Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya biwi ke mathe ko chomna islam mien sahi hai

Answer: Jee sahi hai. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B), Minhajus saliheen, jild#3, maslah #11). [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10435
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia bevi k aglay hisy k sorakh sy thora sa oper wali jagah ko ungli sy masal kar bevi ko farigh karna jaiz ha

Answer: Biwi sai har qism ki lazzat haasil kar skte hai. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) [Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10436
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalammualikum mere sawal hai Kiya miya biwi bona kapro k so sakte hai

Answer: Jaiz hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#5). [Updated on 29-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10468
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.s nikah ke kitne din bd sex karna zaruri hota hai aur na kiya to kb tk nikah rahega

Answer: Hambistari nah karne sai nikah batil nahi hota. Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada hambistari tark nahi kar sakta han agar dono raazi ho tu phir koi haraj nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2382). [Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10500
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalkum Kia biwi apne suhar (Husband) Ke dubar me lazzat k liye apne fingers mar sakti hai

Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref: jaded faqhi masayl ayat ullaha sistani d b masla#406 pg#236) [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10513
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sirf biwi ka hi farz hai shohar ko khush rakhna shohar ke koi farz nahi

Answer: Hadees manqool hai jis main me aik orat ne kaha keh ya rasool allah shohar ka haq zoja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us orat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, orat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka sohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us orat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho (Ref: Tehzib ul islaam baab 4 topic hoqooq e zojain pg#140, 141). [Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar bivi husband ko hasband tadleem na kar ka keh day aur 2 saL say hambistiri bhi na ki ho tou islami shatiat kia kehti hay

Answer: Hadees manqool hai jis main me aik orat ne kaha keh ya rasool allah shohar ka haq zoja per kya hai yani bivi per kya kya cheezain farz hain farmaya lazim hai ke us ki itaat kare kisi waqt or kisi haal main us ki nafarmaani na kare jis waqt wo mubashirat ka irada kare inkaar na kare chahe wo unoot ki pusht per hi kun na sawaar ho phir us orat ne arz ki ya rasool allah mard per kis ka haq sab se bara hai farmaya baap ka aurat ne arz kia, orat per sab se bara haq kis ka hai farmaya shohar ka, aurat ne arz kia keh shohar per mera haq utna nahi hai jitna mere per shohar ka hai, farmaya nahi or aik doosri hadees manqool hai keh aurat per farz hai ke kisi raat is halat main na soay keh us ka sohar us se naraz ho us aurat ne arz kiya ya rasool allah chahe us orat k shohar ne kitna hi zulum kiya ho farmaya haan chahe kitna hi zulum kiya ho (Ref: Tehzib ul islaam baab 4 topic hoqooq e zojain pg#140, 141). [Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10531
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it permissible to have another sexual intercourse soon after having one intercourse without performing ghusl between the two? Please give reference from Tauzeeh Al Masaail. Jazakallah.

Answer: Jima k baad baghair gusl e janabat k doosra jima kerna jaiz hay or aisa karna makrooh bhi nahi hay. (Ref: Minhajus saliheen, edition 1439, jild#3, maslah#5). [Updated on 23-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10534
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM O ALAIKUM, KIA BIWI SHOHAR KI IJAZAT KAY BAGAIR NAFLI ROZA RAMH SAKTI HAY US SAY AGAR KAHUN KAY MAIRI APKO IJAZAT NAHI HAY TOU WOH KEHTI HAY MAIN TUM KO SHOHAR HI NAHI MAAN TI MAIN ISLAMI NUQTA NZAR SAY KIA KARUN?

Answer: Agar aurat k mustahab roza rakhne se shohar k haq lazat e jima ki haq talafi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai yehi hukum wajib e ghair moaiyan maslan ghair moaiyan nazar k roze ka hai aur is surat me ehtiyaat e wajib ki bina per roza batil hogha aur nazar bhi puri nahi maani jaey gi yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina per os waqt hai jab shohar aurat ko mustahab ya ghair moaiyan nazar ka roza rakhne se mana karde chahaey is se shohar ki haq talfi nah bhi hoti ho (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 41st edition maslah#1710). [Updated on 16-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10535
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM, MAIRI BIWI KA MUJH SAY GHAR SAY BAHAR JATAY TIME IJAZAT TOU KIA I FORM KARNA BHI MUNASIB NAHI SAMAJHTI APP BATAIN ISLAMI NUQTA E NAZAR SAY MAIN KAHAN KHARA HUN PLEASE?

Answer: Aap apni zojaa ko samjhaye or sharai masael sai agaah karain k jis aurat ka daaimi nikah ho jaey tu us k liay haram hai k shohar ki ijaazat k baghair ghar sai bahar nikle, chahay us ka nikalna shohar k haq k manaafi nah bhi ho. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2376). [Updated on 16-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!