Question: Biwi Ke Pichlay Hissay Mein galti say chala jay to kaya hota
Answer: Biwi k peechay k maqam(anal sex) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr biwi humbistri na kry or br br larai Hony k bawajood wo ye Nahi krna chah Rahi... Kya krna chaiye.. Smjhaya b hy boht pyar sy or daant kr b... Lekin wo Nahi chahti .. Mujhy kya krna chaiye
Answer: agar koi aurat humbistri aur jinsi lazzaton k silsile mai shohar ka saath na day kar us ki khuwaish poori na karay tou us aurat k roti kapray makaan ka shohar zimedaar nahi hai.is k ilawa shohar us ko talaq daine ka haq bhi rakhta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2377) [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا بیوی Ú©Ùˆ اپنے ساتھ سلانے Ú©Û’ لیے جگا سکتے Ûیں Ø¬Ø¨Ú©Û ÙˆÛ Ø¨Ú†ÙˆÚº Ú©Û’ ساتھ سو رÛÛŒ ÛÙˆ اور شوÛر Ú©Ùˆ اس Ú©Û’ بنا نیند Ù†Û Ø¢Ø¦Û’
Answer: Biwi k liay zaroori hai k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or share uzr(any Islamic reason,i.e : in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay. Aur auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aziat aur takleef nah pounchay aur kisi share wajah k baghair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh nah aay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi ne shadi se phley znah kia ho to os husband ko kia krna chye
Answer: Nikah par koi farq nahi parhe ga. or agar taubah o istighfar nah kare orapne amal per baqi rahe tu behtar ye hay k os ka shohar osay talaq day day. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2367). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam agr biwi shadi k bad ye ehtraf krey k me ne shadi se phley zna kia tha jo husbnd ko pta nai tha ab os hsbnd ko kia krna chye
Answer: Nikah par koi farq nahi parhay ga or agar taubah o istighfar nah kare or apne amal par baqi rahe(yani zina kaari tark nah kare) tu behtar ye hay k os ka shohar osay talaq day day.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2364). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kesi ki nikah hogai hain aur char saal thk us k aur us k husband k saath koi baat nahi howi ya us k husband ne paisy nhi dye hoo tu kya nikah baqi re jati hain plz answer
Answer: Nikah baqi rehta hai (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya biwi apne shohar ka sharmgah haath me lesakti hai quran o hadees k mutabiq iska jawab dijiye jazak allah
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko haath or monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 30-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamo alikum sir main ya pouchna chahta hOn ka bv ka shohar ke sharmgah chousna jaiz hy ya haram
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 08-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya biwi ki back side men discharge ho skty hen?
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Note:(Is se nikah nahe toota.). Update on dated 12-04-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Biwi saal me kitni dafa mayke ja sakti hai?.. Aur kya shohar ka biwi ko mayke jane se rokna sahi hai ya galat?
Answer: Mard k liay mustahab hay k wo apni bivi ko ijazat dat k wo apnay azeeb o aqarib se milay or on k marizoon ki iyadat kare or tashee e janaza main jaey waghaira waghaira, balkeh ye kaam mard per itni miqdar main wajib ho jain gay jitni miqdar husn e mashrat ki taqaza karti ho. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2376). [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]