Question: muharum main biwi k sath humbistri karna jaiz hai ya nahi
Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 26-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar hum bv ke sath pyar ki hd me hokr piche ki trf wo kam anjam de jo age hota hai to kia ye sai hai
Answer: Agar biwi raazi ho to ye kaam kia jaa sakta hay albatta ye fail shadeed makrooh hai or is say ghusl wajib ho jata hay.(Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya 10 muharram guzranay k sham e gareeban k bad late east ko rat Ko humbistri Kar satay husband wife
Answer: Muharram main hambistari jaiz hay. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01884/ ). Update on dated 26-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Is it allowed for a wife to touch herself until she is nearly ready to release and then her husband takeover and help her release?
Answer: Ager istimna (jima ke ilawa kisi or tareqe se mani nikaalna) shohar o bivi ke dermiyaan ho to jaiz hai jese shohar bivi ke zarye apni mani nikale jima ke bageer, or is hi terhan bivi shohar ke zarye jima ke bageer mani nikale, or ager is sorat ke ilawa ho - chahe mard o orat kud apni apni mani nikalain ya ik mard ajnabi orat ke zarye ya orat ajnabi mard ke zarye mani nikale - to haraam o guhnaah e kabera main se hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009) , (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b. Update on dated 15-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya islam may husband ka penis and wife ki vagina suck karna jaiz hai ?
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from eanswers@najaf .org). Update on dated 08-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam o alikum meri shadi ko aik sal ho giya he meri olad nai he meri bv mujy pass nai any daiti ham dono k khandan men mukhlfit he mujy lagta he kisi rishtydar ny hamari olad py bandish karwai he kindly ko hal batayen
Answer: Agar koi aurat hum bistri or jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karey to roti kaprey or makaan ka wo zimedaar nahi hai chahay wo shohar k saath hi rahey or agar kabhi kabhar apni in zemedaariyo ko poora na karey to ahtiyaat e wajib ki bina par roti kaprey or makaan ka shohar par sai haq saaqit nahi hota or har soorat mai us ka mehar kaladam nahi hota.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2377) Bandisho or Jado k asar ko khatam karne k lie para#11, surah yunus#10 ki aayat#81ko kagaz per likh kar rakhe to jado ka asar khatam ho jaay ga. (Ref: Nawahe sauleheen,Mafhoom e pg# 359). Update on dated 21-07-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Aslam o alikum meri shadi ko aik sal ho giya he meri koi olad nai he meri bv mujy pass nai any daiti mujy lagta he khandani mukhalfit ki waja sy kisi rishty dar ny olad ki bandish karwa di he
Answer: Agar koi aurat hum bistri or jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karey to roti kaprey or makaan ka wo zimedaar nahi hai chahay wo shohar k saath hi rahey or agar kabhi kabhar apni in zemedaariyo ko poora na karey to ahtiyaat e wajib ki bina par roti kaprey or makaan ka shohar par sai haq saaqit nahi hota or har soorat mai us ka mehar kaladam nahi hota.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2377) Bandisho or Jado k asar ko khatam karne k lie para#11, surah yunus#10 ki aayat#81ko kagaz per likh kar rakhe to jado ka asar khatam ho jaay ga. (Ref: Nawahe sauleheen,Mafhoom e pg# 359). Update on dated 21-07-2018. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamoalekum muje aap se Ye puchna hai pati patni phone me baat karte hai pyar vali sex ki or becheni hoti hai or fir sukun lagta hai to gusal karna hota hai orat ke liye
Answer: Shohar or bivi aik doosray fehesh (sexy) batain ker sakte hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #5+11). wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna pooririzamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah 345) Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya mai apne khaleri phuphu se shadi karsakta hu?
Answer: Merd per apni phopho or khala se nikah kerna haram hay or isi tarah maan, baap, dada dadi or nana nani ki phopho or khala se bhi nikah kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), tuazihul masael, maslah#2353 ). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr shohar apni biwi ko pasand nhi krta hu or na he uske haqooq pore kr rha hu biwi apni traf sa pori koshish krne k bd b shohar usko importance nhi dte hu to kya biwi ko ye rishta nibhana chaiye.quotrait
Answer: Agar shohar apni biwi k huqooq ada nah karey or usey aziyyat day to biwi apna muaamla lay kar hakim shara( mujtahid) ki taraf ruju kar sakti hai takeh hakim shara( mujtahid) is k shohar ko husne solooq karne ka hokum de aur agar is ka koe faida nah ho to apne sawabdeed k mutabiq use sarzanish kare or agar is se bhi koi faida nah ho to biwi talaq ka mutalba kar sakti hai. Agar shohar talaq dene se inkar karde or ise talaq per majboor nah kiya jaske to hakime shara( mujtahid) apne ikhteyaraat istemal karke is ka sighah e talaq jaari kar sakta hai. (Ref : AqaI sistani (d.b),Jadeed Fiqhi Masail, Maslaa # 413, pg # 237, 5th Edition). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).