Question: Sir ma aik ghair shadi shuda larka ho mera app sa question ha ka kya ma mastrbution kar sakta ho ya ma apne haton sa apni mani nakal sakta ho
Answer: 1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462) 2) Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 ) 3) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 4) Aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar koi roze main masturbation kare tou is ka kya kafara ha?
Answer: 1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462) 2)Istimna karna roze ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 ) 3) Jo shak shadi na hone ki waja se fail e haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 4) sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 5) jaan boujh kar roza torne k kaffara 1 mahenay 1 din musalsal roze rakhna ya 60 shere faqeero ko pait bhar kar khana khelana ya har faqeer ko 750 gram gandum , roti waghaira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: hath si zena yane hath ki zarea nuthfa ki kam ki kia waeed hi.
Answer: Istemna krna haram hai yani hath sai mani nikalna haram hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) Imam Jafar e Sadiq a.s. nai farmaya hai k qayamat k din khuda 3 qism k logo sai kalam nahi karay ga jin mai sai aik wo shakhs hai jo istemna karta ho ga. (Ref :Muharammat e islam pg # 337)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: My Ne Roza me Mutt Mari hy our mani be nakli hy muja pata nai ta k in sha roza toota hy bad ma pata chala ka in say roza toota hy ab my kai karo?
Answer: Istimna (kise tariqe se mani kharij) karna haram haiaur ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009).
Question: kya hand precset krna jaiz ha
Answer: Gee nahi ye jaiz nahi ha or ye gunah e kabeera men se hai.(Ref: Ayat ul Allah Sistani, Minhaj ul saliheen part#1, Masla#30)
Question: agr 16sal ke umar mai muth marta ns sart kart hu or kabh 2-3din bad muth marta hu ho to mujy shdi ky bad koie porblem ho sakti hy kay.......!
Answer: Istimna(Muth , Musht zani) kisi bhi zarie say ho haram hay. (Ref : jaded fiqhi masail masla no 462 pg # 253). Note ye (muth) shadi ke baad kin kin problem ka sabab ban sakti hai is ki sahi tafselaat ke liye doctor se ruju karain.(ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Roze me aatalam or masterbating karne se kya roza toot jata hai
Answer: 1)Istimna(masturbation) roze ko batil(torne) kerne wali chizon men se hai lekin agr apko pata nahi tha k istmna se roza toot jata hai or ye baat poochhne men ya in masaail ko jan`ne men apne susti or kotahi bhi nahi ki thi or aap istimna k bare men shak or preshani men mubtila bhi nahi the (k aya is se roza toot jata hai ya nahi), ya ap kisi sharae hujjat pr etemaad rakhte thay agr ye tamaam baaten aap k ander mojood hon to phir is surat men apka roza batil nahi hoga lekin is k bar-aks agr apko pta tha ya phir apne puchhne men susti ki ya apko is bare men shak tha k ye roze ko torh daiti hai ya nahi ya phir ap kisi sharaee hujjat per etemaad bhi nhi rkhte the to is soorat men apka roza batil hoga, 2)Ehtelam jis ka matlab hai neend men mani ka nikal jana(discharge), is se roza batil nahi hota agrche apko pta bhi ho k agar aap din men sogaye to apko ehtalam hojayega tab bhi ap k liye sona jaiz hai chahe aap ko sone ki wajah se koi takleef nah bhi ho tab bhi aap k liye sona jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh-ul-masail 31st edition, maslah#1553-16225). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam alikum mera sawal hai ki may ek month may 3 or 4 bar raat ko discharge hota houn kay ya konha hai.
Answer: Istimna (hand practice) kerna gunah e azeem hain, magar nend mai khud ba-khud discharge hona gunah nahi hai.(Ref:Minhajus Salaheen,Ayatullah Sistani d.b. Part #1 , masla#30+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #30). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mre aik dost se bht bri galti ho gai hai, us se aik sal phle NAMAZ parh k touba ki thi k kbi b wo mashat zani nai kre ga lkn abi us se phr masht zani ka amal ho gea hai, kia us ki touba tot gai hai, aur is ka kafara kia hai, plz ans
Answer: 1)Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram haiaur ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009), 2) Mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344 ) 3) Jo shak shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le. . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 4) jo istimna karta hai wo sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo wo ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir mari age 18 year ha mara hera week me 2 dafa farg ho jata ha kud hi or me kam zor bi bot ho gya ho plz mujy koi hal bathy me is sy bach sako plzzzzzz...
Answer: 1)Istimna ya hand pratics (kise tariqe se mani kharij) karna haram hai. Aur ghuna kabira hai.(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462) aur minhajus sualeheen , aqa sistani, part no 1 , masla no:30) 2)Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). 3) jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai apnay aap ko fail e haram sai na bacha sakay os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385,397 pg # 231,234) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).