Question: sawal ye ha ke, jama karte huwe biwi ki sharam gah per nigah ni daal saktey, to phr shohar apna penis enter ke se kare ga?? ya phr enter kar te time nigha dal sacktey hen kia??
Answer: Jjima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar korna makrooh hay is say perhayz kerna behtar hay (Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #5). [Updated on 18-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mufti sahib mera suwal ap sy ye hy k kya condom use kr k me apna nafs biwi k mu me dal sakta hu
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye keh sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) [Updated on 20-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mery nikah ko 4 saal ho gy hain lakin abhi rukhsti nh hoi hai mai. Apni biwi se bt nh krta na phone py aor na he face to face is se mujy gunah hta hai kia plz tell me
Answer: Rukhsati se qabl aap ka on se nah milne se gunah nahi hoga. Agarche on se milna or baat cheet karna aap k liay halal hay wo aap ki bivi hain. (Ref: mujtahid se pochaey gaey sawalaat, part#1, pg#72). Update on dated 11-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: As salamulalaikum. Agha my question is - can Husband wife can use condom while having an intercourse.
Answer: It is permissible for a man to use the condom to prevent pregnancy; however, it is precautionary obligatory that he should seek the consent of his wife to using it. (Ref: https://www.sistani.org/english/book/46/2068/). Update on dated 27-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya aurat ke lie jaaiz hai ke woh haiz ke dino mein shohar ki ungli se maza le kar shehwat ki intehaa (inzaal) haasil kare? Aurat ki sharamgah mein mard ka uzw tanasil daalay baghair
Answer: Shohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se cho sakhtay hein. laikin jism k hissay k alawa koe aur cheez sharamgaah main ehtiyaat ki bina per dakhil nahi ker saktay.or shohar ka bivi ki sharamgaah main ungli daal ker mani nikaalna jaiz hay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012) [Updated on 05-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alikum sir, Humbistari karty waqt agr wife husband ky anadr dalny sy phly he farigh ho jye fr husband anadr Daly r hunband farigh ho to kia ye si method Hy pregnant hony my lie plz bataiye ga zaror
Answer: jima se pehlay masaas(orgasm) k baad jab jima shuru kia jaay tu jab jima k doran aurat k munzil hone (discharge) k bilkul qareeb ho yani wo baytabana harakaat karay, mard se chumtay, liptay, apne hatho ya taango se merd ko kas ker daba,ay. Tab merd bhi jaldi jaldi dkhool(inserting of penis) or ikhraaj(emiting of penis) ker k farigh ho jaay, agar ittefaaq se aurat is waqt tak munzil nah ho or wo apne haatho ya taango se merd ko kas k daba rahi ho takeh merd alag nah ho tu merd ko chahiay k is waqt tak apne aala e tanasul(penis) ko aurat ki sahramgaah se bahar nah nikalay jab tak k aurat munzil nah hojaay, phir khuch dair baad penis ko nikaal ker merd aahistagi se aurat se alag hojaay. ). (Ref:Islam or jinsiyaat, mu,allif doctor muhhammed taqi ali abdi, pg#151). Update on dated 09-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Aap ne apne shohar ki jo kaifiyat bayaan ki os marz ka naam, surat e inzaal(سرعت انزال) hay, yani jima karne se pehle hi farigh ho jana. Aap k shohar ko chahiay keh wo is marz ko khatam karne k liay homeopathic medicine company jis ka naam Mektum Homeo pharma hay os k ki medicine istemaal karain, or is marz k liay mektum 49 istemaal karain. Is ko istemal karne ka tariqa ye hay keh subah, dopher or raat ko aik cup ya ponay cup pani main medicine k 10 se 15 qatre dalain or pee jaen. Insha allah ye bemari taqriban 2 mah main khatam ho jaey gi.
Question: Shadi se pahle agar biwi ke sath zina bil jabar hua ho to shohar ko kya karna chahiye.meri ek beti bhi h.meri biwi dimagi tor se bhi preshan h.
Answer: Zina ki wajah se bivi apne shohar per haram nahi hoti. Or Q keh zina main aurat ka koe qosoor nahi hay is keh os k sath zina bil jabr hoa tha. Is liay aap os k sath zindagi guzaar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2367). Update on dated 11-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya wife se anel sex kya ja sakta he
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Note:(Is se nikah nahe toota.). Update on dated 11-10-2019. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Meri Biwi mere sath Oral Sex or Anal Sex krna chahti hy lekin mein Islam ki dar ki waja sy nahi krta kya ye dono islam my jaiz hy poora daleel chahiye
Answer: 1)Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). 2) Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is say nikah batil nahi hota hay.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e Mutakhaba, Mafhoom e Maslah maslah # 67). [Updated on 12-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shaddi se baad biwi ka doodh pena sahi ha ya nhi
Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 21-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).