Question: HOMOSCOPE DEKHNE KA KYA GUNAH HE..
Answer: Horoscope(yani stars ko daikh ker kuch batana),islam mai in kamo ki koe haisiyat nahi hai aur baghair yaqeen k kisi cheez ki khabar daina bhi haram hai ,laikin aisay afraad k paas sirf janay ki had tak koe haraj nahi hai.(Ref:mujtahid sy pochay gaey sawalaat,masla#145,pg#69)
Question: assalamu alaikum app jo ye site chala rahe hai ye kaun se group ki hai sunni,shia,salafi ya wahabi etc...
Answer: Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Question: Mazar e wali par chaddar chhadana kaisa ?
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Is me koi masla nahi he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : March 9, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: apni biwi ko ghalti say bahn kah denay say kya nikah haram ho jata hai?
Answer: Agar biwi ko maa k alawa apni kisi nasabi rishtaydar jaisay behan sai tashbee dena aur kamar ka zikr karay maslan ye kahay k “tum mujh par meri behan ki kamar jaisi ho” to aqwa ye hai k zihar waqae ho jae aur agar kamar ka zikr na ho to zihar nahi ho ga. laikin is ki shrait hai k 2 aadil mardoo ki moujoodgi mai kaha ho is k alawa doosri shrait hain jin ka pura hona zaroori hai warna zihar nahi ho ga. (Ref : Tehreerul wasila imam khomaini pg # 233-5)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Cricket Match per Betting kerna jaiz hay?
Answer: Agar shart lagae jae to jaiz nahi hai. (Ref : Website sistani d.b. Topic : Shart bandi)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: turat k lafzi mani kia han
Answer: Turaat ka matlab hay taleem o terbiyat ya irshad o hidayat.(Ref : http://tahoor.com/fa/Article/View/24745 ). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam Alaikum, Kya surah Ahzab ko hath se hi likhna zaruri hai ya print bi karwakar dabbe me rakh sakte hai......
Answer: Is surah ko Photocopy, ya print bhi kar saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aj muhjse ak galat km hogya marad ke hisab se or m us chez se kc parhez kron
Answer: Apna sawal wazeh karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KIA ISLAM ME QAMAR DAR AQRAB KA CONCEPT HY?AKSAR ORTAIN KEHTI HAEN KEH NEW LIBAS NA PEHNO YA IS MAIN SAFAR KARNA MANA HAI ...KOI NEW KAM NA KARO..PLZ REPLY I AM VERY CONFUSED,,
Answer: Qamar dar aqrab mai faqat nikah krna makrooh hai baqi koi kaam mana nahi hai(Ref : email received from sistani.org)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: plz sir mujhy email parhny ni aty main boht paryshan ho mujh sy fon pr rabta kar lain
Answer: Aap fiqhi masail maloom karnay k lie Quran o Itrat Academy mai phone kar saktay hain phone # 021 – 32226948. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).