Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5723
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi urat mere bache ko dhoh pilae to os ko dhodh oter aega agar woh beuladho to

Answer: Is terah to doodh nahi aata hai albetta jab aurat ko khud ko aulad hoti hai to khuda ki qudrat sai os ko doodh aanay lagta hai aur wo bhi agar larka hai to os k mutabiq doodh aye ga aur agar larki hai to os k mutabiq doodh aye ga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5734
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: manasik-e-hajj sai aur tawaaf mai kia farq he?

Answer: Manasik urdu grammer k hisab sai jama ka lafz hai aur is ka matlab hota hai hajj k arkan, hajioo ki abadat k maqamaat aur tawaaf hajj k manasik mai sai aik mansak hai. Ref : Ferozul lugaat pg 1289) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5735
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: farishta aur jin mai kia farq he?

Answer: Farishta yani bejha hua, rasool, qasid, aur islami aqiday k mutabiq aik makhlooq hai jo noor sai bani hai. aur jin yani aik poshida makhlooq jo musalmanoo k aqiday k mutabiq aag sai paida ki gae hai. (Ref : Ferozul lugaat pg 472, 929)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6039
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salawaat kia hy.

Answer: Salawaat Arabic grammer k mutabiq prural(jama) hai agar is ka tarjuma kia jae to is ka matlab namazain hai laikin ye Hazrat Muhammad s.a.w.w. aur un ki paak aal par durood k lie istemnal hota hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir main ap say puchna chahta hoon k kia aik muslmaan k marnay k bad us k lawahqeen us ka khatm dilwatay hain kia wo Islam main jaiz hai. sir kindly answer k sath Quran aur Hadees ka hawal lazmi bta dain. Thanks . Waiting for reply as soon as possible.

Answer: Esaal e sawab darhaqi’qat khuda ki baargaah me is baat ki aarzoo karna he k jo sawab k tayhait wo(allah) ata kar reha he osay us k badle kisi aur ko ata kar de. Is etibaar se ye bhi aam duaoon ki tarah aik dua he jo k jaiz he. Is ke lie kisi khaas naiki ki zarorat nahi he, balkeh pichlay amaal k hawalay say bhi esaal e sawab kia jasakta hay (Ref : Mujtahid se pochey gay sawalat , part # 1 , ques # 199 , pg # 94). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6157
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum main yai pochna chahti ho k ik saas apni baho ko maar sakti hy ya nahi or galiya kis type ki dy sakti hy kosay kis type k day sakti hy ilzam kis type k laga sakti hy

Answer: Saas na apni bahoo ko maar sakti hai aur na hi galian dai sakti hain q k ye sab kaam gunah e mai shumar hotay hain is k alawa saas ko ye haq nahi hai k wo apni bahoo ko ghar k kaam kaaj k lie majboor karay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2378) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6178
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: lettuce seed kaha milti hai or iska hindi urdu mei kia name or isko khane ka tareeqa kya hai...

Answer: Lettuce seeds ko urdu mai Tukhm e kahoo kaha jata hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 60) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALLAM.O.ALLIKU may yay jaanah chata ho k may bhar mulk souyh africa muzambique ja pao ga ya nhi meri age 22 hai date of birth 15 ouctbr 1992 hai mjhay is ka jawab jaldi chaiyay or detail may.

Answer: Musalman k lie gair muslim mumalik me safar karna aur qiyam karna jaiz hai laikin is k aur is k ghar waloo k sharie faraiz mai koi rukawat na ho. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 3 , pg # 40) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rozy kis sun hijre ma farz huy?

Answer: 2 shaban, 2 hijri, ko ramzan k roze wajib hoye. (Ref : islami tareekhe munasibate, pg # 151) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jang-e-khandaq k asbab 0 nataij kya thy surah aihzab ki roshni mai btaye?

Answer: Surah e Ahzab quran majeed ka 33 no ka surah hai jis ki 9 sai 27 tak jang e ahzab ka tazkira hua hai aur isay jang e khandaq bhi kaha jata hai. Is jang ka khulasa ye hai k yahoodio nai mushrikeen ko tayyar kar k aik lashkar tayyar kar dia aur 15 hazar afrad nai mil kar madina par hamla kar dia idhar bani qarizah jin sai Rasool e Khuda s.a.w.w. ka mohidah tha k kisi bhi hamla awar sai muqabila karnay mai aap ka sath dain gay aur mushterka tor par difa karain gay. To unhoonay nai ahad tornay ka ailan kar dia aakhir kar madina ka mohasira ho gya. 27 din tk mohasira raha aur teer andazi ka silsila jari raha phir Rasool s.a.w.w. nai salman farsi k mashwaray sai khandaq khodnay ka hokum dia. Aur hazrat Ali a.s. nai Umar Bin Abdawad ka kam tamam kia aur lashkar e kufr nai farar ikhtiar kai aur musalmano ki izzat reh gae. (Ref : Anwar e Quran pg # 871)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!