak baad dena jaiz hai jin ka wo jashan manate hai. jese chrismis aur ester ka tehwaar.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail ,masla #310 , pg # 185, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mra sawal ye hy k. Ye jo ham dunia ke taleem prhty hn. Jsy k chemstry,phys, math wgra kea ye be us ilam myn shamil hy js k hasil krny ka huqum r sawab h.
Answer: Jis Ilm ka hasil krne ka hukm diya gaya hai ya jis ilm k hasil krne ka sawab ka kaha gaya wo ilm-e-deen hai yani aysa ilm k jis k na seekhne ki waja se insane kisi gunah men mubtala horaha ho sharae masaail men b yehi btaya jata hai k mukallaf ( wo shakhs jis per shari zimedariya wajib hote hai ) k liye wo tamam masail (ilm) seekna lazim hai jin k bare me ahtemaal(use andesha)hai k na seekne ki waja se khuda ki maseyat(ghuna) me mubtela ho sakta hai , yani kise wajib ko tarak karne ya kise haram ko anjaam dene k murtakib ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 9) Note: Han Albatta wo dunyavi uloom jinka ane zikr kiya agr ap inko khuda ki khushnudi or insaniyat ki falah-o-bahbood ki khatir hasil kren to is men sawab hai (jese doctor ka ilm-e-tib b seekhna take is k zariye se insaniyat ki khidmat kr sake)
Question: Aoa....plz plz bata den nails barhana maqroo hen ya haram?? agr wuzu karte waqt nails me b pani dal lia jae to wuzu sahi hoga??
Answer: 1)Baz riwayat mai is baray mai moujood hai k nakhun barhana auratoo k lie munasib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 186,pg # 90) 2)Agar nakhun mamool sai ziada barhay huay hon to jitna hissa mamool sai ziada barha hua hai is k nichay sai mail nikalna zaroori hai ta k pani khal tak pohnch jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 290)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: koi aesi surah ya koi aesa wird jis ko party rehne se admi kahi bhi budha na ho saky or na hi baal white ho
Answer: Burha hona insan k lawazim mai sai hai albetta ye dua mangi ja sakti hai k khabi beemari na aye ya kisi ka mohtaj nahon. Aur baal safaid na honay k lie ashraf ka DEMÃGH AFROZ C.T. oil ietemal karain is sai baal safai dnahi hon gay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: yaum e juma ka mustahib amal kaya hai.
Answer: Juma k din k aamal bohat ziada hain jin mai sai kuch ye hain. 1: roz e juma subah ki namaz ki pehli rakat mai surah juma aur doosri rakat mai surah e tauheed parhna. 2:namaz e fajar aur zohar k bad 100 martaba durood parhna. 3: namaz e fajar k bad 100 martaba surah e tauheed parhna. 4:surah e ahkaf surah # 46 aur surah mominoon surah # 23 parhna. 5:ghusl karna 6: sadqa dena 7:apnay waldain aur deegar mominoo ki qabr par jana. 8: dua e nudba parhna 9: 20 rakat nafla 2 2 kar k. (Ref : mafatihul jinan pg # 86-91)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalamualikum Kya Waseela jayiz hain aur konse type ka waseela jayiz hai . . . Quran n hadith (bukhari ya muslim) ki roshni main jawaab dena plz. . .
Answer: 1)Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ka wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati hai. (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346). 2)Wasila ka zikr quran mai bhi surah e maida surah # 5 ki ayat # 35 mai hua hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam o alaikum ap mujhe ye bta dijye k kia fatiha krna jaiz hay. jesy khanay ko samnay rakh kr fatiha kia jata hay or kia milaad krna hmare deen may hay
Answer: Fatiha parhna jaiz hai. Fatiha parhnay k lie aik dafa surah e al hamd parhain aur teen martaba surah e ikhlaas parhain. Os k baad ye kahain “in suratoo ko parhnay ka sawab aaima a.s. ki khidmat mai hadya ho kar jo un sai sawab milay wo hamaray marhoom ki rooh ko phonchay, aameen ” (Ref : takeebat e namaz) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp
Question: Assal alekum mujhe ye janna hai ke ,,, aisi hadii ka naam batayeee jis me sirf zina ke bare me poori detail ho ,,,,,,,,,,,,,,,,,
Answer: Aisi bohat si kitabain hain jis mai zina ka tazkira kia gya hai os mai jo sab sai mashoor kitab hai wo ayatollah abdul hussain dastagaib shirazi ki kitab ghunah kabira hai aur ye kitab aap ko kisi bhi Islamic store par mil jae gi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA! Respected sir, 1. Shewat se kia murad hy ???
Answer: Shehwat sai murad Khwahish, chahat, nafsani khwahish (nafsani quwat jo har qabil e ragbat cheez ki taraf ma,il krti hai) Quran e kareem mai surah aal e imran surah # 3 aur ayat # 14 mai ye lafz zikr hua hai. (Ref : Qamoosul waheed)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).