Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6425
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lohay ka zikr quran ki kis surat ma hai?

Answer: Para# 27, surah hadeed (yani loha)# 57, me lohay ka tazkera hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6428
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 61 hijri me jb imam hussain ka qafla puhancha to us qaaflay me azan dene wala kon tha. name bataen.

Answer: Hazrat imam hussain (a.s) k moazzin ka naam hajjaaj bin masrooq tha. (Ref:ahsan ul maqaal,jil 1,pg 443) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6444
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rozadar jis jannat k darwazy sy dakhil hoga us ka naam kia hai???

Answer: Reyaan .(Ref:Tafseer Namona jild #1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6457
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: black libas bary main ap k kia ihkan hain kia wo pehna jaiz hy k nai?

Answer: Black libaas pehana jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #853 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main bta dene k raat ko hum ghar ki safaikar sakty hai plz jaldi bt den

Answer: Jee han rat ko ghar mai jaroo wagira dai saktay hain. (Ref : email rec from sistani d.b.)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi dargah ya kabar ko chumna kaisa?

Answer: Is me koi masla nahi he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : March 9, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6590
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aurten qabristan ja skti han??? agar ni to kia waja??? plzzzz with hadees o quranic reference

Answer: Aurat ka qabaristan mai jana jaiz hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 202, pg # 85)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6593
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ye sunni website he ya or kisi maslak ki he

Answer: Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.

Id: 6661
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qibla Aaj se taqreeban 800 saal pehle Hamare jadd ne Maslak e Jafari ikhtiyaar kiya aur asna ashari ho gaye to kya is aitybar se apny naam ke sath Jafari lagana Sahi hoga?

Answer: Jafferi k 2 matlab hain, 1 Imaam Jaffar sadiq (a.s) ki fiqh ke pero karoo ko jaffry kehte hain 2 her wo fard jo Imaam Jaffar o Sadiq (a.s)ki ulaad main se ho us ko jaffry khaha jata hai.(Ref ; superman in islaam , pg # 29). Note ager ap un ki ulaad main se hain to ap apne ap ko dono mana main jaffry keh sakte hain, or ager ulaad main se nahi hain to pehle mana main jaffry keh sakte hain.( ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can I download the wallpapers you have on the website? I already did, but if you disagree, I will delete them.

Answer: Yes, you can download wallpapers from this website.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!