Question: Sir.. job ki waja sy sal main 3 month bv k sath hota ho to baqi ayam agr kabi hot ho.. to kiya sexy picture dhek sakty hain?
Answer: Agar wo biwi ki hi tasveer ho or os ko daikh ker haram kaam main perhne ka khoof nah ho tu daikhna jaiz hai bivi ki tasweer k alawa ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahay shak aur lazzat k baghair dekha jaey. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254). Update on dated 25-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir.. job ki waja sy sal main 3 month bv k sath hota ho to baqi ayam agr kabi hot ho.. to kiya sexy picture dhek sakty hain?
Answer: Agar wo biwi ki hi tasveer ho or os ko daikh ker haram kaam main perhne ka khoof nah ho tu daikhna jaiz hai bivi ki tasweer k alawa ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahay shak aur lazzat k baghair dekha jaey. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254). Update on dated 25-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri biwi kisi na maram ke sath chali gayi us ke kon sa azab hai
Answer: Aurat apne shohar ki ijaazat k baghair ghar sai nahi nikal sakti or aurat jub tak kisi ki zojiyat mai ho us sai shaadi nahi ki jaa sakti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2366) [Updated on 31-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam-o-alaikum. Sir agar nikah ho chuka ho aur ek saal tak rukhsati na ho to is waja se koi gunah to ni hai shohar ya bv pe?
Answer: Agar haram kam nahi kar rahay to koe haraj nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2382/2407 ) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera question ya hai k ager husband wife shadi k bad 2 saal tk humbisrti na krain apni mrzi sy to is k ley islam my kea hukm hai?
Answer: Agar dono razi hen to jaiz hay koi haraj nahi hay. Shauhar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah ba’is k liay hambistari tark nahin kar sakta magar yeh keh hambistari os ke liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka ba’is ho ya os ki biwi khud chaar amhine se ziyadah I’ddat ke liay hambistari tark karne par raazi ho ya shaadi karte waqt nikaah ke zaman mein chaar mahine se ziyadah muddat ke liay hambistari tark karne ki shart rakhi gaee ho. Aur iis hukum mein ehtayaat- e-waajib ki bina par shauhar ke maujood hone ya musaafir hone mein koe farq nahin hai iis liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jayez nahin keh ghair zaruri safar ko baghair kisi azr ya aurat ki razamandi ke baghair chaar maah se ziyadah tuul diya jaay.Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # ) [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager shadi k bad 2 saal husband humbistre na krain to kea is sy wo kisi ghunah ky murtkbik hoty hain
Answer: Jee haan Shauhar apni jawaan biwi se chaar mahine se ziyadah mudat k liay hambistari tark nahi kar sakta magar yeh keh hambistari os k liay nuqsaandeh ya bohut ziyadah takleef ka ba’is ho ya os ki biwi khud chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark karne par raazi ho ya shadi karte waqt nikah k zimn mein chaar mahine se ziyadah muddat k liay hambistari tark karne ki shart rakhi gaee ho. Aur is hukum mein ehtiyaat- e-wajib ki bina par shauhar k maujood hone ya musafir hone mein koe farq nahi hai is liay ehtayaat-e-waajib ki bina par yeh jaiz nahi keh ghair zaruri safar ko baghair kisi uzr ya aurat ki rizamandi k baghair chaar maah se ziyadah tool diya jaey. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2382 ) [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: as salam o alikum molvi sahab mera sawal y hai k kia bv ko pehli raat hmbstri krna zarori hai?kehte hain k valima k khane s pehle hmbstri lazmi hai pls isme rehnumai krn
Answer: Was Salam. Pehli raat hambistari kerna zaroori nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2382) [Updated on 06-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir i use condom for not to be pregnant. Bcoz i have two baby boys n quit tough job to take care of them. Is it jaiz or permissible in islam or not? N plz tell me anal sex is jaiz after marriage or not?
Answer: 1-Merd k liay jaiz hay k wo condam istemaal karay laikin ehtiyaat e wajib ye hay k is k istemaal kernay say pehlay apni biwi say ijazat lay lay. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 465 pg # 254) 2-Biwi k peechay(back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) karna biwi k raazi nah honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai, agr biwi raazi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay). (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O alikum Sir mera question hai k shadi k bad ek dafa intercourse ho jay tu kia again and again krne se koi problem tu ni hoti. kia bar bar intercourse krne se problem tu ni hoti.
Answer: Jaiz hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #05 ). [Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mai apni Biwi ka doodh boht ziyada pee chuka hun.. Sex k time pe khayal nhi ata tha or mai kafi quantity mai daily peeta tha.. Roz mai ye amal krta tha.. Kiya ye jaiz hai?
Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Advice: Aap is ehtiyaat e wajib main ayatullah ishaq fayyaz ki janib ruju ker sakte hain. [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]