Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5089
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wo nabi kon sahy jis ka baap bhi nabi bhai bhi nabi beta bhi nabi????

Answer: Hazrat Ismail a.s wo nabi hain jin k walid, bhai aur beta nabi thay. (Ref : qasasul ambia pg # 172-3)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5091
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aap kay saray jawab Quran wa sunaat kay hisab say hotay hain ya Mufti sahabaan kay fatwa bhi shamil hotay hian ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5101
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kawateen ka qabarsitan men jana jayez hy

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Aurat ka qabaristan mai jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202,pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5198
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia shadi ya birthday par mubarakbad dai saktay?

Answer: Yes, you can. (Ref: E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 30-10-12) Traslation: jee haan, aap ye sub kaam kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5220
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia insan ko apne moat ke dua mangne chayeh?

Answer: The Holy Quran mentions “.... do not despair of receiving comfort from God; only the unbelievers despair of receiving comfort from Him. (12:87)" Tranlation: Rehmat e khuda se mayoos nah hona k oski rehmat se kafir qaum k alawa koe mayoos nahi hota hay.(Sorah e yousuf {Sorah#12}, Ayat#87). (Ref: E-Mail rcvd from Ayatullah Sistani d.b, dated: 29-03-13) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5222
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran me lafz e al jaheliyah ketne martoba aya he

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Quarn main 4 maqamaat per lafz e al jahiliyah aya hay. Sorah e aal e imran(sorah#3) ki ayat#154 main, sorah e ma,ida (sorah#5) ki ayat#50 main, sorah e ahzaab(sorah#33) ki ayat#33 main or sorah fath(sorah#48) ki ayat#26 main.

Id: 5239
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia shaam k baad jharoo dena manna hai.es baat ki kaha tak haqeeqat hai. kia daman or asteen se moun saaf kerny se tangi aati hai.plz answer about it.

Answer: In dono kamo ka makhrooh hona sabit nahi hay.(Ref: Email rcvd from sistani.org, Dated: 23-03-13) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5242
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal yeh ha kia khana kaba ki tarf jan boojh k paon ya tangain kr k sona jaiz ha ya nai. Ahle sunat ma to na jaiz ha. Plz answer me with refrence and logic

Answer: It is mustahab. (Ref: E-mail rcvd from A.sistani, dated:05-04-13) Translation: ye mustahab hay.(yani khana e kaba ki taraf paon ker k sona mustahab hay). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kafan ghar me rakna hai aur isko dekte rehna hai magr har koi is baat se raazi nahi hai kya aap in detail iska jawab degey me in tho yehi bhi suna hai ke issi ko gift karna bhi bohat sawab hai

Answer: Insan k lie apni zandigi mai kafan ka tayar rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 573)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASA, janab gusse ko control karne ka sbsa achcha tareeqa kya h ??

Answer: 1)Gussay ka ilaj chand cheezo par moqoof hai jis mai sai kuch aap ki khidmat mai tehreer krtay hain. 1: un hadeeso ko parhain k jo gussay ki muzammat mai warid hui hain. 2: un hadeeso ko parhain jo gussa na krnay k sawab mai warid hui hain. Jaisa k hazrat paigambar s.a.w.w. sai marvi hadees hai k jo shakhs kisi par gussa na karay khuda roz e qayamat is par azab na karay ga. 3: jis shakhs par insan gussa krta hai to osay gor(ﻏﻮﺭ) krna chaheay (ﭽﺎﮩﻴﮱ) k os kamzor par jo qudrat osay hasil hui hai, os sai bohat ziada khuda gussa krnay wala hai pas halat e gussa mai itna khayal krna chaheay k khuda kahin isi terah apna gazab aap par jari na karay. 4: ye tas’sa’wur(ﺘﺼﻮﺭ) karain k gussay k waqt aap ki kis qism ki buri surat aur aap k ﺍﻋﺿﺎﺀ(body parts) kis terah mutaharik aur aap k afaal(ﺍﻔﻌﺎﻞ) kis qadar ﺒﮯڈﻫﻨﮕﮯ aur aap ki guftugoo kis qadar ﺒﮯﺠﺎ ho jati hai. 2)Gussay k waqt shaitan sai panah leni chaheay aur “ ﺍﻋﻮﺫﺒﺎﷲﻤﻦﺍﻠﺷﻴﻂﺎﻦﺍﻠﺮﺟﻴﻢ ” parhni chaheay, agar kharay hon to beth jana chaheay, agar bethay hon to so jana chaheay, thanday pani sai wazoo krna chaheay aur ghusl krna gussay ki halat mai mufeed hai is sai gussa khatam ho jata hai aur hadees mai aya hai k agar kisi aisay shakhs par gussa aye jis sai khooni rishta rakhta ho to is k badan par hath rakhnay sai gussa khatam ho jata hai. (Ref : Urooj us Sadaat pg # 348-52) Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!