Question: Assalamualykum..molana mera ye sawal hai ke meri behen or uska husband ke bich me 10 se koi humbistari ni huvi hai bus vo dono alag alag kamre me sote hai to aisi surat me unkaa nikha hai yaa nahi
Answer: Jee haan nikah baqi hay lekin Shohar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark nahi kar sakta magar yeh keh hambistari os k liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka ba’is ho ya os ki biwi khud chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark karne par raazi ho ya shadi karte waqt nikah k zimn mein chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark karne ki shart rakhi gae ho. Aur is hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shauhar k maujood hone ya musafir hone mein koe farq nahi hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahi keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki rizamandi k baghair chaar maah se ziyadah tool diya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2382). Update on dated 13-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam wale kum biwi agar humbistari na karne de aur us halat me shauhar se zina ho jay kisi se to kya shuhar gunehgar hy
Answer: Jee haan, shuhar gunahgaar hoga or zina ghunah e kabeera hay, Bivi bhi gunahgaar shumaar hogi Q k bivi k laiay baghair uzr e share k shuhar ko hambistari se mana kerna jaiz nahi hay. Or shauhar ko is gunah ki tuba kerni chahiay. Is silsilay main shuhar ko sab se pehlay tu apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah ko phir kabhi anjaam nahi day ga.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. shuhar koshish karay k khud ko doosri mufeed kaamo main masroof ker lay jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 04-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr bivi ksi surat bhi hambistari karnay par razi na ho to usk lyee Kia hukam hay sharyat mein??
Answer: Agar koe aurat hambistari aur jinsi lazzaton k silsile mein shauhar ka sathh de kar os ki khaahish poori nah kare to rooti, kaprhe aur makaan ka shauhar zimmedaar nahi hay agarcheh wo shauhar k paas hi rahe aur agar wo kabhi kabhaar apni zimmedariyo ko poora nah kare to ehtayaat-e-wajib ke mutabiq roti, kaprhe aur makaan ka shauhar par huq saqit nahi hota aur har suurat mein os ka meher kal adam nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2377). Update on dated 28-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya bivi ko peche side pe humbistri kar sakte
Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) kerna biwi k raazi nah honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agar biwi raazi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia BV apne shohar ki ajazat baghair uske maal se jo wo use hifazat ke liye de, kharch kar sakti hai?
Answer: Shohar ki raqam ko shohar ki ijazat k baghair istemaal kerna jaiz nahi hay. (Ref: Minhajus saliheen jld#3, masla#327). Update on dated 16-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: A.O.A mera Sawal yeh h k Larki k ass Hole m penis dalna wajib h kya wahan Sex karna jaiz h
Answer: makam men dukhul karnay k liay biwi ka ehtiyaat e wajib ki bina par razi hona zarori hay lekin phir b shadeed makrooh hy or aghr biwi razi nah ho to ehtiyaat ki bina par jaiz nahi hay. (Ref: touzeeh ul masael masala no 448/2382 ) . Update on dated 09-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Nikah k waqt kitne gawahon ka hona zaruri he or kia un me se koi gawah aurat ho sakti he or agr aurat ki gawahi me nikah hua ho to kia wo nikah sahi he?
Answer: Nikah k waqt gawaho ka hona zarori nahi hay. (Ref: Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2335 ) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamo Alaikum sir, Kya mard apni BV ka doodh pee sakta hai k nai??
Answer: Shohar biwi ke breast ko suck karey aur monh main doodh aa jaey, tu oska koe kaffarah nahi hay.laikin ehtiyaat e wajib ye hay k bivi ka doodh nah piya jaey.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa.... sir kia main apni bv k sath hum bistri kar skta hun muharram main... main ne suna hai ky agr is doran hamal theher jay to bacha shemale peda hota... kia yeh drust hay. kindly is bare main btay ga plzzz
Answer: Bivi say muharram men hambistari karna jaiz hay lekin is mahine main hambistari nah karna munasib hay. Ref:(Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/arabic/qa/11651/ ). Update on dated 10-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: 0 Answers found for \"Agar shohar haq e zojiat ada na kr skta ho Likin shadi krte waqt Ilaj krwaya ho or 2bache ho gae hai Likin 13 saal shadi ko ho gae hai 8 saal se haq e zojiat ada nhi kr skte tu plzzz btaye kiya krna chahye Plzz rehnomaye farmaye"
Answer: Aap raazi hain tu nikah baqi rakhain, or aap apne shauhar se hambistari k alawa digar lazzaat hasil ker sakti hain, maslan shauhar k zerye se baghair hambistari k discharge hona jaiz hay, yani aap ka shuhar apne hath ko aap ki sharamgaah per rigrhay ya ungli ko sharamgaah main dakhil kare, waghair, is tarah ki lazzaat hasil karna jaiz hogi. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012). Update on dated 27-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).