Question: Sarfaraz name ke meaning kya hain
Answer: Sar-faraz ka matlab
Question: salam sir jumy k din ya uks ilava ksi b din ladies qabarstaan mai jaskti hain ya nhi plz is ka ans zror dena
Answer: Gee haan oraton ka qabrstan jana jaiz hai, peer k din, junmerat k din khususan sham k wqt or hafte ko subah k wqt qabristan jane ki takeed warid hui hai.(Ref: Mujtahid se Puche gaye sawalat, Ayatul_Allah Sistani(d.b) Part#3,Pg#85,Ques#202).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye)
Question: what is meant by ehtiyat e wajib
Answer: Ehtiyate wajib yane wo hukum jo ehtiyat k mutabiq ho aur mujtahid ne is k sath fatwa na diya ho ayse masail me taqleed karne wala us mujtahid ki taqleed kar sakta hai jo aalam (yane wo mujtahid jo apne zamane k digar mujtahideen ki nisbat ahkam ilahe ko samajne ki behtar salahiyat rakhta ho) k baad ilm me sab se barh kar ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition,masla:2pg:#15, 486) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya. Main apne bache ka naam Muhammad Ali rakh sakta hon
Answer: Bache ka naam Muhammad Ali rakhna mustahab hai. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3,maslah # 387 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: what is the mean quraan
Answer: (Quran ka asal matlb parhna or tilawet krna hai) or quran us kitab ko kehte hen jo ALLAH ka wo kalaam hai jo Janaab e Muhammad Rasool Allah (s.a.w) per nazil howa or wo masahif(yani safhon main) likha howa hai.(Ref :al-qaamoos al-waheed , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kya hafiz e quran say bara makam kisi ka hay ???? or kya hifz krnay wala or nazra pharna waly ka makam brabar ho sktay han ????
Answer: ALLAH TAALA Quraan e Majeed main kud Apne nazdeek mukarram shaks ka meyaar bayaan farmaa raha hai ke eh logo! tum main Allah ke nazdeek ziyada mukarram insan wo hai jo ziyada muttaqi ho pas basa uqaat Hafiz e Quraan mutaqi hota hai to wo ALLAH TAALA ke nadeek dosre shaks se (chahe ye Hafiz e Quraan ho ya na ho)jo us se kam muttaqi hai ziyada mukarram hota hai, or basa oqaat ik geer Hafiz e Quraan Hafiz e Quraan se ziyaada mukarram hota hai kun ke wo muttaqi hai.(Ref : sura e al-hujraat # 49 , aayat # 13 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Iman Ka Zahoor kehna Wiladat ki Gagha Galat hai ya Sahe ? kia wiladat ki gagha Zahoor kehna Guhan hai?
Answer: Lafz e wiladat ki jaga lafz e zahoor ke istamaal ka natija MASOMEEN (a.s) ki mukhalifat hai kun ke AP (a.s) ne wiladat ki jaga wiladat ka or zahoor ki jaga zahoor ka lafz istamaal farmaaya, kun ke dono ke mane mukhtalif hain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: I want the meaning of this line Faqeer ka mara Kafir Huta hy Agr Chy Wo Khuda Ka Wali ho
Answer: ye ik muhaawra hai jis ke mana ye hain ke faqeer apne haalaat se majboor ho ke khalis niyat ke sath ALLAH ko pokaarta hai to is ki ye aawaaz ALLAH ki RABOOBIYAT ko mutajalli karti hai, pas ye aawaaz ager kisi ke haq main ho to ye tajalli us per REHMAT ki sorat main zahir hoti hai, or ager kisi ke kilaaf ho to ye tajalli us ke liye zehmat ban jati hai phir ye TAJALLI nahi deekhti ke ye wali hai ya koi or. Note: ye faqat aik mahaawra hay is ko haqiqat ya shariyat ka koe masla nah samjha jay.
Question: 6 ramzan ko kon se nabi par konsi kitab nazil hui?
Answer: 6 ramzaan ko hazrat mosa (a.s) per towraat nazil hoi . ( ref: alqalamonline.com/index.../1271-452-sang-e-meel-ramazan-aur-quran) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: meaning of term zaroriat e deen and please give me atleast 2 examples of zaroriyat e deen?
Answer: Ager tamaam musalmaan kisi baat per mutafiq hon is ter ke in ke dermiyaan is baat main koi iktilaaf nahi hai to us baat ko Zaroriyaat e Deen main shumaar kiya jata hai jese kalimaa e toheed la ilaha il-lallah, or Muhammad Allah ke Rasool hai is ki gawahi dena, Namaaz, Roza ect. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 01 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).