Question: Humbistari k bad haiz ho jay to kiya karna chahiye
Answer: Hambistari k baad haiz ho jane ki sorat main bivi se hambistari se parhaiz kia jaey. Haaizse hambistari k alawa doosri luft andoziyaan maslan boosa lania haram nahi. (Ref: Ayatullah khumeni(R.A), Tehreerul wasila, part#1, pg#93). Update on dated 28-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir seacer delivery Kay kitnay din Kay bad bv say hmbistri kr sktay hn
Answer: NIfas ka khoon ruk janay k baad hambistari karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #504). Update on dated 28-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: is silsilay main doctor se bhi ruju kia jae keh hambistari karna bivi k tanko k liay nuqsandah tu nahi?
Question: me bahar mulk rehta ho or wife pakistan me or aik saal me milna hota he jab annual leave hoti he kia me online wife ko nanga dekh kar hath se maza le sakta ho.
Answer: Wife ko online barhana daikhna jaiz hay laikin mushtzani karna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30). Update on dated 01-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya orat ki vagina pe kiss karni chahiye
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh mouth laga saktay hain magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat halaq mian nah jaye. (Ref: Ayat ullah seestani d b istiftaat i 2 i 15). Shohar or biwi k liay jaiz hai k wo aik dosray k jism k tamaam hisso parts ko jism k kisi bhi hissay part say choo touch saktay hain ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k jaiz hay. (Ref: Ayat ullah seestani d b minhaa jus saliheen maslah#11). Update on dated 04-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr aourat ka shohar byrune mulk ho to wo susral sy akeli maika ja skti hy?
Answer: Shohar ki ijazat se bivi k liay ghar se bahar jana jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2376) [Updated on 07-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: moharram kay mahinay mein ham bistri ke ja sakti hai?
Answer: Bivi say muharram men hambistari karna jaiz hayÛ” (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/arabic/qa/11651/ ). [Updated on 07-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr shohar mulk sy Bahir ho to kya biwi susral sy akeli maika ja skti hy ek shehar sy dusry shehar jb k shohar or susar ny usy jany ki ijazat bhi di ho?
Answer: Shohar ki ijazat se bivi k liay ghar se bahar jana jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2376). Update on dated 05-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AoA, Sir i need some duas and Ammal of wedding 1st night
Answer: 1) Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) 2) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #5) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamvalikum, me ek food industry me microbiologists ki post pe job karti hu, Meri job karne pe mere sohar ko koi dikkat nahi .me ye jnana chati hu k aurat ka job karna jaij he
Answer: Ager mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65). [Updated on 17-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar chhote bhai ne bhabhi ke saath sex kar liya teen bar razamandi ke saath to kya souhar chhote bhai ke biwi ke saath sex karke badla le sakta hai ya biwi ko sudharne ka mauka dena chahiye ya talaq dena chahiye jabki uske 4 bacche bhi hain.
Answer: Agar biwi gunah ko anjaam dein is ka ye matlab har giz nahi k shohar bhi gunah ko anjaam dey aisa karna jaaiz nahi hai hay agar shohar chahay tu usay maaf bhi kar sakta hai or talaaq bhi dai sakta hai is ka ikhtiyaar shohar k paas hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2346) [Updated on 16-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]